% ISB File: BarsaatKiRaat_1960.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{garajat barasat saavan aayo re}%
\film{Barsaat Ki Raat}%
\year{1960}%
\starring{Bharat Bhushan, Madhubala, Nimmi}%
\singer{Lata, Kamal Barot}%
\music{Roshan}%
\lyrics{Sahir}%

% Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org)
% Credits: rec.music.indian.misc (USENET newsgroup) 
%          Dinesh K. Prabhu (prabhu@amelia.nas.nasa.gov)
%          Rajan P. Parrikar (parrikar@mimicad.Colorado.EDU)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)

\printtitle
#indian

garajat barasat saavan aayo re,
garajat barasat saavan aayo re
laayo na sa.ng me.n, hamare bichha.De balamavaa
sakhii kaa karuu.n haay,  garajat barasat saavan aayo re
garajat barasat saavan
aayo re saavan aayo, saavan aayo re
garajat barasat saavan

rimajhim\-rimajhim meghaa barase
rimajhim\-rimajhim meghaa \- barase \- barase
rimajhim\-rimajhim meghaa barase
ta.Dape jiyaravaa miin samaan
pa.D gaI pii kii laal chunariyaa
piyaa nahii.n aae
garajat barasat saavan aayo re
garajat barasat saavan

pal pal chhin chhin pavan jhakore    \- 3
laage tan par tiir samaan \- tiir samaan
sakhii laage tan par tiir samaan
nainan Dhale to bhiigii sajariyaa
agan lagaae
garajat barasat saavan aayo re
laayo naa sa.ng me.n, hamare bichha.De balamavaa
sakhii kaa karuu.n haay,  garajat barasat saavan aayo
laayo naa \- sa.ng me.n \- hamare \- bichha.De \- balamavaa
sakhii kaa karuu.n haay re haay

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{kyaa Gam jo a.Ndherii hai.n raahe.n}%
\film{Barsaat Ki Raat/ The Rainy Nights/ Saathi}%
\year{1960}%
\starring{Bharat Bhushan, Madhubala, Shyama, Chandrashekhar, K N Singh}%
\singer{Rafi}%
\music{Roshan}%
\lyrics{Sahir}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10482 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

kyaa Gam jo a.Ndherii hai.n raahe.n ik shammaa\-e\-tamannaa saath to hai
kuchh aur sahaaraa ho ki na ho haatho.n me.n tumhaaraa haath to hai

kyaa jaane kitane diivaane ghar phuu.Nk tamaashaa dekh chuke
jis pyaar kii dushman duniyaa hai us pyaar me.n ko_ii baat to hai

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% BOL ANAMOL: #10483 [V S RAWAT]

\startsong
\stitle{maayuus to huu.N vaade se tere}%
\film{Barsaat Ki Raat/ The Rainy Nights/ Saathi}%
\year{1960}%
\starring{Bharat Bhushan, Madhubala, Shyama, Chandrashekhar, K N Singh}%
\singer{Rafi}%
\music{Roshan}%
\lyrics{Sahir}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10483 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

maayuus to huu.N vaade se tere
kuchh aas nahii.n kuchh aas bhii hai
mai.n apane Kyaalo.n ke sadake
tuu paas nahii.n aur paas bhii hai
maayuus to huu.N \threedots

hamane to Kushii maa.Ngii thii magar
jo tuune diyaa achchhaa hii diyaa
jis Gam kaa ta_aalluuq ho tujhase
vo raas nahii.n aur raas bhii hai
mai.n apane Kyaalo.n ke \threedots

palako.n se larajate ashqo.n se
tasviir jhalakatii hai terii \-2
diidaar kii pyaasii aa.Nkho.n ko
ab pyaas nahii.n aur pyaas bhii hai
mai.n apane Kyaalo.n ke \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{mai.nne shaayad tumhe.n, pahale bhii kahii.n dekhaa hai}%
\film{Barsaat Ki Raat}%
\year{1960}%
\starring{Bharat Bhushan, Madhubala, Nimmi}%
\singer{Rafi}%
\music{Roshan}%
\lyrics{Sahir}%

% Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org)
% Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu)
%          Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu)
%          Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu)

