% ISB File: BaijuBaawraa_1952.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{aaj gaavat man mero jhuum ke}%
\film{Baiju Bawra}%
\year{1952}%
\starring{Bharat Bhushan, Meena Kumari}%
\singer{D V Paluskar, Ustad Amir Khan}%
\music{Naushad}%
\lyrics{Shakeel}%

% Contributor: Ameesh Oza
% Transliterator: K Vijay Kumar

\printtitle
#indian

aaj gaavat man mero jhuum ke
torii taan bhagavaan
aaj gaavat man mero   \threedots

haar gayaa to jiivan jaave
jiitaa gaayak duniyaa paave
rakhiyo ab morii shaan re
aaj gaavat man mero   \threedots

prem ke kaaraN premii gaave
taano.n se baadal pigharaave
jagat me.n rahe maan re
aaj gaavat man mero   \threedots

saat suro.n ke madhur milan me.n
jaaduu aaj jagaa de.n
baijuu ke sa.ngiit vidhaataa
jal me.n aag lagaa de.n
jal me.n aag lagaa de.n
aa~
aaj gaavat man mero   \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{akelii mat ja_iyo ... tuu ga.ngaa kii mauj mai.n}%
\film{Baiju Bawra}%
\year{1952}%
\starring{Bharat Bhushan, Meena Kumari}%
\singer{Rafi, Lata}%
\music{Naushad}%
\lyrics{Shakeel}%

% Transliterator: Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu)
% Credits: Arati Deo (arati@taj.rice.edu), Tabassum Hijazi
%          Kedar Nahade (ksn2@Lehigh.EDU)

\printtitle
#indian

akelii mat ja_iyo raadhe jamunaa ke tiir
o jii o 
tuu ga.ngaa kii mauj mai.n jamunaa kaa dhaaraa
ho rahegaa milan, ye hamaaraa
ho hamaaraa tumhaaraa rahegaa milan
ye hamaaraa tumhaaraa

agar tuu hai saagar to majhadhaar mai.n huu.N, majhadhaar mai.n huu.N
tere dil kii kashtii kaa patavaar mai.n huu.N, patavaar mai.n huu.N
chalegii akele na tumase ye naiyaa, na tumase ye naiyaa
mile.ngii na ma.nzil tumhe bin khevaiyaa, tumhe bin khevaiyaa
chale aao jii, chale aao jii
chale aao maujo.n kaa le kar sahaaraa, ho rahegaa milan
ye hamaaraa tumhaaraa rahegaa milan, ye hamaaraa tumhaaraa

bhalaa kaise TuuTe.nge ba.ndhan ye dil ke, ba.ndhan ye dil ke
bichha.Datii nahii.n mauj se mauj milake, hai mauj mil ke
chhupoge bha.Nvar me.n to chhupane na de.nge, to chhupane na de.nge
Dubo de.nge naiyaa tumhe.n Dhuu.NDh le.nge
banaaye.nge ham, banaaye.nge ham
banaaye.nge tuufaa.N ko lekar kinaaraa, ho rahegaa milan
ye hamaaraa tumhaaraa rahegaa milan, ye hamaaraa tumhaaraa

##hmm hmmmm hmm##\threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{bachapan kii mohabbat ko dil se na judaa karanaa}%
\film{Baiju Bawra}%
\year{1952}%
\starring{Meena Kumari, Bharat Bhushan, Surendra, Ratan Kumar}%
\singer{Lata}%
\music{Naushad}%
\lyrics{Shakeel}%

% Contributor: David Windsor <David.Windsor@anu.edu.au>
% Transliterator: David Windsor <David.Windsor@anu.edu.au>
% Editor: Rajiv Shridhar <rajiv@coe.neu.edu>

