% ISB File: Aitbaar_1985.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{aavaaz dii hai aaj ik nazar ne}%
\film{Aitbaar}%
\year{1985}%
\starring{Raaj Babbar, Dimpal Kapadia, Suresh Oberoi}%
\singer{Asha, Bhupinder}%
\music{Bappi Lahiri}%
\lyrics{Hasan Kamaal}%

% Credits: Amit N. Agarwal (agarwal@stjames.stanford.edu)

\printtitle
#indian

bhuu: aavaaz dii hai aaj ik nazar ne 
	    yaa hai ye dil ko gumaa.N
	    doharaa rahii.n hai.n jaise fazaaye.n
	    bhuulii huii daastaa.N \- 2

aa:   lauT aayii hai.n phir ruuThii bahaare.n
	    kitanaa hasiin hai samaa
	    duniyaa se kah do na ham ko pukaare
	    ham kho gaye hai.n yahaa.N \- 2

bhuu: jiivan me.n kitanii viiraaniyaa.N thii
	    chhaayii thii kaisii udaasii
	    sunakar kisii ke kadamo.n kii aahaT
	    halachal huii hai zaraa sii \- 2

	    saagar me.n jaise lahare.n uThii.n hai.n
	    TuuTii hai.n khaamoshiyaa.N
	    doharaa rahii.n hai.n jaise fazaaye.n
	    bhuulii huii daastaa.N 

aa : tuufaan me.n khoii kashtii ko aakhir 
	    mil hii gayaa phir kinaaraa
	    ham chho.D aaye Kaabo.n kii duniyaa
	    dil ne tere jab pukaaraa \- 2

	    kabase kha.Dii thii baahe.n pasaare 
	    is dil kii tanhaaiyaa.N
	    duniyaa se kah do na ham ko pukaare
	    ham kho gaye hai.n yahaa.N 

bhuu: ab yaad aayaa kitanaa adhuuraa 
	    ab tak thaa dil kaa fasaanaa

aa: yuu.N paas aake dil me.n samaake 
	    daaman na hamase chhu.Daanaa \- 2

aa: jin raasto.n par tere kadam ho.n
	    ma.njil hai merii vahaa.N 
	    duniyaa se kah do na ham ko pukaare
	    ham kho gaye hai.n yahaa.N	
	    lauT aayii hai.n phir ruuThii bahaare.n
	    kitanaa hasiin hai samaa.N 
	    duniyaa se kah do na ham ko pukaare
	    ham kho gaye hai.n yahaa.N 

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{kisii nazar ko teraa intezaar aaj bhii hai}%
\film{Aitbaar}%
\year{1985}%
\starring:{Dimple, Suresh Oberoi, Raj Babbar}% 
\singer{Asha, Bhupinder}%
\music{Bappi Lahiri}%
\lyrics{Hasan Kamaal}%

% Contributor: Nita Awatramani
% Transliterator: Nita Awatramani
% Date: November 18 1997

\printtitle
#indian

Bhupinder:
kisii nazar ko teraa i.ntazaar aaj bhii hai
kahaa.N ho tum ki ye dil beqaraar aaj bhi hai

Bhupinder: 
vo vaadiyaa.N vo fazaaye.n ki ham mile the jahaa.N
merii vafaa kaa vahii.n par mazaar aaj bhii hai

Bhupinder:
na jaane dekh ke kyo.n un ko ye huaa ehasaas
ki mere dil pe u.nhe.n iKhtiyaar aaj bhii hai

Asha:
vo pyaar jis ke liye hamane chho.D dii duniyaa
vafaa kii raah pe ghaayal vo pyaar aaj bhii hai

Bhupinder:
yakii.n nahii.n hai magar aaj bhii ye lagataa hai
merii talaash me.n shaayad bahaar aaj bhii hai

Asha:
na puuchh kitane mohabbat ke zaKhm khaaye hai.n
ki jin ko soch ke dil soGavaar aaj bhii hai

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
