woh haTaa rahe hai.n parda
sare-baam chupke chupke
me.n nazaara kar raha hoo.n
sare-shaam chupke chupke

ye jhuki jhuki nigahe.n
ye hasee.n hasee.n ishaare
mujhe de rahe hai.n shaayad
wo payaam chupke chupke

na dikhao chalte chalte
yoo.n kadam kadam pe shoKhee
ko'i qatl ho raha hai
sare-aam chupke chupke

kabhi shoKhiyaa.n dikhaana
kabhi unka musquraana
ye adaa'e.n kar na Daale
mera kaam chupke chupke

ye adae.n be-niazi, teri bewafaa mubaarak magar aise berukhi kya ki salaam tak na pahunche

zara hoshiyaar, aiy dil
kahi.n Dhaa na de qayaamat
us adaa-e-kaafiri ka
ye salaam chupke chupke

tere maikade me.n saaqi
mera raaz khul na jaaye
wo ataa rahe nawaazish
mujhe jaam chupke chupke

yeh jo hichkiyaa.n musalsal
mujhe aa rahee hai aalam
ko'i le raha hai shaayad
mera naam chupke chupke