\printtitle
#indian

bachapan kii mohabbat ko dil se na judaa karanaa
jab yaad merii aae milane kii duaa karanaa

ghar merii ummiido.n kaa suunaa ki_e jaate ho
duniyaa ai muhabbat kii luuTe lie jaate ho
jo Gam di_e jaate ho us Gam kii duaa karanaa
jab yaad merii aae \threedots

saavan me.n papiihaa kaa sa.Ngiit sunaauu.Ngii
fariyaad tujhe apanii gaa\-gaa kar sunaauu.Ngii
aavaaz merii sun ke dil thaam liyaa karanaa
jab yaad merii aae \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{bhagavaan ... o duniyaa ke rakhavaale}%
\film{Baiju Bawra}%
\year{1952}%
\starring{Bharat Bhushan}%
\singer{Rafi}%
\music{Naushad}%
\lyrics{Shakeel}%

% Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org)
% Credits: rec.music.indian.misc (USENET newsgroup) 
%          Ramesh Hariharan (hariharn@picasso.Princeton.EDU)
%          C.S. Sudarshana Bhat (ceindian@utacnvx.uta.edu)
%          Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)

\printtitle
#indian

bhagavaan, bhagavaan \threedots bhagavaan
o duniyaa ke rakhavaale, sun dard bhare mere naale
sun dard bhare mere naale
aash niraash ke do ra.ngo.n se,  duniyaa tuune sajaaI
nayyaa sa.ng tuufaan banaayaa,  milan ke saath judaaI
jaa dekh liyaa harajaaI
o \threedots luT gaI mere pyaar kii nagarii,  ab to niir bahaa le
ab to niir bahaa le 
o \threedots ab to niir bahaa le, o duniyaa ke rakhavaale \threedots

aag banii saavan kii barasaa, phuul bane a.ngaare
naagan ban ga_ii raat suhaanii, patthar ban gae taare
sab TuuT chuke hai.n sahaare, o \threedots jiivan apanaa vaapas le le
jiivan dene vaale, o duniyaa ke rakhavaale \threedots

chaa.nd ko Dhuu.NDhe paagal suuraj, shaam ko Dhuu.NDhe saveraa
mai.n bhii Dhuu.NDhuu.N us priitam ko, ho naa sakaa jo meraa
bhagavaan bhalaa ho teraa, o \threedots qismat phuuTii aas na TuuTii
paa.nv me.n pa.D gae chhaale, o duniyaa ke rakhavaale \threedots

mahal udaas aur galiyaa.n suunii, chup\-chup hai.n diivaare.n
dil kyaa uja.Daa duniyaa uja.Dii, ruuTh gaI hai.n bahaare.n
ham jiivan kaise guzaare.n, o \threedots ma.ndir girataa phir ban jaataa
dil ko kaun sambhaale, o duniyaa ke rakhavaale \threedots

o duniyaa ke rakhavaale
rakhavaale
rakhavaale
rakhavaale \threedots % (throat bleeding pitch !!)

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{duur koii gaae dhun ye sunaae}%
\film{Baiju Bawra}%
\year{1952}%
\starring{Meena Kumari, Bharat Bhushan, Surendra, Ratan Kumar}%
\singer{Shamshad, Lata, Rafi, Chorus}%
\music{Naushad}%
\lyrics{Shakeel}%

% Contributor: David Windsor <David.Windsor@anu.edu.au>
% Transliterator: David Windsor <David.Windsor@anu.edu.au>
% Editor: Rajiv Shridhar <rajiv@coe.neu.edu>
% Date: 10/24/1996
% Credits: Satish Kalra

