% ISB File: Anuraag_1972.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{meraa raajaa beTaa buujhe ek pahelii}% 
\film{Anuraag}%
\year{1972}%
\starring{Ashok Kumar, Vinod Mehra, Moushumi Chatterjee}%
\singer{Lata}%
\music{S D Burman}%
\lyrics{Anand Bakshi}%

% Contributor:  ceindian@utacnvx.uta.edu (Porky)
% Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)

\printtitle 
#indian

## hmmmmm ... ##
meraa raajaa beTaa bUjhe ek pahelii 
pyaarI pyaarI a.Nkhiyo.n kii kaun sahelii 
(ni.ndiyaa)
meraa raajaa beTaa bUjhe ek pahelii 
soe sab jaage saarii raat akelii 
(maa.N)

ban Than ke aa_e ni.ndiyaa lagaae 
chaa.Nd ke maathe pe bi.ndiyaa lagaae 
mukha.De pe chamake cha.Ndr kiraN 
meraa raajaa beTaa bUjhe ek pahelii 
kaun vo dulhan naar navelii 
(raat)

khoyaa a.ndhere me.n melaa jahaa.N kaa 
nain jharokho.n se sapano.n ne jhaa.Nkaa 
dhiire dhiire chale rii pAgal pavan 
meraa raajaa beTaa bUjhe ek pahelii 
champaa ke baalo.n me.n mahake chamelii 
(gajaraa)

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{nii.nd churaaye, chain churaaye}%
\film{Anuraag}%
\year{1972}%
\starring{Ashok Kumar, Vinod Mehra, Moushumi Chatterjee}%
\singer{Lata}%
\music{S D Burman}%
\lyrics{Anand Bakshi}%

% Contributor: Srinivas Ganti
% Transliterator: K Vijay Kumar

\printtitle
#indian

(nii.nd churaaye, chain churaaye, Daaka Daale terii ba.nsii)\-2
are din\-dahaa.De
are din\-dahaa.De, chorii kare, raat bhar jagaaye 
Daaka Daale terii ban.sii \threedots

(man me.n lage aise agan, jaise chamake bijuriyaa baadal me.n)\-2
chup ke kabhii le jaauu.Ngii, terii ban.sii chhupaake aa.Nchal me.n
kaahe shaam Dhale
kaahe shaam Dhale, kadam tale, mujhako bulaaye
Daaka Daale terii ban.sii \threedots

(samajhii thii mai.n, naTakhaT hai tuu, bas maakhan churaayaa karataa hai)\-2
diivaanii mai.n, naa jaane tuu, kaahe panaghaT pe aayaa kartaa hai
mohe laaj aaye
mohe laaj aaye, haay nahii.n baat kahii jaaye
Daaka Daale terii ban.sii \threedots

(ban.sii kii dhun sunake piyaa, jiyaa meraa kahii.n kho jaataa hai)\-2
mai.n kyaa kahuu.N, kyaa naa kahuu.N, mohe naa jaane kyaa ho jaataa hai
giit priit bhare
giit priit bhare gaaye, sudh\-budh bisaraaye
Daaka Daale terii ban.sii \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{o tere naino.n ke mai.n diip jalaa_uu.Ngaa}%
\film{Anuraag}%
\year{1972}%
\starring{Vinod Mehra, Moushumi Chatterjee, Ashok Kumar}%
\singer{Rafi, Lata}%
\music{S D Burman}%
\lyrics{Anand Bakshi}%

