tum agar yoo.n hi nazare.n milaate rahe
maikashi mere ghar se kahaa.n jaayegi

aur ye silsila, mustaqil ho to phir
bekhudi mere ghar se kahaa.n jayegi

ek zamane ke baad, aayi hai shaam-e-gum
shaam-e-Gum mere ghar se kahaa.n jayegi
meri kismat me.n hai jo tumaari kamee,
woh kamee mere ghar se kahaa.n jaayegi

shamma kee ab mujhe kuch zuroorat nahee.n
naam ko bhi shab-e-Gum me.n zulmat nahee.n
mera har daag-e-dil kum nahee.n chaand se,
chaandni mere ghar se kahaa.n jaayegi

tu ne jo Gum diye, wo khushi se liye
tujh ko dekha nahee.n phir bhi sajde kiye
itna mazboot hai jab aqeeda mera
bandagi mere ghar se kahaa.n jaayegi

zarfwaala ko'i saamne aaye to
me.n bhi dekhu.n zara isko apnaye to
meri hamraaz ye iska hamraaz me.n
bekasi mere ghar se kahaa.n jayegi

jo ko'i bhi teri raah me.n margaya
apni hasti ko wo jaa.nvidaa.n kar gaya
me.n shaheed-e-wafaa hogaya hoo.n to kya
zindagi mere ghar se kahaa.n jaayegi