% ISB File: Asoka_2002.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{aa aa taiyaar ho jaa}%
\film{Asoka}%
\year{2002}%
\starring{Shahrukh Khan, Kareena Kapoor, Dainny Denjongpa, Rahul Dev, Rishita Bhatt}%
\singer{Sunidhi Chauhan, Chorus}%
\music{Annu Malik}%
\lyrics{Gulzar}%

% Contributor: V S Rawat

\printtitle
#indian

aa aa aa aa aa
aa ai aa aa ai ai aa
are are
aa taiyaar ho jaa
aa aa taiyaar ho jaa
shaam kii kashtii me.n aa ke savaar ho jaa chalo chale.n
aa sahaaraa hogaa
kahii.n naa kahii.n to ko_ii kinaaraa hogaa chalo chale.n
ararararararara
aa aa aa aa taiyaar ho jaa \threedots

aa taiyaar ho jaa re
aajaa aajaa chal chale.n
tair ke yaa Duub ke chal paar jaanaa hai
shaam kii kashtii \threedots

shaam ku.nvaarii hogii
ho.nTh hamaare ho.nge baat tumhaarii hogii
baat to bholii hogii
miiThii bhii hogii tho.Dii shahad bhii gholii hogii
aa aa aa aa aa
shaam ku.nvaarii \threedots

pyaar kaa gotaa kyaa hai
Duub ke dekhaa nahii.n dekhanaa hotaa kyaa hai
hone ko honaa kyaa hai
dil me.n Tiis hogii aa.Nkh me.n paanii hogaa chalo chale.n
aa aa aa aa aa
pyaar kaa gotaa \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{o re kaa.Nchii kaa.Nch kii gu.Diyaa ... jhuum chamelii}%
\film{Asoka}%
\year{2002}%
\starring{Shahrukh Khan, Kareena Kapoor, Dainny Denjongpa, Rahul Dev, Rishita Bhatt}%
\singer{Shaan, Alka Yagnik, Chorus}%
\music{Annu Malik}%
\lyrics{Gulzar}%

% Contributor: V S Rawat

\printtitle
#indian

jhuum chamelii jhuum chamelii jhaa.njhar vaalii jhuum jhuum
ghuum chamelii ghuum chamelii jhaa.njhar vaalii ghuum jhuum
o re kaa.Nchii
kaa.Nch kii gu.Diyaa
ho.nTho.n me.n baa.Ndhe prem kii pu.Diyaa
naa use khole naa mu.Nh se bole
palako.n pe rakh ke aa.Nkho.n se taule
suniyo suniyo
o re kaa.Nchii \threedots

suniyo suniyaa mishrii se miiThii
aa.Nkho.n me.n ba.nd hai baat rasiilii
haa.N naa use khole \threedots

pahaa.Dii paar chalanaa hai to parabat haTaa duu.N
ghaTaa_o.n me.n kahii.n chhupanaa hai to saavan bulaa duu.N
mahu_aa mahu_aa mahakaa mahakaa
mahakaa mahakaa mahu_aa mahu_aa 
pahaa.Dii paar \threedots
ko_ii u.Dataa hu_aa pa.nchhii bataa degaa Thikaanaa
jahaa.N se din nikalataa hai usii Tiile pe aa jaanaa
mahu_aa mahu_aa \threedots
o re kaa.Nchii \threedots

teraa ko_ii parichay ho to ai su.ndarii bataa de
ba.Dii miiThii muskaan hai mu.ndarii banaa de
mahu_aa mahu_aa \threedots
teraa ko_ii \threedots
hai paradesii mujhe bhuul jaa_egaa kahii.n pe
de vachan mai.n pahan luu.N use gahanaa samajh ke
mahu_aa mahu_aa \threedots
o re kaa.Nchii \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{raat kaa nashaa abhii aa.Nkh se gayaa nahii.n}%
\film{Asoka}%
\year{2002}%
\starring{Shahrukh Khan, Kareena Kapoor, Dainny Denjongpa, Rahul Dev, Rishita Bhatt}%
\singer{Abhijit, Chitra, Chorus/ Chitra}%
\music{Annu Malik}%
\lyrics{Gulzar}%

