Tum...
Haan aaj phir tumhari yaad aayi,
pehle sirf khwabon mein aane wale tum,
ab jeevan mein samane lage ho,
jo pehle kabhi saath mein bitaya tha,
har uss pal ko jeevant kar diya tumne,
aankhon ki bhasha ko samaft kar,
mukh se labj nikalne lage,
unn purane palon ke vrikshon par,
unn purani yaadon ki shakhaon par,
nayi pattiyaan nikal aayi.
lagta hai abhi avtarit hoge tum,
mujhe nayi ummeed, mujhe naya jeevan,
mujhe nischet mein abhi pran funkoge tum,
har aahat tumhare aane ka ehsaas dilati hai,
yeh shaam bhi phir wahi purani dastaan dohrati hai,
kyon bar bar mujhe lagta hai aaj,
phir aakar jeevan mehkaoge tum,
mere geeton ko suro mein sajaoge tum.
tum jaisa saathi na kabhi paya, na paoonga main,
yeh janm kya har janm mein aabhari rahoonga tumhara,
har uss kshan mein jhankar tumhari hai,
kan kan mein samaye jaise ram hai,
waise hi mere mann ke har kone mein tum ho,
har pal, har kshan, har jagah tumhi tum ho,
sirf tum ho...
-- VICKY