% ISB File: Afsaanaa_1951.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{aaj kuchh aisii choT lagii hai}%
\film{Afsaanaa}%
\year{1951}%
\starring{Ashok Kumar, Bina, Jivan, Kuldip Kaur, Pran, Cukoo}%
\singer{Lata}%
\music{Husnlal-Bhagatram}%
\lyrics{Asad Bhopali}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, May 19, 2005

\printtitle
#indian

aaj kuchh aisii choT lagii hai
TuuT gayaa paimaanaa dil kaa TuuT gayaa paimaanaa
ko_ii nahii.n duniyaa me.n apanaa
kaun sune afasaanaa dil kaa kaun sune afasaanaa

( yaad me.n jisakii din biite hai.n
jisake sahaare ham jiite hai.n
jisake sahaare ham jiite hai.n ) \-2
aaj usii ne Thukaraayaa hai 
pyaar bharaa nazaraanaa dil kaa pyaar bharaa nazaraanaa

aaj kuchh aisii choT lagii hai
TuuT gayaa paimaanaa dil kaa TuuT gayaa paimaanaa

( kaisaa shikawaa kisakii shikaayat
dekh liyaa anjaam\-e\-mohabbat
dekh liyaa anjaam\-e\-mohabbat ) \-2
aap hii apanii aag me.n jal kar
Kaaq hu_aa parawaanaa dil kaa Kaaq hu_aa parawaanaa

aaj kuchh aisii choT lagii hai
TuuT gayaa paimaanaa dil kaa TuuT gayaa paimaanaa

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{duniyaa ek kahaanii re bhaiyaa}%
\film{Afsaanaa}%
\year{1951}%
\starring{Ashok Kumar, Bina, Jivan, Kuldip Kaur, Pran, Cukoo}%
\singer{Rafi}%
\music{Husnlal-Bhagatram}%
\lyrics{Saraswati Kumar Deepak}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, May 19, 2005

\printtitle
#indian

duniyaa ek kahaanii re bhaiyaa duniyaa ek kahaanii \-2
tuune kah dii mai.nne kah dii duniyaa ek kahaanii
is duniyaa ke mele me.n ko_ii raajaa hai ko_ii raanii
duniyaa ek kahaanii re bhaiyaa duniyaa ek kahaanii

is mele me.n haar jiit hai aur mele kaa mel \-2
is mele me.n u.Dan khalTole haathii gho.De rel
kahii.n hiNDole kahii.n tamaashe tarah tarah ke khel
is mele me.n paanaa khonaa jiiwan bahataa paanii
re bhaiyaa duniyaa ek kahaanii \-2
duniyaa ek kahaanii re bhaiyaa duniyaa ek kahaanii

hariyal le lo pariyal le lo le lo chandaa taaraa
aa_o chunnuu aa_o munnuu
aa_o chunnuu aa_o munnuu le lo nayaa gubbaaraa
muniyaa raanii
muniyaa raanii hame.n bataa do kyaa hai naam tumhaaraa
kas kar Dor paka.Danaa biTiyaa mat karanaa naadaanii
is dhaage me.n ba.Ndhii rahegii terii priit puraanii
re bhaiyaa duniyaa ek kahaanii \-2
duniyaa ek kahaanii re bhaiyaa duniyaa ek kahaanii

aaj yahaa.N kal kahaa.N hame.n le jaayegii taqadiir
kaun kahe kisakii aa.Nkho.n me.n kab bhar aaye niir
ek baar jo khi.nchii priit kii miTatii nahii.n lakiir
bhuul na jaanaa bhaTak na jaanaa maayaa aanii jaanii
re bhaiyaa duniyaa ek kahaanii \-2
duniyaa ek kahaanii re bhaiyaa duniyaa ek kahaanii

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{Kushiyo.n ke din manaye jaa ... abhii to mai.n jawaan huu.N}%
\film{Afsaanaa}%
\year{1951}%
\starring{Ashok Kumar, Bina, Jivan, Kuldip Kaur, Pran, Cukoo}%
\singer{Lata}%
\music{Husnlal-Bhagatram}%
\lyrics{Gaafil Haranaalwi}%