\printtitle
#indian

sh:  duur koii gaae dhun ye sunaae
	tere bin chhaliyaa re baaje na muraliyaa re
ra:  ho jii ho
ko: duur ko_ii gaa_e dhun ye sunaae
tere bin chhaliyaa re baaje na muraliyaa  re

sh:  man ke a.Ndar ho pyaar kii agni
ko:  ho man ke a.Ndar pyaar kii agnii
sh:  nainaa khoye\-khoye ki are raamaa naina khoye\-khoye
ko:  are ramaa nainaa khoye khoye
sh:  ho abhii se hai ye haal ho
	abhii se hai ye haal to aage
	naa jaane kyaa hoe
ko:  ke are raamaa na jaane kyaa hoe
	nii.nd nahii.n aae birahaa sataae
	tere bin chhaliyaa re
	baaje na muraliyaa re
ra:  ho ji ho
ko:  duur ko_ii gaa_e \threedots

la:  ho more a.Nganaa laaj kaa paharaa
ko:  laaj kaa paharaa raamaa laaj kaa paharaa
la:  paa.Nv pa.Dii za.njiir
	ki are raamaa paa.Nv pa.Dii za.njiir ho
	yaad kisii kii jab\-jab aae
	laage jiiyaa pe tiir
	yaad kisii kii jab\-jab aae
	laage dil pe tiir
ko:  ke are raamaa lage dil pe tiir
la:  aa.Nkh bhar aae jal barasaae
	tere bin chhaliyaa re baaje na muraliyaa re
ra:  ho ji ho
ko:  duur ko_ii gaaye \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{jhuule me.n pawan ke aa_ii bahaar}%
\film{Baiju Baawraa}%
\year{1952}%
\starring{Bharat Bhushan, Meena Kumari, Surendra, Ratan Kumar}%
\singer{Lata, Rafi}%
\music{Naushad}%
\lyrics{Shakeel}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10610 [V S Rawat]
% Credits: Malini Kanth

\printtitle
#indian

do \:	jhuule me.n pawan ke aa_ii bahaar
	naino.n me.n nayaa ra.ng laa_ii bahaar
	pyaar chhalake ho pyaar chhalake

la \:	o
	Dole man moraa sajanaa
	Dole man moraa
ra \:	ho jii ho
la \:	Dole man moraa sajanaa
	chuunariyaa baar\-baar Dhalake
do \:	jhuule me.n pawan ke aa_ii bahaar
	pyaar chhalake ho pyaar chhalake

ra \:	o o o
	merii taan se uu.Nchaa teraa jhuulanaa gorii \-2
la \:	mere jhuulane ke sa.ng tere pyaar kii Dorii \-2
do \:	tuu hai jiivan si.ngaar
	pyaar chhalake
	jhuule me.n pawan ke aa_ii bahaar
	pyaar chhalake ho pyaar chhalake

ra \:	o o o
	baadal jhuum ke aaye gaagar pyaar kii laaye \-2
la \:	koyal kuukatii jaaye ban me.n mor bhii gaaye \-2
do \:	chhe.De.n ham\-tum malhaar
	pyaar chhalake
	aa aa aa
	chhe.De.n ham\-tum malhaar
	jhuule me.n pawan ke aa_ii bahaar
	naino.n me.n nayaa ra.ng laa_ii bahaar
	pyaar chhalake ho pyaar chhalake
	ho ho pyaar chhalake \-3

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{jo mai.n aisaa jaanatii ... mohe bhuul gae saa.Nvariyaa}%
\film{Baiju Bawra}%
\year{1952}%
\starring{Bharat Bhushan, Meena Kumari}%
\singer{Lata}%
\music{Naushad}%
\lyrics{Shakeel}%

% Contributor: ShashiKant Joshi (rava0002@gold.tc.umn.edu) 
% Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) 
% Date: Sun Jul  9 1995
% Credits:  Rajiv Shridhar ?!!
% Comments: Pankha Road se Pintu Diwana [23]
%           there is really no need to say for this gem except that
%           the last para has "jhooTee" and NOT "jhooThee". reason?
%           even though the correct word is "jhooThee", but Lata sings it
%           as "jhooTee". I lost a point in antakshari on another song
%           that ended in "jhooTaa", so I listened this song carefully.
%           Lata does say "jhooTee" :-(
%           The taan in the end of first line of each antara, is very good!

