% ISB File: AazaadDeshKeGhulaam_1990.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{gulaamii kaa ghanaa a.Ndheraa ... roko zulmo.n kii aa.ndhii ko}%
\film{Aazaad Desh Ke Ghulaam}%
\year{1990}%
\starring{Rekha, Rishi, Jackie, Pran, Prem Chopra, Ashalata, Rakesh Bedi}%
\singer{Kavita Subramaniam, Mohammed Aziz}%
\music{Laxmikant Pyarelal}%
\lyrics{Sameer}%

% Contributor: V S Rawat

\printtitle
#indian

gulaamii kaa ghanaa a.Ndheraa bhaarat me.n thaa chhaayaa
inqalaab kaa naaraa gaa.ndhii neharuu ne doharaayaa
bhagatasi.nh aazaad ne apane lahuu kii nadii bahaa dii
jaane.n luTaa ke viiro.n ne aazaadii hame.n dilaa dii
roko zulmo.n kii aa.ndhii ko nafarat kaa lahuu mat bahane do
kam se kam pyaar kii dharatii par to pyaar ko zi.ndaa rahane do
roko zulmo.n kii aa.ndhii \threedots

bhuukh gariibii bhaarii chauraaho.n par luT ga_ii naarii
ghar me.n ghus kar golii maarii paka.Daa gayaa na atyaachaarii
insaanii ruuho.n ke andar samaa gayaa hai haivaan dari.ndaa
bech rahaa beTii kii asmat jalaa diyaa dulhan ko zi.ndaa
jinakii kokh se paidaa hu_e use izzat ke gahane do
roko zulmo.n kii aa.ndhii \threedots

kaTe jism ko aur kahaa.n tak kaaToge batalaa_o
ik maa.N ko kitane hisso.n me.n baa.nToge batalaa_o
kaTe hu_e Tuka.Do.n ko gar tum jo.D sako to jo.Do
maar ke patthar apanii maa.N kaa sar aise na pho.Do
a.ng a.ng zakhmii hai kyo.n zakhmo.n ko sahane do
roko zulmo.n kii aa.ndhii \threedots

chiikh rahii hai bhaarat maataa gaa.ndhii gaa.ndhii vaapas aa_o
aazaad desh kii mai.n gulaam aazaadii mujhe dilaa_o
lipaT ga_ii hai tumase aakar apanii bhaarat maataa
bachaa lo isakii laaj mere bhaarat ke bhaagya vidhaataa

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{saare shikave gile bhulaa ke kaho ... dil naa to.De.nge kasam khaa ke kaho}%
\film{Aazaad Desh Ke Ghulaam}%
\year{1990}%
\starring{Rekha, Rishi, Jackie, Pran, Prem Chopra, Ashalata, Rakesh Bedi}%
\singer{Anuradha Paudwal, Mohammed Aziz}%
\music{Laxmikant Pyarelal}%
\lyrics{Sameer}%

% Contributor: V S Rawat

\printtitle
#indian

saare shikave gile bhulaa ke kaho jo bhii kahanaa hai muskaraa ke kaho

dil naa to.De.nge kasam khaa ke kaho mujhako apane gale lagaa ke kaho
saare shikave gile \threedots

merii kasamo.n kaa vastaa de ke aise na jaa_o khafaa ho ke
aa_o mere kariib aa ke kaho
jo bhii kahanaa hai \threedots

har kadam mere saath aa_oge vaadaa karake na bhuul jaa_oge
apanii saa.Nso.n me.n tum basaa ke kaho
mujhako apane gale \threedots

dam bhar saath ham nibhaa_e.nge ek pal bhii naa duur jaa_e.nge
ab kabhii tumase ham naa ruuThe.nge phir ye sapane kabhii na TuuTe.nge
tum nazar se nazar milaa ke kaho
dil naa to.De.nge \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
