% ISB File: AisaBhiHotaHai_1964(PAKISTAN).txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{ho tamannaa aur kyaa jaan\-e\-tamannaa aap hai}%
\film{Aisa Bhi Hota Hai (Pakistani-Film)}%
\year{1964}%
\starring{}%
\singer{Noorjehan}%
\music{Nisar Bazmi}%
\lyrics{Fazal Karim Fazli}%

% Contributor: Nimish Pachapurkar
% Transliterator: Nimish Pachapurkar
% Comments: NOOR-E-TARANNUM Series #10
% Date: 6th October 2002

\printtitle
#indian

ho tamannaa aur kyaa, jaan\-e\-tamannaa aap hai
kyaa karuu.Ngii le ke duniyaa, merii duniyaa aap hai

sharm aatii hai mujhe apane se bhii kahate hue
aap se kaise kahuu.N mere liye kyaa aap hai
ho tamannaa aur kyaa, jaan\-e\-tamannaa aap hai

aap se pahale nazar me.n kuchh na thaa apane sivaa
ab jidhar bhii dekhatii huu.N jalawaa parawaa(?) aap hai

ho tamannaa aur kyaa, jaan\-e\-tamannaa aap hai
kyaa karuu.Ngii le ke duniyaa, merii duniyaa aap hai

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
