JAZBA-E-JUNOON
     Hai jazba junoon
     To himmat na haar
     Justajoo jo karey woh
     Chuay asmaan

     Mehnat apni ho gi
     Pehchan kabhi na bhoolo
     Sab ki nazron mein
     Pakistan
     Kabhi na bhoolo

     Pakistan hai tumhara
     Pakistan hai humara

     Apna ghar
     Apni sar zameen
     Sab kuch hai
     Bas yaheen
     Itna to hai hum ko yakeen

     Barhna hai
     Aagey har kadam
     Jab tak hai dam mey dam
     Ho gi kabhi himmat na kam

     Hai jazba junoon
     To himmat na haar
     Justajoo jo karey woh
     Chuay asmaan

     Mehnat apni ho gi
     Pehchan kabhi na bhoolo
     Sab ki nazron mein
     Pakistan
     Kabhi na bhoolo

     Pakistan hai tumhara
     Pakistan hai humara