% ISB File: Aansoo_1953.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{aa.Nkho.n kaa taaraa, praaNo.n se pyaaraa}%
\film{Aansoo}%
\year{1953}%
\starring{}%
\singer{Lata}%
\music{Husnlal-Bhagatram}%
\lyrics{Qamar Jalalabadi}%

% Contributor: Neha Desai
% Transliterator: K Vijay Kumar

\printtitle
#indian

aa.Nkho.n kaa taaraa praaNo.n se pyaaraa 
jug jug jiye meraa laal re 
merii umariyaa mil jaaye tujhako 
jiita rahe sau saal re 
aa.Nkho.n kaa taaraa praaNo.n se pyaaraa   \threedots

pahale baras meraa nanhaa saa raajaa
kuu.N kuu.N muu.N muu.N bole
duuje baras bole roTii ko loTii
maiyyaa kaa dil Dole re 
maa.Nge khilaune gaa.Dii gho.De
jabake lage tiijaa saal re
aa.Nkho.n kaa taaraa praaNo.n se pyaaraa   \threedots

chauthe baras khele gillii DaNDaa
paise maa.N se maa.Nge re
naTakhaT raajaa maa.N ko sataaye
maa.N piichhe vo aage re 
ho~ o~ o~ o~
paaThashaalaa baabuu banakar
jaaye meraa laal re 
aa.Nkho.n kaa taaraa praaNo.n se pyaaraa   \threedots

khushiyo.n kii kiraNe.n phailaaye jag me.n
puunam kaa cha.ndaa hamaaraa re
bole baabul laa de dulhaniyaa
beTaa javaahar hamaaraa re 
o merii maiyyaa laal dushaalaa
beTaa chalaa sasuraal re 
aa.Nkho.n kaa taaraa praaNo.n se pyaaraa   \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{din pyaar ke aaye re}%
\film{Aansoo}%
\year{1953}%
\starring{}%
\singer{Rafi, Lata}%
\music{Husnlal-Bhagatram}%
\lyrics{Qamar Jalalabadi}%

% Contributor: Neha Desai
% Transliterator: K Vijay Kumar

\printtitle
#indian

rafii: din pyaar ke aaye re
       din pyaar ke aaye re
       nazar mil jaaye to gorii sharamaaye
       javaanii kahe haay
lataa: din pyaar ke aaye re
       din pyaar ke aaye re
       o raaja ye bataaye
       jo gorii sharamaaye
       to kaun kahe haay!
dono:  din pyaar ke aaye re

rafii: o gorii kah de priit ye kisane siikhaa_ii
       kisane tere naino.n kii nindiyaa churaa_ii
lataa: o~ o~ o~ o~ o~ oy
       mujhe naam to aaye re
       mujhe naam to aaye re
       kahaa bhi naa jaaye rahaa bhi na jaaye
       to kyo.n na kahuu.N haay!
dono:  din pyaar ke aaye re

lataa: o raajaa mohe apanii dulhaniyaa banaa le
       gore gore haatho.n me.n mehandii lagaa de
rafii: o~ o~ o~ o~ o~ o~
       dil Dar Dar jaaye re
       ke raajaa mehandii laaye
       dulhan nahii.n aaye
       to raajaa kahaa.N jaaye
dono:  din pyaar ke aaye re
       din pyaar ke aaye re

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{sun mere saajanaa, ho}%
\film{Aansoo}%
\year{1953}%
\starring{}%
\singer{Rafi, Lata}%
\music{Husnlal-Bhagatram}%
\lyrics{Qamar Jalalabadi}%

% Contributor: Sanjeev Rambhadran
% Transliterator: K Vijay Kumar

\printtitle
#indian


la: saajanaa ho, saajanaa ho
ra: saa.Nvarii o~~~~

la: sun mere saajanaa re, sun mere saajanaa
    dekho jii mujhako bhuul na jaanaa
    sun mere saajanaa re
ra: sun merii saa.Nvarii o, sun merii saa.Nvarii
    apanaa banaake chho.D na jaanaa
    sun merii saa.Nvarii o

ra: na tujhako mai.n bhulaa_uu.Ngaa, nigaaho.n me.n chhupaa_uu.Ngaa
    magar itanaa karo vaadaa ki rishtaa to.D na jaanaa
    sun merii saa.Nvarii o

la: ye rishtaa chaar aa.Nkho.n kaa mere saajan na TuuTegaa
    jo mujhako aazamaanaa ho to Dolii leke aa jaanaa
    sun mere saajanaa re

ra: baje jis roz shahanaa_ii samajh lenaa baaraat aayii
    o aramaano.n kii Dolii me.n tu dulahan ban ke aa jaanaa
    sun merii saa.Nvarii o

la: agar qisamat badal jaaye, judaa_ii hamako ta.Dapaaye
    qasam hai pyaar kii tujhako tu mujhase ruuTh na jaanaa
    sun mere saajanaa re

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