\printtitle
#indian

mai.n ne shaayad tumhe.n pahale bhii kahii.n dekhaa hai

ajanabii sii ho magar gair nahii.n lagatii ho
vaham se bhii jo ho naazuk vo yakii.n lagatii ho
haay ye phuul saa cheharaa ye ghanerii zulfe.n
mere shero.n se bhii tum mujhako ha.nsii.n lagatii ho

dekhakar tumako kisii raat kii yaad aatii hai
ek Kaamosh mulaaqaat kii yaad aatii hai
jahaa.N me.n husn kii Tha.nDak kaa asar jagataa hai
aa.nch detii huI barasaat kii yaad aatii hai

jisakii palake.n merii aa.Nkho.n pe jhukii rahatii hai.n
tum vahii mere Kayaalo.n kii parii ho kii nahii.n
kahii.n pahale kii tarah phir to na kho jaaogii
jo hameshaa ke liye ho vo khushii ho kii nahii.n

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{mujhe mil gayaa bahaanaa terii diid kaa}%
\film{Barsaat Ki Raat}%
\year{1960}%
\starring{Bharat Bhushan, Madhubala}%
\singer{Lata}%
\music{Roshan}%
\lyrics{Sahir}%

% Contributor: Vandana Venkatesan (vandana@charlie.ece.scarolina.edu)
% Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu)

\printtitle
#indian

mujhe mil gayaa bahaanaa terI diid kA 
kaisI khushii leke AyA chaa.Nd, iid kA 
mujhe mil gayaa bahaanaa terI diid kA \- 2

zulf machalake khul khul jaaye 
chaal me.n mastii ghul ghul jaaye, ghul ghul jaaye 
aisI khushI aaj milii aaj milii aisI khushI 
aa.Nkho.n mai.n naam nahii.n, nii.nd kA 
mujhe mil gayaa bahaanaa \threedots

jaagatii aa.Nkhe.n bunatii hai.n sapane 
tujhako biThaake pahaluu me.n apane, pahaluu me.n apane 
dil kii lagI aisI ba.Dii aisI ba.DI dil kii lagI 
aa.Nkho.n mai.n naam nahii.n nii.nd kA 
mujhe mil gayaa bahaanaa terI diid kA 
kaisI khushii leke AyA chaa.Nd iid kA 
mujhe mil gayaa bahaanaa terI diid kA 

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{na Ka.njar uThegaa ... jii chaahataa hai chuum luu.N}%
\film{Barsaat Ki Raat}%
\year{1960}%
\starring{Bharat Bhushan, Madhubala, Nimmi}%
\singer{Asha, Sudha Malhotra, Balbir, Bande Hasan}%
\music{Roshan}%
\lyrics{Sahir}%

% Contributor: K Vijay Kumar
% Transliterator: K Vijay Kumar
% Credits: Hrishi Dixit, Tabassum Hijazi

%\printtitle
#indian

aaaaaa ~~~~~ na kha.njar uThegaa na talavaar tumase
aaa ye baazuu mere aazamaaye hu_e hai.n

aur pahachaanataa huu.N khuub tumhaarii nazar ko mai.n
bhai! jaane na duu.Ngaa haath se dil aur jigar ko mai.n

dil aisii shah nahii.n hai jo kaabuu me.n rah sake
bhai! samajhaa_uu.N kis tarah ye kisii bekhabar ko mai.n

aayii hai unake chaa.Nd se chahare ko chuum kar
bhai! jii chaahataa hai chuum luu.N apanii nazar ko main

go zulm behisaab kiyaa is nigah ne
rusavaa kiyaa kharaab kiyaa is nigah ne
ik kaam laajavaab kiyaa is nigah ne
jo tujhako i.ntakhaab kiyaa is nigaah ne
bhai! jii chaahataa hai chuum luu.N apanii nazar ko mai.n

ishq par zor nahii.n hai ye vo aatish fitanaa
ke lagaaye na lage aur bujhaaye na bane 
ab tum hii kaho ki kyaa, jii chaahataa hai

vo sadaa duur duur rahataa hai
naasihaa tuu durust kahataa hai
usape marane se kuchh nahii.n haasil
aah bharane se kuchh nahii.n haasil
bemuravvat hai bevafaa hai vo
mere dushaman kaa aashanaa hai vo
ab use cho.Danaa hii behatar hai
ye bharam to.Danaa hii behatar hai
maanate hai.n tere nasiihat ko
haay par kyaa kare.n tabiiyat ko
bhai! jii chaahataa hai

pichhale pahar jab os pa.De aur ThaNDii pavan chale
birahaa agan moraa tan man phuu.Nke suunii sej jale
sab sakhiyaa.N chalii pii ko rijhaane
more sajan hai.n duur Thikaane
aur meraa bhii jii chaahataa hai