% Contributor: Sudhir, 17/01/2004
% Transliterator: V S Rawat, 17/01/2004

\printtitle
#indian

Kushiyo.n ke din manaye jaa
dil ke taraane gaaye jaa
tujh ko jawaani kii qasam
dil kii lagii bujhaaye jaa

duniyaa merii basaaye jaa
aajaa piyaa aajaa piyaa
abhii to mai.n jawaan huu.N \-3

abhii to mai.n jawaan huu.N \-3

zaahid yuu.Nhii badnaam hai
Gam se tujhe kyaa kaam hai
yah muskuraatii zindagii
zindaadilii kaa naam hai
dil dil se muskuraaye jaa
kuchh gaaye jaa bal khaaye jaa
abhii to mai.n jawaan huu.N \-3

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{mohabbat kaa dono.n ke dil par asar hai}%
\film{Afsaanaa}%
\year{1951}%
\starring{Ashok Kumar, Bina, Jivan, Kuldip Kaur, Pran, Cukoo}%
\singer{Shamshad}%
\music{Husnlal-Bhagatram}%
\lyrics{Asad Bhopali}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, May 19, 2005

\printtitle
#indian

mohabbat kaa dono.n ke dil par asar hai \-2
na unako Kabar hai na hamako Kabar hai \-2

uma.ngo.n ke din hai.n jawaanii kii raate.n \-2
nigaaho.n ne kii hai.n nigaaho.n se baate.n
jo haalat idhar hai wo haalat udhar hai
na unako Kabar hai na hamako Kabar hai \-2

( wo jis din se aaye hai.n mehamaan dil me.n
wo mehamaan dil me.n ) \-2
machalate hai.n rah rah ke aramaan dil me.n
mohabbat kii pahalii nazar kyaa nazar hai
na unako Kabar hai na hamako Kabar hai \-2

o duur hai.n ab tak mohabbat ke sapane.n \-2
meraa haath le lo tum haatho.n me.n apane
bahut duur ma.nzil hai mushkil safar hai
na unako Kabar hai na hamako Kabar hai \-2
mohabbat kaa dono.n ke dil par asar hai \-2
na unako Kabar hai na hamako Kabar hai \-2

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{qismat biga.Dii duniyaa badalii phir kaun kisii kaa}%
\film{Afsaanaa}%
\year{1951}%
\starring{Ashok Kumar, Bina, Jivan, Kuldip Kaur, Pran, Cukoo}%
\singer{Mukesh}%
\music{Husnlal Bhagatram}%
\lyrics{Asad Bhopali}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10232 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

qismat biga.Dii duniyaa badalii phir kaun kisii kaa hotaa hai
ai duniyaa vaalo.n sach to kaho kyaa pyaar bhii jhuuThaa hotaa hai
qismat biga.Dii duniyaa \threedots

jab buraa zamaanaa aataa hai saayaa bhii judaa ho jaataa hai
vahii dil par choT lagaataa hai jo dil ko pyaaraa hotaa hai
qismat biga.Dii duniyaa \threedots

duniyaa me.n vafaa kaa naam nahii.n duniyaa ko vafaa se kaam nahii.n
sab jisako mohabbat kahate hai.n naadaan vo dhokhaa hotaa hai
qismat biga.Dii duniyaa \threedots

tuufaan se kashtii bach nikalii saahil pe pahu.Nchakar Duub ga_ii
bhagavaan tumhaarii duniyaa me.n andher ye kaisaa hotaa hai
qismat biga.Dii duniyaa \threedots

nekii kaa natiizaa nekii hai a.njaam buraa_ii kaa hai buraa
qaanuun yahii hai qudarat kaa ko_ii kuchh bhii kahe kyaa hotaa hai
qismat biga.Dii duniyaa \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{tere Kayaal me.n ... kahaa.N hai tuu mere ... jawaanii aa ga_ii hai}%
\film{Afsaanaa}%
\year{1951}%
\starring{Ashok Kumar, Bina, Jivan, Kuldip Kaur, Pran, Cukoo}%
\singer{Lata}%
\music{Husnlal Bhagatram}%
\lyrics{Asad Bhopali}%

