Woh Chale Gaye...
Armano se bhara dil tod kar,
aakhir aaj woh chale gaye,
jisne mujhe jeena sikhaya,
woh khud aaj meri zindagi se chale gaye,
jisne har bar mera haath tham ke saath diya,
kyon aaj woh saath chod chale gaye.
Ummeedon ke naye bahane lekar woh is dil mein aaye the,
nayi duniya basane ke irade se mujhmein samaye the,
phir kyon mujhe begana karke,
meri duniya banane se pehle hi use ujad kar chale gaye,
phir kyon aaj woh chale gaye.
is duniya mein jate to sabhi hai lekin,
woh itna jaldi kyon chale gaye,
mere pratyaksha(direct) prem bhav ko bina samajhe hi,
woh chale gaye, ya phir shayad usse samajh kar hi,
woh jaane ko majboor ho gaye.
kher jo bhi ho, lekin ek bar alvida to keh kar jaate,
isse na kehkar ek aur sandeh(doubt) utpann kar
woh chale gaye.
badi mushkil ke saath to zindagi ki,
chadhai (slope) ko ek sidha rasta banaya tha unhone,
lekin woh khud zindagi ki dhalan se neeche utar gaye,
mujhmein naye sapne jaga kar,
woh khud haqeeqat se sapna ban gaye,
aakhir woh chale gaye.
kahin ishwar mere jeevan mein uske ke roop mein to nahi aaya tha,
jo meri jeevan ko purna roop se sakaratmaka (+ve) karke,
khood shunya (zero) mein vilupt (invisible) ho gaya,
anta mein sirf ek hi baat kehna chahoonga,
agar woh aapko mile to unhe kehna,
mein ab bhi intezaar kar raha hoon.
-- VICKY