% ISB File: BankManager_1959.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{sabaa se ye kah do ke kaliyaa.N bichhaae}%
\film{Bank Manager}%
\year{1959}%
\starring{Minoo Mumtaz}%
\singer{Asha}%
\music{Madan Mohan}%
\lyrics{Jaleel Maleehabadi}%

% Contributor: Samiuddin Mohammed <sm0e@lehigh.edu>
% Transliterator: Rajiv Shridhar <rajiv@coe.neu.edu>
% Date: 08/02/1996
% Credits: Roopa <RXD15@psuvm.psu.edu>

\printtitle
#indian

sabaa se ye kah do ke kaliyaa.N bichhaae
vo dekho, vo jaan\-e\-bahaar aa rahaa hai
churaa le gayaa jo, in aa.Nkho.n kii nii.nde.n
vahii leke dil kaa qaraar aa rahaa hai
sabaa se ye kah do \threedots

ye kaun aa gayaa dil ko karataa ishaare
ke mahakii fazaa, muskuraae nazaare
qadam ba.Dhake tuu chuum le ai mohabbat
ke dil ko bahut, unape pyaar aa rahaa hai
sabaa se ye kah do \threedots

ye maanaa ke mahafil me.n a.njaan hai tuu
magar jab bhii tujhase nigaahe.n milii hai.n
mujhe ye lagaa hai, payaam\-e\-mohabbat
nazar se terii baar\-baar aa rahii hai
sabaa se ye kah do \threedots

ye ra.Ngiin fasaanaa koii mujhase puuchhe
ke tuu kaisaa pyaaraa hai kitanaa hasii.n hai
sunaa thaa hasii.n jinape karate hai.n jaaduu
tujhe dekhakar aitabaar aa rahaa hai
sabaa se ye kah do \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
