Dupatta...

Dupatta tumhara, tumhara mann batata hai,
dupatta tumhara, kabhi kabhi hosh udata hai,
isi dupatte ne kiye kai karya tumhare,
aaj phir yeh dupatta tumhe apna rang dikhata hai.

yeh kabhi shwet hai to kabhi shyam hai,
kabhi pehchaan to kabhi gumnaam hai,
dupatta tumhara, har pehlu ujagar karta hai,
aaj phir yeh dupatta tumhe salam karta hai.

bahut soch samajh kar banaya hai bhagwan ne isse,
kabhi tum iske bhitar khud ko chupa deti ho to,
kabhi yeh tumhare aanchal mein gum ho jata hai,
na jane tumhare kitne aansu liye isne aur,
na jane kitne aansu tumhe diye isne,
aaj phir yeh dupatta tumhe apni kimat batlata hai.

bhinn bhinn rangon mein aur,
bhinn bhinn aakar mein aata yeh,
phir bhi tumhare mastak ko kabhi garv se uncha uthata to,
kabhi sharm se tumhara bhal (head) ko niche jhukata,
isi dupatte ne kabhi tumhari laj rakhi lekin,
kai bar tumne issi dupatte ko apne pairon tale ronda,
phir bhi har pal saath tumhara chahta yeh dupatta,
aaj phir yeh dupatta tumhe apna mahatva sunata hai.

kabhi lakhon ka jeevan bachaya isne to,
kabhi lakhon ne jeevan cheena is se lekin,
isme iska nahi aur na hi bhagwan ka dosh hai,
yeh to kalyug ke logon ki nazaron ka dosh hai,
kai bar yeh khud nichhe gira tumhare liye,
kai bar isne tumhe uthaya duniya mein,
main to iss dupatte ko naman karta hoon aur,
kya tum isse apna bhagwan manti ho??????????????

- VICKY

My very true friend replied my this poem in her words...

 

haan is duppate ko apna bhagvan manti hoon main,
ise hi saara jeevan,apna samman manti hoon main.
mere astitva ka ansh hai ye,
isiliye ise, apni pehchaan manti hoon main.
sach kaha aapne ,iske aganit rang hain.
har rang ka apna mahatva,apne hi dhang hain.
kabhi dupatte mein chhipa,naari ka aseemit pyar hai,
to kabhi ismein maa ki mamta,meetha sa dular hai.
kabhi ye sheel se saji yuvti ka shringaar hai,
to kabhi ismein sabla ki jwala bhari hunkaar hai.
bhavnaon se bhare ur ke liye,to ye saara sansar hai,
to samaj ke bhediyon ke liye,bas ek vyapar hai.
kabhi ye abla ki ,urja ka sutradhaar hai,
to kabhi dupatta piya ko reejhane ka hathiyaar hai.
to kya hua 'gar isne aansoo liye aur diye,
ye bhi aaj 'raktim' hone ko bekarar hai.......
kyonki isi mein hai naari ki sarthakta,
yahi uski poornata ka aadhar hai...........

-- SAUMYA