Tum Samajh Na Paye...


Tum samajh na paye woh sanket mera kal sham,
yaadon mein tha tumhara naam,
tum jabse aaye the tabse chahta tha tumhe,
lekin meri aankhon ki woh chamak,
tum samajh na paye...

socha tha sath tumhara rahega umar bhar,
thi kya khabar, ki tumhara aanchal bhi nahi milega,
aansu ponchne ke liye,
us muskurahat ko bhi tumne sadharan hansi samajh liya,
unme nihit mere bhavon ko,
tum samajh na paye...

pure raste mein meri dua tumhare sath thi,
par tum bekhabar aate aur chale jate,
shayad meri prarthna,
tum samajh na paye...

meri khamoshi mein chipi aawaz ko tum pehchaan na sake,
aawaz bhi lagai tumhe par,
tumne piche mudkar nahi dekha,
shayad meri aawaz mein chipe jajbaton ko,
tum samajh na paye...

aaj bhi ummeed karta hoon ki tum samajh jao par,
iss ummeed ko bhi tum samajh na paye...