\printtitle
#indian

jo mai.n aisaa jaanatii
ke priit kiye dukh hoy
o, nagar Dhi.nDhoraa piiTatii
ke priit na kariyo koy

mohe bhuul gae saa.Nvariyaa, bhuul gae saa.Nvariyaa \-2
aavan kah gaye, ajahu.n na aaye \-2
liinii na morii khabariyaa
mohe bhuul gae\threedots

(dil ko di_e kyo.n dukh birahaa ke
 to.D diyaa kyo.n mahal banaa ke)  \-2
aas dilaa ke o bedardii	 \-2
pher lii kaahe najariyaa
mohe bhuul gae\threedots

(nain kahe ro\-ro ke sajanaa
 dekh chuke ham pyaar kaa sapanaa)  \-2
priit hai jhuuTii, priitam jhuuTaa  \-2
jhuuTii hai saarii nagariyaa
mohe bhuul gae\threedots

% -- ShashiKant Joshi urf Pintu Diwana

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{man ta.Dapat hari darsan ko aaj}%
\film{Baiju Bawra}%
\year{1952}%
\starring{Bharat Bhushan, Meena Kumari}%
\singer{Rafi}%
\music{Naushad}%
\lyrics{Shakeel}%

% Transliterator: Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu)
% Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)

\printtitle
#indian

man ta.Dapat hari darasan ko aaj
more tum bin biga.De sakal kaaj
aa, vinatii karat, huu.N, rakhiyo laaj, man ta.Dapat\threedots

tumhare dvaar kaa mai.n huu.N jogii
hamarii or nazar kab hogii
sun more vyaakul man kii baat, ta.Dapat harii darasan\threedots

bin guruu GYaan kahaa.N se paauu.N
diijo daan harii gun gaauu.N
sab gunii jan pe tumhaaraa raaj, ta.Dapat harii\threedots

muralii manohar aas na to.Do
dukh bha.njan more saath na chho.Do
mohe darasan bhikshaa de do aaj de do aaj, \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{nirdhan kaa ghar luuTane vaalo ... insaan bano}%
\film{Baiju Bawra}%
\year{1952}%
\starring{Bharat Bhushan, Meena Kumari}%
\singer{Rafi}%
\music{Naushad}%
\lyrics{Shakeel}%

% Contributor: Preeti Ranjan Panda (ppanda@cliff.ICS.UCI.EDU)
% Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@ndsun.cs.ndsu.nodak.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)

\printtitle
#indian

nirdhan kaa ghar lUTane vaalo.n
luuT lo dil kaa pyaar
pyaar vo dhan hai jisake aage
sab dhan hai bekaar

insaan bano, insaan bano karalo bhalaaI kaa koI kaam
insaan bano
duniyaa se chale jaaegaa rah jaaegaa badanaam insaan bano

o \threedots
is baag me.n sUraj bhii nikalataa hai liye Gam
phUlo.n kii ha.Nsii dekh ke ro detii hai shabanam
kuchh der kii khushiyaa.N hai.n to kuchh der kaa maatam
kis nii.nd me.n ho \threedots
kis nii.nd me.n ho jaago zaraa dekh lo anjaam, insaan bano

o \threedots
laakho.n yahaa.N shaan apanii dikhaate hue aaye
dam bhar ko rahe naach gaye dhUp me.n saaye
vo bhUl gaye the ke ye duniyaa hai saraay
aataa hai koI \threedots
aataa hai koI subah ko jaatA hai koI shaam, insaan bano

o \threedots
kyo.n tumane bichhaaye hai.n yahaa.N zulm ke Dere
dhan saath na jaayegaa bane kyo.n ho luTere
piite ho gariibo.n kaa lahuu shaam savere
khud paap karo \threedots
khud paap karo naam ho shaitaan kA badanaam, insaan bano

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
