% ISB File: Anjaan_1956.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{chandaniyaa nadiyaa biich nahaaye}%
\film{Anjaan}%
\year{1956}%
\starring{Vyjayantimala, Pradeep Kumar}%
\singer{Hemant}%
\music{Hemant}%
\lyrics{Rajinder Krishan}%

% Contributor: Neha Desai
% Credits: Hemantada, a genius in his niche #16

\printtitle
#indian

chandaniyaa nadiyaa biich nahaaye o shiital jal me.n aag lagaaye
ke chandaa dekh dekh muskaaye ho raamaa ho raamaa ho

puuchh rahii hai lahar lahar kaun hai ye matavaalii
puuchh rahii hai lahar lahar kaun hai ye matavaalii
tan kii gorii cha.nchal chhorii gende kii ek daalii
ooo~~~oo~~~o~~
ruup kii cha.Dhatii dhuup sunahara ra.ng aaj barasaaye
ho raamaa ho raamaa ho

chandaniyaa nadiyaa biich nahaaye o shiital jal me.n aag lagaaye
ke chandaa dekh dekh muskaaye ho raamaa ho raamaa ho

parabat parabat ghuum ke aayii ye alabelii dhaaraa
parabat parabat ghuum ke aayii ye alabelii dhaaraa
kyaa jaane kis aasamaan se TuuTaa hai ye taaraa
ooo~~~oo~~~o~~
sholaa banake phuul ka.nval kaa jal me.n bahataa jaaye
ho raamaa ho raamaa ho

chandaniyaa nadiyaa biich nahaaye o shiital jal me.n aag lagaaye
ke chandaa dekh dekh muskaaye ho raamaa ho raamaa ho

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong 
\stitle{din chhip gayaa nikale taare}% 
\film{Anjaan}% 
\year{1956}% 
\starring{Vyjayantimala, Pradeep Kumar}% 
\singer{Lata}% 
\music{Hemant}%
\lyrics{Rajinder Krishan}% 

% Contributor:Srinivas Ganti
% Transliterator:Srinivas Ganti 
% Date:January 15, 2002
% Comments:LATAnjali series 

\printtitle 
#indian 

(din chhip gayaa nikale taare
terii yaad me.n dard ke maare
ruk jaaye naa ?, ghar aajaa re balam
dil ro ro tujhe pukaare)\-2

(mere saajan mukha.Daa mo.D gaye
kyo.n dil me.n a.ndheraa chho.D gaye)\-2
ai chaand bataa, merii kyaa hai khataa
jo ruuThe piyaa hamaare
din chhip gayaa nikale taare

(merii man hii man me.n baat rahii
naino.n me.n sadaa barasaat rahii)\-2
mai.n to chhup chhup ke roii, mai.n to dard me.n khoii
merii samajhe kaun ?
din chhip gayaa nikale taare

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong 
\stitle{kahaa.N chho.D ke chalaa hai tuu}% 
\film{Anjaan}% 
\year{1956}% 
\starring{Vyjayantimala, Pradeep Kumar}% 
\singer{Lata}% 
\music{Hemant}% 
\lyrics{Rajinder Krishan}% 

% Contributor: Srinivas Ganti 
% Transliterator: Srinivas Ganti 
% Date: January 15, 2002
% Comments: LATAnjali series

\printtitle 
#indian 

(kahaa.N chho.D ke chalaa hai tuu
ye phuulo.n bharii raahe.n 
mere desh kii havaae.n paradesiyaa)\-2
zaraa mu.D ke to dekh, khoii khoii ye nigaahe.n merii 
ThaNDii ThaNDii aahe.n paradesiyaa
haay! kahaa.N chho.D ke chalaa hai

(sai.nyaa maan naa maan meraa dil anajaan
bhuulaa duniyaa kaa pyaar tere pyaar me.n)\-2
mai.n ne chhup chhup haay din raat banaaye 
miiThe sapano.n ke haar tere pyaar me.n
zaraa mu.D ke to dekh, khoii khoii nigaahe.n merii
suunii suunii baahe.n paradesiyaa
haay! kahaa.N chho.D ke chalaa hai \threedots

(tuu jo lauT ke aaye mujhe mukha.Daa dikhaaye 
to mai.n akhiyaa.N bichaauu.N terii raah me.n)\-2
bas ek baar merii sun jaa pukaar 
mai.n to jal jal jaa_uu.N terii chaah me.n
zaraa mu.D ke to dekh, khoii khoii ye nigaahe.n
haay! ro bhii naa paaye paradesiyaa
haay! kahaa.N chho.D ke chalaa hai \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
