Mangal Sutra

Nari ka apne pati ke prati vishwas,
uska sab kuch, uska raksha sutra,
jee haan wahi mangal sutra,
aaj khud ki pehchaan ka mohtaj bana hua hai,
jab padhi likhi striyaan dikhti hai kuch dukaano par,
kharidate bechte naye purane mangal sutra to,
mann kehta hai ki inse bhali to woh anphad nari hai,
jiske liye ek kaala dhaaga hi sahi,
sone chaandi ka naa sahi, phir bhi
unke liye aaj bhi wahi purana vishwas hai mangal sutra,
kam se kam unn aadhunik mahilaon ki tarah, inke liye
ek sajawat ki vastu nahi hai, mangal sutra,
kyon dhumil hoti jaa rahi hai iski chhavi,
shayad desh ne itni tarakki kar lee hai ki,
ab nari ki raksha iss dhage se sambhav nahi,
pehle kaha jaata tha ki mangal sutra ke bina,
nari ka ghar se bahar nikalna achha nahi hota,
lekin aaj mangal sutra to nahi lekin mobile,
jab tab nari ke saath dikhai padta hai.

jis bharat varsh ne apni sanskriti se,
anya deshon ko prakashit kiya,
wahin par aaj purani sanskriti aur paramparayein,
kisi andhkar mein doobti nazar aa rahi hai,
hai bharat ki padhi likhi sushikshit nari,
tum khud padho, khub likho, karo aganniya vikas,
har taraf failao apna parcham lekin,
bhartiya sanskriti, bhartiya parampara mat bhulo,
yeh mangal sutra aaj bhi prateek hai vishwas ka,
isse har dum, har pal apne sang rakho,
isse har dum, har pal apne sang rakho...

 

-- VICKY