% ISB File: Aarambh_1976.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{sabhii sukh duur se guzare.n}%
\film{Aarambh}%
\year{1976}%
\starring{Rakesh Pande, Rama Vij, Kishore Kapoor, Vipin Gupta}%
\singer{Mukesh}%
\music{Anand Shankar}%
\lyrics{Harish Bhadani}%

% Contributor: V S Rawat, Feb 1, 2003
% Comments: GEETanjalii series

\printtitle
#indian

sabhii sukh duur se guzare.n guzarate hii chale jaa_e.n
magar pii.Daa umar bhar saath chalane ko utaaruu hai
sabhii dukh duur se guzare \threedots

hamaaraa dhuup me.n ghar chhaa.Nv kii kyaa baat jaane.n ham
abhii tak to akele hii chale kyaa saath jaane.n ham
bataa de.n kyaa ghuTan kii ghaaTiyaa.N kaisii lagii.n hamako
sadaa na.ngaa rahaa aakaash kyaa barasaat jaane.n ham
bahaare.n duur se guzare.n guzaratii hii chalii jaa_e.n
magar patajha.D umar bhar saath chalane ko utaaruu hai
sabhii dukh duur se guzare \threedots

aTaarii ko dharaa se kis tarah aavaaz de de.n ham
me.nhadiyaa paa.Nv ko kyo.n duur kaa andaaz de de.n ham
chale shamashaan kii deharii vahii hai saath kii sa.nGYaa
baraf ke ek but ko aasthaa kii aa.Nch kyo.n de.n ham
hame.n apane sabhii bisare.n bisarate hii chale jaa_e.n
magar sudhiyaa.N umar bhar saath chalane ko utaaruu hai
sabhii dukh duur se guzare \threedots

sukho.n kii aa.Nkh se to baa.nchanaa aataa nahii.n hamako
sukho.n kii saakh se to aa.Nkanaa aataa nahii.n hamako
chale.n chalate rahe.n umar bhar ham piir kii raahe.n
sukho.n kii laaj se Dhaa.npanaa aataa nahii.n hamako
nihore duur se guzare.n guzarate hii chale jaa_e.n
magar anaban umar bhar saath chalane ko utaaruu hai
sabhii dukh duur se guzare \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{vaadiyo.n me.n kho jaa_e.n ham tum}%
\film{Aarambh}%
\year{1976}%
\starring{Rakesh Pande, Rama Vij, Kishore Kapoor, Vipin Gupta}%
\singer{Mukesh, Aarti Mukherjee}%
\music{Anand Shankar}%
\lyrics{Shakeel Ahmed}%

% Contributor: V S Rawat
% Comments: GEETanjalii series

\printtitle
#indian

vaadiyo.n me.n kho jaa_e.n ham tum
aa_o in vaadiyo.n me.n kho jaa_e.n ( ham tum ) \-2
ye samaa.N hai suhaanaa
haa.N jii haa.N suhaanaa
ho jaa_e.n gumasum
aa_o in vaadiyo.n me.n kho jaa_e.n \threedots

mujhe dono.n jahaa.N kii mil ga_ii hai.n Kushiyaa.N
tum jo mile hamaraahii mile
dil kaa ye chaman phir lagaa muskuraane
aramaano.n ke hai.n phuul khile
tum hii to ho sahaaraa
haa.N jii haa.N sahaaraa
chalate jaa_e.n ham
aa_o in vaadiyo.n me.n kho jaa_e.n \threedots

pyaaraa ye samaa.N hai mausam bhii javaa.N hai
chaaro.n taraf husn kii daastaa.N hai
mujhe lagataa hai jaise hame.n dekhakar ye
lagaa muskaraane zamii.n aasamaa.n hai
pyaar me.n ho ke diivaanaa
jaise ye saaraa zamaanaa
apanii dhun me.n Gum
aa_o in vaadiyo.n me.n kho jaa_e.n \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