kyo.n aag pe marate ye ham nahii.n kah sakate
suurat kaa savaal hai na siirat kii baat hai
ham tum pe mar miTe ye tabiiyat kii baat hai
bhai! jii chaahataa hai

jii chaahataa hai chuum luu.N apanii nazar ko mai.n 

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{na to kaaravaa.n kii talaash hai}%
\film{Barsaat Ki Raat}%
\year{1960}%
\starring{Bharat Bhushan, Madhubala, Nimmi}%
\singer{Rafi, Manna De, Asha, S D Batish, Sudha Malhotra}%
\music{Roshan}%
\lyrics{Sahir}%

% Credits: Pratap Khedkar (khedkar@merak.crd.ge.com)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)

\printtitle
#indian

naa to kaaravaa.N kii talaash hai, naa to hamasafar kii talaash hai
mere shauq\-e\-khaanaa kharaab ko, terii rahaguzar kii talaash hai

mere naamuraad junuun kaa hai ilaaj koI to maut hai
jo davaa ke naam pe zahar de usii chaaraagar kii talaash hai

teraa ishq hai merii aarazuu, teraa ishq hai merii aabaruu
dil ishq jism ishq hai aur jaan ishq hai
Imaan kii jo puuchho to Imaan ishq hai
teraa ishq hai merii aarazuu, teraa ishq hai merii aabaruu,
teraa ishq mai.n kaise chho.D duu.N, merii umra bhar kii talaash hai

ishq ishq teraa ishq ishq \threedots

ye ishq ishq hai ishq ishq,  ye ishq ishq hai ishq ishq

jaa.Nsoz kii haalat ko jaa.Nsoz hii samajhegaa
mai.n shamaa se kahataa huu.N mahafil se nahii.n kahataa kyo.nki
ye ishq ishq hai ishq ishq,  ye ishq ishq hai ishq ishq

sahar tak sabakaa hai a.njaam jal kar khaak ho jaanaa,
bharii mahafil me.n koI shammaa yaa paravaanaa ho jAe kyo.nki
ye ishq ishq hai ishq ishq,  ye ishq ishq hai ishq ishq

vahashat\-e\-dil rasm\-o\-diidaar se rokii naa gaI
kisii kha.njar, kisii talavaar se rokii naa gaI
ishq majanuu kii vo aavaaz hai jisake aage
koI lailaa kisii diivaar se rokii naa gaI, kyo.nki
ye ishq ishq hai ishq ishq,  ye ishq ishq hai ishq ishq

vo ha.Nsake agar maa.Nge.n to ham jaan bhii dede.n,
haa.N ye jaan to kyaa chiiz hai Imaan bhii dede.n kyo.nki
ye ishq ishq hai ishq ishq,  ye ishq ishq hai ishq ishq

naaz\-o\-a.ndaaz se kahate hai.n ki jiinaa hogaa,
zahar bhii dete hai.n to kahate hai.n ki piinaa hogaa
jab mai.n piitaa huu.N to kahate.n hai ki marataa bhii nahii.n,
jab mai.n marataa huu.N to kahate hai.n ki jiinaa hogaa
ye ishq ishq hai ishq ishq,  ye ishq ishq hai ishq ishq

mazahab\-e\-ishq kii har rasm ka.Dii hotii hai,
har kadam par koI diivaar kha.Dii hotii hai
ishq aazaad hai, hi.nduu naa musalamaan hai ishq,
aap hii dhama.r hai aur aap hii Imaan hai ishq
jisase aagaah nahii shekh\-o\-barahaaman dono,
us haqiiqat kaa garajataa huA ailaan hai ishq

ishq naa puchchhe diin dharam nuu, ishq naa puchchhe jaataa.N
ishq de haatho.n garam lahuu vich, Dubiyaa.n lakh baraataa.N   
ke \threedots de ishq	
ye ishq ishq hai ishq ishq,  ye ishq ishq hai ishq ishq

raah ulfat kii kaThin hai ise aasaa.N naa samajh
ye ishq ishq hai ishq ishq,  ye ishq ishq hai ishq ishq

