Swatantrata

"Swatantrata hai hamein jaan se pyari"
Zara swayam se poochkar dekho,
Kya tum partantra rehna pasand karoge?
Kya tum adheen rehna sweekar karoge?
Nahi na.
Tabhi to hamare poorvazon ne,jaan ki baazi laga,
Desh ko swatantra karaya,
Tabhi to unhone jaan par khel,
Desh ko bediyon se mukt karaya,
Swatantrata ka arth usse poochcho,
Jo partantra hai,
Kaid hai jo aur chchatpatata hai khuli hawa ke liye,
Khair chchodo,
Tum kya samajh paaoge ki swatantrata kya hai
Vo to mil gayi tumhein yun-hi
Kisi aur ke shram swaroop
Par tum maanav ho!
Ishwar ki sarvashreshtha kriti,
Pehchaano swayam ko, jhakjhoro antarman ko,
Tatolo,dhoondho,
Kahan chchupa rakha hai tumne
Wah bhartiya??????????
Jise pyaar tha apni matribhoomi se,
Tha jise apne mulyon-sanskriti par gumaan,
Jo maanta tha desh ko hi apna maan aur samman,
Dhoondho use,vo mara nahi SHAYAD abhi
Foonk do praan, us nishchest mein,
Jaagrit karo dekar use prerna ke swar,
Karo kuchch aisa, chanhu-or ho pragati ka manzar,
Desh ka karz to tum kabhi chuka na paaoge,
Par mitron,
Aaj pran lo bas itna,
Ki tum kuchch aisa kar dikhaaoge,
Ki chetna ki utth jaaye leher,
Har jan ho uthe jagrit,
Tumhare yash-pratap se,
Yeh vishwa ho utthe vismit,
Aur tum bhi sagarva keh sako yeh ki,
"Bharat mera desh hai"
"Aur main uska nagrik"

-- SAUMYA