% ISB File: Anhonee_1952.txt, dated: May 27, 2005

\startsong 
\stitle{is dil kii haalat kyaa kahiye}%
\film{Anhonee}%
\year{1952}%
\starring{Raj Kapoor,Nargis}%
\singer{Lata}%
\music{Roshan}%
\lyrics{Sardar Jaafri}%

% Contributor:  Srinivas Ganti
% Transliterator:  Hrishi Dixit 
% Date: December 7, 2000
% Comments: LATAnjali series 

\printtitle 
#indian 

is dil kii haalat kyaa kahiye 
jo shaad bhii hai naashaad bhii hai 
is dil kii haalat kyaa kahiye 
jo shaad bhii hai naashaad bhii hai 

kuchh kho bhii diyaa kuch paa bhii liyaa 
kuchh kho bhii diyaa kuch paa bhii liyaa 
ik raag khushii ne gaa bhii liyaa 
aur ho.NTho.n pe fariyaad bhii hai 
dil shaad bhii hai naashaad bhii hai 

is dil kii haalat kyaa kahiye 
jo shaad bhii hai naashaad bhii hai 

bujhate hai.n chiraaG 
bujhate hai.n chiraaG uThataa hai dhu_aa.N 
siine me.n basaa hai Gam kaa jahaa.N 
aabaad bhii hai barabaad bhii hai 
dil shaad bhii hai naashaad bhii hai 

is dil kii haalat kyaa kahiye 
jo shaad bhii hai naashaad bhii hai 

chaahat kaa zamaanaa dekhaa thaa 
chaahat kaa zamaanaa dekhaa thaa 
ik Kvaab suhaanaa dekhaa thaa 
kuchh bhuul gaye kuchh yaad bhii hai 
dil shaad bhii hai naashaad bhii hai 

is dil kii haalat kyaa kahiye 
jo shaad bhii hai naashaad bhii hai 

#endindian 
\endsong 

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{mai.n dil huu.N ik aramaan bharaa}% 
\film{Anhonee}%
\year{1952}%
\starring{Raj Kapoor}%
\singer{Talat}%
\music{Roshan}%
\lyrics{Satyendra}%

% Contributor: ShashiKant Joshi (rava0002@gold.tc.umn.edu)
% Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@chandra.astro.indiana.edu)
% Credits: Surajit Bose
% Comments: Pankha Road se Pintu Diwana [3]
% 	 a gem and VERY handy if you are still in the wooing phase :)

\printtitle 
#indian 

mai.n dil huu.N ik aramaan bharaa 
tuu aake mujhe pahachaan zaraa
ik saagar huu.N Thaharaa Thaharaa \-2
tuu aake mujhe pahachaan zaraa

mai.n dil huu.N ik aramaan bharaa

Kud maine husn ke hAtho.n me.n, 
shokhii kaa chhalakataa jaam diyaa 
gaalo.n ko gulaabo.n kaa rutabaa, 
kaliyo.n ko labo.n kaa naam diyaa, naam diyaa 
aa.Nkho.n ko diyaa saagar gaharaa \- 2 
tuu aake mujhe pahachaan zaraa 

ye sach hai, terI mahafil me.n, 
mere afasaane kuchh bhI nahii.n 
par dil kii daulat ke aage 
duniyaa ke khazaane kuchh bhI nahii.n 
yuu.n mujhase nigAho.n ko nA churaa  \- 2 
tuu aake mujhe pahachaan zaraa 

ye jhilamil karte hue diye \- 2
aakhir ik din bujh jaaye.nge
daulat ke nashe me.n Duube hue
ye raag ra.ng miT jaaye.nge
guu.Njegaa magar ye giit meraa \- 2
ye giit meraa

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{mere dil kii dha.Dakan kyaa bole}%
\film{Anhonee}%
\year{1952}%
\starring{Raj Kapoor}%
\singer{Talat, Lata}%
\music{Roshan}%
\lyrics{Shailendra}%

