% ISB File: Bahaanaa_1960.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{beraham aasamaa.N merii ma.nzil bataa hai kahaa.N}%
\film{Bahana}%
\year{1960}%
\starring{Meena Kumari, Sajjan, Sheela Vaz, Helen, Mehmood}%
\singer{Talat}%
\music{Madan Mohan}%
\lyrics{Rajinder Krishan}%

% Contributor: Vijay Kumar & Deepak Sabnis
% Transliterator: Vijay Kumar & Deepak Sabnis
% Date: 15 Mar 2005
% Comments: Deepak added first 3 stanzas to Vijay's last 3
% Credits: Satish Kalra
% generated using www.giitaayan.com

\printtitle
#indian

beraham aasamaa.N merii ma.nzil bataa hai kahaa.N

jo na sochaa thaa wo ho gayaa
kyo.n nasiibaa meraa so gayaa
Gam kii aisii ghaTaa chhaa gayii
chain dil kaa kahii.n kho gayaa
ye bataa kis liye
le rahaa hai meraa imtihaa.N
beraham aasamaa.N \threedots

bujh gayaa hai ye dil is tarah
chaa.Nd pichhale pahar jis tarah
itanii taariikiyo.n me.n bataa
raah Dhuu.nDhe koii kis tarah
kho gayii.n manzile.n
ho gayaa gum kahii.n kaaravaa.N
beraham aasamaa.N \threedots

jaa rahe.n hai.n na jaane kidhar
dekh sakatii nahii.n kuchh nazar
chho.D dii naav ma.njhadhaar me.n
kis kinaare lage kyaa Kabar
kyaa kare.n duur tak
roshanii kaa nahii.n hai nishaa.N
beraham aasamaa.N \threedots

mujhase qisamat ne dhokhaa kiyaa
har qadam pe nayaa Gam diyaa
hai Kushii kii qasam ki yahaa.N
chain kaa saa.Ns tak na liyaa
bujh gayaa dil meraa
raas aayaa na teraa jahaa.N
beraham aasamaa.N \threedots

terii duniyaa.N me.n yuu.N ham jiye
aa.Nsu_o.n ke samundar piye
dil me.n shiqave ta.Dapate rahe
ho.nTh lekin hameshaa siye
kab talaq ham rahe.n
terii duniyaa me.n yuu.N bezubaa.N
beraham aasamaa.N \threedots

ab koii bhii tamannaa nahii.n
ab yahaa.N ham ko jiinaa nahii.n
zi.ndagii ab tere jaam se
ek qataraa bhii piinaa nahii.n
maut ko bhej ke
Katm kar de merii dastaa.N
beraham aasamaa.N \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{guzare hai.n is tarah se duniyaa me.n din hamaare}%
\film{Bahaanaa}%
\year{1960}%
\starring{Meena Kumari, Sajjan, Sheela Vaz, Helen, Mehmood}%
\singer{Lata}%
\music{Madan Mohan}%
\lyrics{Rajinder Krishan}%

% Contributor: dhananjay naniwadekar
% Date: 11 Jan 2003
% Comments: Latanjali Series. bahana / bahaanaa.

\printtitle
#indian

guzare hai.n is tarah se duniyaa me.n din hamaare
bhiige rahe.n hameshaa aa.Nkho.n ke do kinaare

siine se ra.nj\-o\-Gam ko hamane lagaa ke rakhaa
majabuuriyo.n ko dil hii dil me.n chhupaa ke rakhaa
karate bhii kyaa ai qisamat, tere sitam ke maare
guzare hai is tarah se

hasarat bharii kahaanii, kissaa hai bekasii kaa
likhaa hai aa.Nsuu_o.n se afasaanaa zi.ndagii kaa
kuchh naa kisii se kahanaa, ai merii bezubaanii
Gardish nasiib kii hai, kyaa doSh hai kisii kaa
TuuTe chamak\-chamak kar taqadiir ke sitaare
guzare hai is tarah se \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{jaa re badaraa bairii jaa re}%
\film{Bahana}%
\year{1960}%
\starring{Meena Kumari, Sajjan}%
\singer{Lata}%
\music{Madan Mohan}%
\lyrics{Rajinder Krishan}%

% Contributor: Abhay Phadnis
% Transliterator: K Vijay Kumar
% Credits: Vandana Vidwans, Ashok Dhareshwar, Neha Desai

\printtitle
#indian

jaa re badaraa bairii jaa re jaa re
piyaa kaa sandesavaa laa re laa re laa re
jaa re badaraa bairii jaa re jaa re

pii ke daras ko jiyaraa tarase
pii kii khabariyaa laa re laa re laa re
jaa re   \threedots

kahiyo sajan se man kii batiyaa
ro ro haal sunaa
jaa re   \threedots

baaT takat morii haarii najariyaa
kab aaye.nge saa.Nvariyaa
mohe kyo.n sataaye paapii
shor machaaye jaa re
moraa saa.Nvariyaa laa re laa re laa re
jaa re   \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{terii nigaaho.n me.n tere hii baa.Nho.n me.n}%
\film{Bahaanaa}%
\year{1960}%
\starring{Meena Kumari, Sajjan}%
\singer{Talat, Asha}%
\music{Madan Mohan}%
\lyrics{Rajinder Krishan}%

% Contributor: K Vijay Kumar

\printtitle
#indian

terii nigaaho.n me.n tere hii baaho.n me.n
rahane ko jii chaahataa hai
dil me.n chhupaa yahii baat sajan se
kahane ko jii chaahataa hai
terii nigaaho.n me.n \threedots

dil ye hamaaraa ghar hai tumhaaraa
aao jii aa ke bas jaao jii
nain hamaare dekhe Kvaab tumhaare
zaraa Kvaabo.n me.n aa ke ha.Ns jaao jii
jaan se pyaaraa hame.n ghar ye tumhaaraa yahaa.N
rahane ko jii chaahataa hai
terii nigaaho.n me.n \threedots

dekho jii dekho aur kisii ko
dil me.n na apane basaanaa jii
pyaar bharaa ye vaadaa ham to na bhuule piyaa
tum bhii ise na bhulaanaa jii
priit hamaarii rahe duniyaa se nyaarii yahii
kahane ko jii chaahataa hai
terii nigaaho.n me.n \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
