% ISB File: Anpadh_1962.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{aapakii nazaro.n ne samajhaa}%
\film{Anpadh}%
\year{1962}%
\starring{Mala Sinha, Dharmendra}%
\singer{Lata}%
\music{Madan Mohan}%
\lyrics{Raja Mehdi Ali Khan}%

% Contributor: Pavan Kumar Desikan <pkd@news.cs.duke.edu>
% Transliterator: Rajiv Shridhar <rajiv@coe.neu.edu>
% Credits: Vishal Ailawadhi <vishal@ucla.edu>
% Date: 04/15/1997

\printtitle
#indian

aap kii nazaro.n ne samajhaa, pyaar ke kaabil mujhe
dil kii ai dha.Dakan Thahar jaa, mil ga_ii ma.nzil mujhe
aap kii nazaro.n ne samajhaa

jii hame.n ma.nzuur hai, aapakaa ye faisalaa	\- 2
kah rahii hai har nazar, ba.ndaa\-paravar shukariyaa
do jahaa.N kii aaj khushiyaa.N ho ga_ii.n haasil mujhe
aap kii nazaro.n ne samajhaa \threedots

aap kii ma.nzil huu.N mai.n merii ma.nzil aap hai.n     \- 2
kyuu.N mai.n tuufaan se Daruu.N mere saahil aap hai.n
koii tuufaano.n se kah de, mil gayaa saahil mujhe
aap kii nazaro.n ne samajhaa \threedots

pa.D ga_ii dil par merii, aap kii parchhaa_iyaa.N        \- 2
har taraf bajane lagii.n saika.Do.n shahanaa_iyaa.N
ha.Nsake apanii zi.ndagii me.n, kar liyaa shaamil mujhe
aap kii nazaro.n ne samajhaa \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{hai isii me.n pyaar kii aabaruu}%
\film{Anpadh}%
\year{1962}%
\starring{Dharmendra, Mala Sinha}%
\singer{Lata}%
\music{Madan Mohan}%
\lyrics{Raja Mehdi Ali Khan}%

% Transliterator: Venkatasubramanian K. G (gopala@cs.wisc.edu)
% Credits: rec.music.indian.misc 
%          Atul (atulthombre@hgrd01.enet.dec.com)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)

\printtitle
#indian

hai isii me.n pyaar kii aabaruu
vo zafaa kare.n mai.n vafaa karuu.N
jo vafaa bhii kaam na aa sake
to vohii kahe.n ke mai.n kyaa karuu.N
hai isii \threedots

(mujhe Gam bhii unakaa aziiz hai 
ke unhii.n kii dii huii chiiz hai ) \- (2)
ke unhii.n kii dii huii chiiz hai
yahii Gam hai ab merii zi.ndagii
ise kaise dil se judaa karuu.N
hai isii \threedots

(jo na ban sake mai.n vo baat huu.N 
jo na khatm ho mai.n vo raat huu.N ) \- (2)
jo na khatm ho mai.n vo raat huu.N
ye likhaa hai mere nasiib me.n
yuu.Nhii shammaa banake jalaa karuu.N
hai isii \threedots

(na kisii ke dil kii huu.N aarazuu 
na kisii kii nazar kii huu.N justajuu ) \- (2)
na kisii kii nazar kii huu.N justajuu
mai.n vo phuul huu.N jo udaas ho
na bahaar aae to kyaa karuu.N
hai isii \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{jiyaa le gayo jii moraa saa.nvariyaa}%
\film{Anpadh}%
\year{1962}%
\starring{Dharmendra, Meena Kumari, Balraj Sahni}%
\singer{Lata}%
\music{Madan Mohan}%
\lyrics{Raja Mehdi Ali Khan}%

% Credits: Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu)
%          Vandana Vidwans
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)