% Contributor: Vijay Kumar
% Transliterator: Vijay Kumar

\printtitle
#indian

mere dil kii dha.Dakan kyaa bole? 
  - kyaa bole?
mai.n jaanuu.N aur tuu jaane
mai.n jaanuu.N aur tuu jaane
meraa pyaar bharaa man kyo.n Dole?
  - kyo.n Dole?
mai.n jaanuu.N aur tuu jaane
mai.n jaanuu.N aur tuu jaane

chalii gayii raat mad_bharii havaa_o.n ke Dole pe ho ke savaar
de gayii chaa.Nd kii pari nigaaho.n ko sapano.n kaa paagal Kumaar
hame.n kis ne diye ye nazaraane
  - kaun jaane
mai.n jaanuu.N aur tuu jaane \threedots

mahakii thii raat kii raanii khile the gagan me.n chamelii ke phuul
puuchhaa mai.n ne kaan me.n tum se muhabbat hai kaisii mazedaar bhuul
mai.n sun ke lagii kyo.n sharamaane?
  - kaun jaane
mai.n jaanuu.N aur tuu jaane \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{samaa ke dil me.n hamaare zaraa Kayaal rahe}%
\film{Anhonee}%
\year{1952}%
\starring{Raj Kapoor, Nargis}%
\singer{Talat, Lata}%
\music{Roshan}%
\lyrics{Satyendra}%

% Contributor: Vijay Kumar
% Transliterator: Vijay Kumar

\printtitle
#indian

samaa ke dil me.n hamaare zaraa Kayaal rahe
hame.n na koii pukaare zaraa Kayaal rahe

bahaar ban ke koii is chaman me.n aa hii gayaa
hamaare soye hue pyaar ko jagaa hii gayaa
javaa.N hue hai.n nazaare zaraa Kayaal rahe
hame.n na koii pukaare \threedots

ye dil ka dard nigaaho.n kii pyaas dhokhaa
zamii.n pe rah ke sitaaro.n kii aas dhokhaa hai
ye sabz\-o\-baaG hai.n saare zaraa
hai.n pyaase nain bechaare zaraa Kayaal rahe

na Dagamagaa de ye kashtii bha.Nvar zamaane kaa
yahii to vaqt hai maa.Njhii ko aazamaane kaa
na chhuuT jaaye kinaare zaraa Kayaal rahe
hai.n pyaase nain bechaare zaraa Kayaal rahe

ye giit gaate hue mast vaadiyo.n kii qasam
mai.n ik tumhaare ishaare pe rakh rahii huu.N qadam
ham ab hue hai.n tumhaare zaraa Kayaal rahe
hai.n pyaase nain bechaare zaraa Kayaal rahe
samaa ke dil me.n hamaare \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{zindagii badalii mohabbat kaa mazaa aane lagaa}%
\film{Anhonee}%
\year{1952}%
\starring{Raj Kapoor, Nargis}%
\singer{Lata, Rajkumari}%
\music{Roshan}%
\lyrics{Nakhshab Jaaravchi}%

% Contributor: BOL ANAMOL #11912 [V S Rawat]
% Song courtesy: http://www.indianscreen.com (Late Shri Amarjit Singh)

\printtitle
#indian

ra \:	zindagii badalii mohabbat kaa mazaa aane lagaa
	haay zindagii badalii
la \:	dil ke Tuka.De ho gaye har saa.Ns ta.Dapaane lagaa
	haay zindagii badalii
ra \:	zindagii badalii mohabbat kaa mazaa aane lagaa
	haay zindagii badalii

	( sach to ye hai dil ke haatho.n apanii qisamat ban ga_ii
	apanii qisamat ban ga_ii ) \-2
la \:	dil ke haatho.n ye muqaddar Thokare.n khaane lagaa
	dil ke Tuka.De ho gaye har saa.Ns ta.Dapaane lagaa
	haay zindagii badalii
ra \:	zindagii badalii mohabbat kaa mazaa aane lagaa
	haay zindagii badalii

	( aaj kitanaa apane mu.Nh (?) par ek dil ko naaz hai
	ek dil ko naaz hai ) \-2
la \:	ek dil apane kiye par aap pachhataane lagaa
	dil ke Tuka.De ho gaye har saa.Ns ta.Dapaane lagaa
	haay zindagii badalii
ra \:	zindagii badalii mohabbat kaa mazaa aane lagaa
	haay zindagii badalii
la \:	dil ke Tuka.De ho gaye har saa.Ns ta.Dapaane lagaa
	haay zindagii badalii

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
