Pehli Barish
Aaj mausam ki pehli barish hui
Dharti roopi dulhan…jo intezaar kar rahi thi apne priyatam ka ,
par aaj jamkar meh barsa.
Ghatayein,fizayein..sab jhoom si utheen
khil utha har jeevan.
Par main dartee rahi ,khud ko bheegone se.
Na jaane kyun???????????
Man kehta hai…shayad mausam ka achanak badalna theek nahi.
Par dil ko kaun samjhaye???
Ye to chchoona chahta hai,
Aakash ki anant oonchayiyon ko.
Doobna chahta hai,
Saagar ki rahasyamaya gehrayiyon mein.
Udna chahta hai ..unmukt pakhshi ki tarah.
Par ud nahi paata!!!
Na jaane kyun??????????
Man kehta hai…..shayad is paagal dil ka machalna theek nahi.
In boondon se to mera waisa hi rishta hai,
Jo patton, aur un par giri os ki boondon mein hota hai.
Wo pal bhar ke liye milte hain,
Aur ek doosre ke rang dvigunit (multiply)kar;
Phir anant mein vileen ho jaate hain.
Jagad lena chahtee hoon in meghon ko apne paash(embrace) mein,
Par agle hi pal kaanp uthti hoon.
Agar unhone mujhe bhigoya..to aage na jaane kya ho……….
Kaheen ve mere saare rang bahakar lete na jaayein.
Bheegne ki vikalta to hai,
Par phir bhi chchupa raka hai khud ko.
Na jaane kyun???????????
Man kehta hai……..shayad is tarah pighalna kuchch theek nahi….
-- SAUMYA