% Contributor: BOL ANAMOL #11894 [V S Rawat]
% Song courtesy: http://www.indianscreen.com (Late Shri Amarjit Singh)

\printtitle
#indian

tere Kayaal me.n bachapan kii zindagii guzarii
jawaanii aa_ii to tujhako pukaaratii aa_ii

kahaa.N hai tuu mere sapano.n ke raajaa \-2
jawaanii aa ga_ii hai ab to aa jaa
ab to aa jaa

qasam hai dil ke aramaano.n kii tujhako \-2
qasam bachapan ke afasaano.n kii tujhako
vo hii ra.ngiin afasaane sunaa jaa
jawaanii aa ga_ii hai ab to aa jaa
ab to aa jaa

tujhe aawaaz dete hai.n sitaare
bahaare.n kar rahii hai.n kuchh ishaare
kuchh ishaare
ishaaro.n kaa mujhe matalab bataa jaa
jawaanii aa ga_ii hai ab to aa jaa
ab to aa jaa

zubaa.N pe dil kii baate.n aa ga_ii hai.n \-2
ba.Dii bedard raate.n aa ga_ii hai.n
merii raato.n ko aa kar jagamagaa jaa
jawaanii aa ga_ii hai ab to aa jaa
ab to aa jaa

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{wo aaye bahaare.n laaye bajii shahanaa_ii}%
\film{Afsaanaa}%
\year{1951}%
\starring{Ashok Kumar, Bina, Jivan, Kuldip Kaur, Pran, Cukoo}%
\singer{Lata}%
\music{Husnlal-Bhagatram}%
\lyrics{Asad Bhopali}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, May 19, 2005

\printtitle
#indian

( wo aaye bahaare.n laaye bajii shahanaa_ii
rut piyaa milan kii aa_ii
ho rut piyaa milan kii aa_ii ) \-2

jiyaa laharaaye nazar sharamaaye
nashaa saa a.ng a.ng me.n Dole ho Dole
kisii ko paa ke tamannaa jaage
kisii ko dekh ke nainaa bole ho bole
wo nikalaa chaa.Nd chaa.Ndanii chaa_ii

rut piyaa milan kii aa_ii
ho rut piyaa milan kii aa_ii 
wo dekho chaa.Ndanii chhaa_ii
wo aaye bahaare.n laaye bajii shahanaa_ii
rut piyaa milan kii aa_ii
ho rut piyaa milan kii aa_ii 

gagan pe naach rahe hai.n taare
chaman me.n jhuum rahii hai.n kaliyaa.N ho kaliyaa.N
bahut din baad hu_ii aabaad
ye mere pyaar kii suunii galiyaa.N ho galiyaa.N
meraa dil lene lagaa a.nga.Daa_ii

rut piyaa milan kii aa_ii
ho rut piyaa milan kii aa_ii 
wo dekho chaa.Ndanii chhaa_ii
wo aaye bahaare.n laaye bajii shahanaa_ii
rut piyaa milan kii aa_ii
ho rut piyaa milan kii aa_ii 

Fizaa.N me.n ra.ng hai.n dil ke sa.ng
uma.nge.n khel rahii hai.n holii ho holii
kisii ne ek nazar me.n bhar dii
hamaare aramaano.n kii jholii ho jholii
jawaanii ghuu.NghaT me.n sharamaa_ii

rut piyaa milan kii aa_ii
ho rut piyaa milan kii aa_ii 
wo dekho chaa.Ndanii chhaa_ii
wo aaye bahaare.n laaye bajii shahanaa_ii
rut piyaa milan kii aa_ii
ho rut piyaa milan kii aa_ii 

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