% Contributor: BOL ANAMOL #11535 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

ra \:	o tere naino.n ke mai.n diip jalaa_uu.Ngaa
	apanii aa.Nkho.n se duniyaa dikhalaa_uu.Ngaa
	tere naino.n ke \threedots

la \:	achchhaa
	vo kyaa hai
ra \:	ek mandir hai
la \:	us mandir me.n
ra \:	ek muurat hai
la \:	ye muurat kaisii hotii hai
ra \:	terii suurat jaisii hotii hai
la \:	vo kyaa hai

	mai.n kyaa jaanuu.N chhaa.Nv hai kyaa aur dhuup hai kyaa
	ra.ng\-bira.ngii is duniyaa kaa ruup hai kyaa
	vo kyaa hai
ra \:	ek parvat hai
la \:	us parvat pe
ra \:	ek baadal hai
la \:	ye baadal kaisaa hotaa hai
ra \:	tere aa.Nchal jaisaa hotaa hai
la \:	vo kyaa hai

ra \:	mast havaa ne ghuu.NghaT kholaa kaliyo.n kaa
	jhuum ke mausam aayaa hai ra.ng\-raliyo.n kaa
la \:	vo kyaa hai
ra \:	ek bagiyaa hai
la \:	us bagiyaa me.n
ra \:	ka_ii bha.Nvare hai
la \:	bha.Nvare kyaa rogii hote hai.n
ra \:	nahii.n dil ke rogii hote hai.n

la \:	aisii bhii anjaan nahii.n mai.n ab sajanaa
	bin dekhe mujhako dikhataa hai sab sajanaa
ra \:	achchhaa
	to vo kyaa hai
la \:	vo saagar hai
ra \:	us saagar me.n
la \:	ik naiyaa hai
ra \:	are tuune kaise jaan liyaa
la \:	man kii aa.Nkho.n se naam liyaa
	vo kyaa hai

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{raam kare babuaa hamaar phulavaa ko}%
\film{Anuraag}%
\year{1972}%
\starring{Rajesh Khanna (guest), Moushumi Chatterji, Vinod Mehra, Ashok Kumar, Nutan}%
\singer{Kishore}%
\music{S D Burman}%
\lyrics{Anand Bakshi}%

% Contributor: K Vijay Kumar

\printtitle
#indian

raam kare babuaa ho~
raam kare babuaa hamaar phulavaa ko hamarii umar lagi jaaye, ho
patajhar aaye basant rut jaaye ho jaaye champaa chamelii muskaaye
raam kare babuaa ho~

pyaare munne tuu bhii ik dil\-khus gulaab hai
toharii khusabuu kaa kahii.n koii javaab hai
tohe na kisii kii najar lagi jaaye
raam kare babuaa ho~ \threedots

bol siyaabar ramachandra ki jay!
pavan put hanumaan kii jay!

raam jii ne duniyaa me.n duHkh sukh baa.NTe
phulavaa ke sa.ng sa.ng bagiyaa me.n kaa.NTe
tore pag me.n na koii kaa.NTaa lagi jaaye
raam kare babuaa \threedots

kaas aisaa hovai jab banai tuu dulhaa raajaa
galiyo.n me.n baaje jab saadii kaa baajaa
yahii ga.ngaa raam hau~
yahii ga.ngaa raam toharaa seharaa banaavai
raam kare babuaa \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{sun rii pavan, pavan purvaiyyaa}%
\film{Anuraag}%
\year{1972}%
\starring{Vinod Mehra, Moushumi Chatterjee, Ashok Kumar}%
\singer{Lata}%
\music{S D Burman}%
\lyrics{Anand Bakshi}%

% Contributor:  ceindian@utacnvx.uta.edu (Porky)
% Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)

\printtitle 
#indian

sun rii pavan, pavan puravayyaa 
mai.n huu.N akelii alabelii tuu sahelii merii 
ban jaa saathiyaa 

chal tuu meraa A.Nchal thaam ke 
a.njaane raste is gaa.Nv ke 
saathii hai.n ye mere naam ke 
nain ye nigo.De kis kaam ke 
Dole meraa man, aise jaise nayyaa, mai.n huu.N \threedots

koii to ho aise puuchhe baat jo 
giruu.N to paka.D leve haath jo 
ha.Nse roe sadaa mere sAth jo 
soe jaage sa.ng din raat jo 
aise ho milan, jaise dhuup chha.nyyaa, mai.n huu.N \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
