% ISB File: AbDilliDoorNahin_1957.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{chun chun karatii aaii chi.Diyaa}%
\film{Ab Dilli Door Nahin}%
\year{1957}%
\starring{Motilal, Romi, Sulochana, Yakub, Nana Palsikar}%
\singer{Rafi}%
\music{Dattaram}%
\lyrics{Shailendra}%

% Contributor: David Windsor <windeng@fac.anu.edu.au>
% Transliterator: David Windsor <windeng@fac.anu.edu.au>
% Credits: David Windsor <windeng@fac.anu.edu.au>
%          Shashikant Joshi (rava0002@gold.tc.umn.edu>
% Editor: Anurag Shankar <anurag@chandra.cis.brown.edu>
%         Rajiv Shridhar <rajiv@coe.neu.edu)

\printtitle
#indian

chun chun karatii aaii chi.Diyaa
daal kaa daanaa laaii chi.Diyaa
mor bhii aayaa kauvaa bhii aayaa
chuuhaa bhii aayaa bandar bhii aayaa
(khau.n, khau.n, khau.n khau.n khau.n)
chun chun karatii aaii chi.Diyaa

bhuukh lage to chi.Diyaa raanii
muu.Ng kii daal pakaaegii, (daal pakaaegii \- 2)
kauvaa roTii laaegaa laake use khilaaegaa
mor bhii aayaa kauvaa bhii aayaa
chuuhaa bhii aayaa bandar bhii aayaa
(khau.n, khau.n, khau.n khau.n khau.n)
chun chun karatii aaii chi.Diyaa

chalate chalate milegaa bhaaluu
ham bole.nge naacho kaaluu, (naacho kaaluu \- 2)
munnA Dhol bajaaegaa, bhaaluu naach dikhaaegaa
mor bhii aayaa kauvaa bhii aayaa
chuuhaa bhii aayaa bandar bhii aayaa
(khau.n, khau.n, khau.n khau.n khau.n)
chun chun karatii aaii chi.Diyaa

saath hamaare chale baraatii
mai.n to huu.N munne kaa haathii, munne kaa haathii
siidhe dillii jaauu.Ngaa
terii dulhaniyaa laauu.Ngaa
mor bhii aayaa kauvaa bhii aayaa
chuuhaa bhii aayaa bandar bhii aayaa
(khau.n, khau.n, khau.n khau.n khau.n)
chun chun karatii aaii chi.Diyaa

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{maalik tere jahaa.N me.n}%
\film{Ab Dilli Door Nahin}%
\year{1957}%
\starring{Motilal, Romi, Sulochana, Yakub, Nana Palsikar}%
\singer{Sudha Malhotra}%
\music{Dattaram}%
\lyrics{Shailendra}%

% Contributor: Srinivas Ganti
% Transliterator:Srinivas Ganti
% Date: 24th October 2002

\printtitle
#indian

maalik tere jahaa.N me.n, itanii(kitanii ?) bade jahaa.N me.n
(koii nahii.n hamaaraa)\-2
maalik tere jahaa.N me.n

ab kis kii dwaar jaauu.N
dukh me.n kise bulaauu.N
sab ? gaye kinaaraa
koii nahii.n hamaaraa
maalik tere jahaan me.n

kis haal me.n bhii dekho
Thukaraa rahii hai duniyaa
(ham par banii to ham se takaraa rahii hai duniyaa)\-2
naa aas naa dilaasaa
sab to hai ik tamaashaa
jhuuTaa hai har sahaara
koii nahii.n hamaaraa
maalik tere jahaa.N me.n

sar pe ? paayaa
mujh se biccha.D gaye hai.n
(ummiid ke vo motii, aa.Nsuu me.n dhal gaye hai.n)\-2
kyaa raat kyaa saveraa
haatho.n pahar a.ndheraa
TuuTaa har ek taaraa
koii nahii.n hamaaraa
(maalik tere jahaa.N me.n, itanii bade jahaa.N me.n)\-2
(koii nahii.n hamaaraa)\-2
maalik tere jahaa.N me.n

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{maataa o maataa}%
\film{Ab Dilli Door Nahin}%
\year{1957}%
\starring{Motilal, Romi, Sulochana, Yakub, Nana Palsikar}%
\singer{Sudha Malhotra}%
\music{Dattaram}%
\lyrics{Shailendra}%

% Contributor: David Windsor (windeng@fac.anu.edu.au)
% Transliterator: David Windsor (windeng@fac.anu.edu.au)
% Credits: David Windsor (windeng@fac.anu.edu.au), Satish Kalra
% Editor: Anurag Shankar (anurag@chandra.astro.indiana.edu)

\printtitle
#indian

maataa o maataa \- jo tuu aaj hotii
mujhe yuu.N bilakhataa agar dekh letii
terA dil TuuT jaataa
maataa o maataa

mujhe chuum kar tuune ek din kahaa thaa
mere laaDale tuu to raajaa banegaa
beaas, beghar mai.n phirataa huu.N dar\-dar
mujhe yuu.N bhaTakataa agar dekh letii
terA dil TuuT jaataa-
maataa o maataa

ik raat jab nii.nd mujhako na aaii
tuune vo pariyo.n kii lorii sunaaii
to sapane jage, nii.nd pal bhar me.n aaii
jag so rahaa hai mai.n jaaguu.n akelaa
mujhe yuu.N ta.Dapataa agar dekh letii
terA dil TuuT jaataa
maataa o maataa

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{ye chaman hamaaraa apanaa hai}%
\film{Ab Dilli Door Nahin}%
\year{1957}%
\starring{Motilal, Romi, Sulochana}%
\singer{Geeta, Asha, chorus}%
\music{Dattaram}%
\lyrics{Shailendra}%

% Contributor: Prithviraj Dasgupta
% Transliterator: Prithviraj Dasgupta

\printtitle
#indian

aa:  ye chaman hamaaraa apanaa hai
     is desh pe apanaa raaj hai
ko:  is desh pe apanaa raaj hai
aa:  mat kaho ke sar pe Topii hai
     kaho sar pe hamaare taaj hai
ko:  kaho sar pe hamaare taaj hai
aa:  ye chaman hamaaraa apanaa hai \threedots

gii: aatii thii ek divaalii
aa:  aa aa aa
ko:  aatii thii ek divaalii
gii: baraso.n me.n kabhii khushahaalii
aa:  ab to har ek vaar ek tyauhaar hai
     ye ubharataa sa.Nvaarataa samaaj hai
aa:  ye chaman hamaaraa \threedots

aa:  aa aa aa aa
gii: ye jaan se pyaarii dharatii
aa:  aa aa aa
ko:  ye jaan se pyaarii dharatii
gii: duniyaa kii dulaarii dharatii
aa:  o ye aman kaa diyaa aa.Ndhiyo.n me.n jalaa
     saarii duniyaa ko is pe naaz hai
aa:  ye chaman hamaaraa apanaa hai\threedots

aa:  ho dekh lo kahii.n Gam na rahe kahii.n Gam na rahe
ko:  kahii.n Gam na rahe kahii.n Gam na rahe
aa:  o roshanii kahii.n kam na rahe kahii.n Gam na rahe
ko:  kahii.n Gam na rahe kahii.n Gam na rahe
aa:  saare sa.nsaar kii aa.Nkh ham pe lagii
     apane haatho.n me.n apanii laaj hai

ko:  ye chaman hamaaraa apanaa hai
     is desh pe apanaa raaj hai

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