% Contributor: V S Rawat

\printtitle
#indian

raat kaa nashaa abhii aa.Nkh se gayaa nahii.n
teraa nashiilaa badan baaho.n ne chho.Daa nahii.n
aa.Nkhe.n to kholii.n magar sapanaa vo to.Daa nahii.n
haa.N vahii.n vo vahii.n
saa.Nso.n pe rakhaa hu_aa tere ho.nTho.n kaa sapanaa abhii hai vahii.n
o raat kaa nashaa abhii \threedots

tere binaa bhii kabhii tujh se machal letii huu.N
karavaT badalatii huu.N to sapanaa badal letii huu.N
teraa khyaal aa_e to bala khaa ke pal jaataa hai
paanii kii chaadar tale tan meraa jal jaataa hai
haa.N vahii.n vo vahii.n \threedots

tere gale milane ke mausam ba.De hote hai.n
janmo.n kaa vaadaa ko_ii ye Gam ba.De chhoTe hai.n
lambii sii ik raat ho lambaa saa ik din mile
bas itanaa saa jiinaa ho milan kii gha.Dii jab mile
haa.N vahii.n vo vahii.n \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{roshanii se bhare bhare nainaa tere}%
\film{Asoka}%
\year{2002}%
\starring{Shahrukh Khan, Kareena Kapoor, Dainny Denjongpa, Rahul Dev, Rishita Bhatt}%
\singer{Abhijit, Alka Yagnik}%
\music{Annu Malik}%
\lyrics{Gulzar}%

% Contributor: V S Rawat

\printtitle
#indian

roshanii se bhare bhare
bhare bhare nainaa tere
chhuu ke bole.n na chhuunaa mujhe

sapano.n se bhare bhare
bhare bhare nainaa tere
chhuu ke bole.n na chhuunaa mujhe

Dhuu.NDhaa hai Dhuu.NDhaa hai tujhe aakaash uupar tale
shaayad kisii badarii me.n lipaTii hu_ii tuu mile
aa Dhuu.NDhaa hai Dhuu.NDhaa hai tujhe aakaash uupar tale
shaayad kisii nadiyaa pe chalataa hu_aa tuu mile
roshanii se \threedots

maine samay se rok ke teraa pataa puuchhaa hai
niilii nadii se kah ke saagar tale Dhuu.NDhaa hai
o laharo.n pe chalate hu_e paanii ke phan chhuute hai.n
jaise tere ye haath ho meraa ye tan chhuute hai.n
roshanii se \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{san sanananan jaa jaa rii jaa rii jaa rii pavan}%
\film{Asoka}%
\year{2002}%
\starring{Shahrukh Khan, Kareena Kapoor, Dainny Denjongpa, Rahul Dev, Rishita Bhatt}%
\singer{Alka Yagnik, Hema Sardesai}%
\music{Annu Malik, Ranjit Barot}%
\lyrics{Anand Bakshi}%

% Contributor: V S Rawat

\printtitle
#indian

san sanananan san sanananan
jaa jaa rii jaa rii jaa rii jaa rii pavan
mere jaisaa Dhuu.NDh ke laa meraa sajan
san sanananan \threedots

aisaa kahii.n ko_ii nahii.n
aisaa ho to shaayad mai.n kar luu.N milan
jaa jaa jaa rii pavan jaa rii pavan
san sanananan \threedots

aakaash hai ko_ii prem kavi
mai.n us kii likhii kavitaa o
mere jaisaa ko_ii nahii.n aayaa jag me.n yug biitaa
chhuu na sake ko_ii mujhe
chhuu le to haa_y lag jaa_e agan
jaa jaa re jaa jaa rii pavan jaa rii pavan
san sanananan \threedots

mai.n aap hii apanii premikaa
mai.n aap hii apanii sahelii haa.N
aur nahii.n ko_ii apane jaisii
bas mai.n ek akelii
mai.n aa_uu.N to mai.n jaa_uu.N to
mujh ko dekhe jhuk ke gagan
jaa jaa jaa rii pavan jaa rii pavan
san sanananan \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
