Dosti

Jeevan ke is lambe safar mein,
Milte hain dost kai,
Hote hain vo sukh ke saathi,
Dete hain zindagi nayi,
Dikhate hain hamein,
Sapnon ka sansar,
Bhar dete hain dil mein,
Bhavnaayein apar,
Aur
Kai andekhe khwab zagakar,
Chale jaate hain door.

Chale jaate hain door vo humse
Bin kuchch kahe,
Bin kuchch sune,
Bhar jaate hain aankhon mein aansoo,
Aur ek antaheen intezaar.
Phir dil yaad karta hain unhein,
Aur sochta hai,
Kya dosti ek chchalava hai?
Sukh mein the jo saath,
Ab vo nahi,
Par dil maan nahi paata,
Ki dosti bas ek dikhava hai.

Vo samajhte hain doston ko bas ek khaali gilaas
Jismein jab chaha paani bhara,
Aur mita li apni pyaas,
Par unse bhi kya shikaayat karni,
Jo vo nahi samajh paate ki,
Dosti vafaaon ka naam hai,
Umra bhar saath nibhaane ke liye,
Dosti vo zazba hai,
Jo nahi milta har kisi ko,
Kyunki hausla chahiye dosti nibhaane ke liye,
Haan
Hausla chahiye dosti nibhane ke liye...

-- SAUMYA