KIS NEY SUNA
    Kaha jo unho ne wo sab ne suna
     Jo ham ne kaha woh kis ne suna
     Koi yahan aapni zuban samjhe kahan

     Ghulami men khush hen Aabhi Dosroon ki
     Ke rahte hen jannat men woh Ehmaqon ki
     Na hi rasta koi un ka na hi manzil

     Kaha jo unho ne wo sab ne suna
     Jo ham ne kaha woh kis ne suna
     Koi yahan aapni zuban samjhe kahan

     Koi gum kahin hai koi gum kahin hai
     Koi Soch bhi un ki aapni nahin hai
     Na hi mustaqbal koi un ka na hi mazi

     Kaha jo unho ne wo sab ne suna
     Jo ham ne kaha woh kis ne suna
     Koi yahan aapni zuban samjhe kahan