\printtitle
#indian

jiyaa le gayo jii moraa saa.nvariyaa
laagii man me.n lagan huii baavariyaa

pa ni ni  ni re re  re ma ma  ma dha pa ma pa re
ni re re  re ma ma  ma dha dha  dha saa ni dha ni pa

o papiihe, o papiihe
tuune papiihe nahii.n dekhe more sai.nyaa
dekhe to le\-legaa unakii bala_iyaa.n
jaa re dIvaane, maar naa taane,
piyaa kii sun jaake baa.nsuriyaa

saamane aae to mai.n aa.Nkho.n me.n chhupaa luu.N
thaamake bai.nyaa unhe.n dilame.n biThaa luu.N
shaam savere, saath ho mere
gorii ke sa.ng jaise gaagariyaa

aaj kisii ne mujhe apanaa banaayaa
saath rahuu.ngii jaise piyaa kii mai.n chaayaa
ThaNDii havaao.n tum bhii to gaao
priit kii dekho baaje jhaa.Njhariyaa

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{ra.ng\-bira.ngii raakhii leke aa_ii bahanaa}%
\film{Anpadh}%
\year{1962}%
\starring{Mala Sinha, Dharmendra}%
\singer{Lata}%
\music{Madan Mohan}%
\lyrics{Raja Mehdi Ali Khan}%

% Contributor: Himanshu Gupta <himanshu.gupta@eng.sun.com>
% Transliterator: Rajiv Shridhar <rajiv@coe.neu.edu>
% Date: 08/17/1996
% Credits: Vandana Venkatesan <vvenkate@pcocd2.intel.com>
% Editor: Rajiv Shridhar <rajiv@coe.neu.edu>

\printtitle
#indian

ra.ng\-bira.ngii raakhii leke aa_ii bahanaa
o raakhii ba.Ndhavaa le mere viir \-2

koras: ra.Ng\-bira.ngii raakhii \threedots mere viir

mai.n na chaa.Ndii, na sone ke naar maa.Nguu.N
koras: mai.n na chaa.Ndii, na bhaiyaa sone ke naar maa.Nguu.N
apane bhaiyaa kaa tho.Daa saa pyaar maa.Nguu.N
tho.Daa saa pyaar maa.Nguu.N
is raakhii me.n pyaar chhupaa le laa_ii bahanaa

koras: raakhii ba.Ndhavaale mere viir

niile ambar se taare utaar laauu.N
koras: niile ambar se bhaiyaa taare utaar laauu.N
yaa mai.n  cha.Ndaa kii kiraNo.n ke haar laauu.N
kiraNo.n ke haar laauu.N
pyaar ke badale ban le laharaa_ii bahanaa

koras: raakhii ba.Ndhavaale mere viir

kabhii bhaiyaa ye bahanaa na paas hogii
koras: kabhii bhaiyaa ye terii bahanaa na paas hogii 
kahii.n pardes baiThii udaas hogii, bahanaa udaas hogii
milane kii aas hogii
jaane kab bichha.D jaae.n bhaa_ii\-bahanaa

koras: raakhii ba.Ndhavaale mere viir

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{vo dekho jalaa ghar kisii kaa}%
\film{Anpadh}%
\year{1962}%
\starring{Dharmendra, Mala Sinha}%
\singer{Lata}%
\music{Madan Mohan}%
\lyrics{Raja Mehandi Ali Khan}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10554 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

vo dekho jalaa ghar kisii kaa ye TuuTe hai.n kisake sitaare
vo qismat ha.Nsii aur aise ha.Nsii ke rone lage Gam ke maare
vo dekho jalaa \threedots

gayaa jaise jho.nkaa havaa kaa hamaarii Kushii kaa zamaanaa
di_e hamako qismat ne aa.Nsuu jab aayaa hame.n muskaraanaa
binaa hamasafar hai suunii Dagar kidhar jaa_e.N ham besahaare
vo dekho jalaa \threedots

hai.n raahe.n kaThin duur ma.nzil ye chhaayaa hai kaisaa a.Ndheraa
ki ab chaa.Nd\-suuraj bhii milakar nahii.n kar sakegaa saveraa
ghaTaa chhaa_egii bahaar aa_egii naa aa_e.Nge vo din hamaare
vo dekho jalaa \threedots

idhar ro rahii hai.n aa.Nkhe.n udhar aasamaa.N ro rahaa hai
mujhe kar ke barabaad zaalim pashemaan ab ho rahaa hai
ye barakhaa kabhii to ruk jaa_egii ruke.nge naa aa.Nsuu hamaare
vo dekho jalaa \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