bahut kaThin hai Dagar panaghaT kii
ab kyaa bhar lAU.N mai jamunaa se maTakii
mai jo chalii jal jamunaa bharan ko
dekho sakhii jii mai jo chalii jal jamunaa bharan ko
na.ndakishor mohe roke jhaa.Do.n to
kyaa bhar lAU.N mai jamunaa se maTakii
ab laaj raakho more ghuu.NghaT paT kii

jab jab kR^ishhN kii ba.nsii baajii, nikalii raadhaa saj ke
jaan ajaan kaa maan bhulaa ke, lok laaj ko taj ke
janak dulaarii ban ban Dolii, pahan ke prem kii maalaa
dasha.rn jal kii pyaasii miiraa pii gaI vishh kaa pyaalaa
aur phir araj karii ke
laaj raakho raakho raakho, laaj raakho dekho dekho, 
laaj raakho raakho, he he he, 
laaj raakho raakho, he he he, 
laaj raakho raakho
ye ishq ishq hai ishq ishq,  ye ishq ishq hai ishq ishq

allaah rasuul kaa faramaan ishq hai
yaane hafiiz ishq hai, quraan ishq hai
gautam kaa aur masiih kaa aramaan ishq hai
ye kaayanaat jism hai aur jaan ishq hai
ishq saramad, ishq hii ma.nsuur hai
ishq muusaa, ishq koh\-e\-nuur hai
Kaaq ko but, aur but ko devataa karataa hai ishq
intahaa ye hai ke ba.nde ko Kudaa karataa hai ishq

haa.N ishq ishq teraa ishq ishq
teraa ishq ishq, ishq ishq \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{nigaah\-e\-naaz ke maaro.n kaa haal kyaa hogaa}%
\film{Barsaat Ki Raat}%
\year{1960}%
\starring{Bharat Bhushan, Madhubala, Nimmi}%
\singer{Asha, Sudha Malhotra, Shanker-Shambhu}%
\music{Roshan}%
\lyrics{Sahir}%

% Contributor: K Vijay Kumar
% Transliterator: K Vijay Kumar
% Credits: Samiuddin Mohammad

\printtitle
#indian

adaa bijalii, badan sholaa, bha.Nve kha.njar, nazar qaatil
galat kyaa hai hame.n kahatii hai ye duniyaa agar qaatil
to phir

nigaah\-e\-naaz ke maaro.n kaa haal kyaa hogaa
na bach sake to bechaaro.n kaa haal kyaa hogaa

hamii ne ishq ke (zaraa dekho) qaabil banaa diyaa hai tumhe
hamii na ho to nazaaro.n kaa haal kyaa hogaa

hamaare husn kii bijalii chamakne vaalii hai
na jaane aaj hazaro.n kaa haal kyaa hogaa

bahaar-e-husn salaamat khizaa se puuchh zaraa
kyaa? ke chaar din me.n bahaaro.n kaa haal kyaa hogaa

ra.ng par naaz na kar kyo.n kii ra.ng badal jaataa hai
ye vo mahamaa.N hai jo aaj aataa hai kal jaataa hai
ishq par naaz kare ko_i to kuchh baat bhii hai
husn kaa naaz hii kyaa, husn to Dhal jaataa hai
bahar\-e\-husn salaamat khizaa se puuchh zaraa
ke chaar din me.n bahaaro.n kaa haal kyaa hogaa

## tarana ##

ham apane chehare se pad.raa uThaa to de lekin
gariib chaa.Nd-sitaaro.n kaa haal kyaa hogaa

muqaabalaa hai to phir der kyaa hai tiir chalaa

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{zi.ndagii bhar nahii.n bhuulegii vo barasaat ki raat}%
\film{Barsaat Ki Raat}%
\year{1960}%
\starring{Madhubala, Bharat Bhushan, Nimmi}%
\singer{Rafi / Rafi, Lata}%
\music{Roshan}%
\lyrics{Sahir}%

% Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org)
% Credits: rec.music.indian.misc (USENET newsgroup) 
%          Sandhya Rao (rao@donald.phyast.pitt.edu)
%          C.S. Sudarshana Bhat (ceindian@utacnvx.uta.edu)
%          Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu)
%         (sg93bqrd@dunx1.ocs.drexel.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)

\printtitle
#indian

zi.ndagii bhar nahii.n bhuulegii vo barasaat kii raat
ek a.njaan hasiinaa se mulaakaat kii raat
zi.ndagii bhar nahii.n bhuulegii \threedots

haay vo reshamii zulfo.n se barasataa paanii
phuul se gaalo.n pe rukane ko tarasataa paanii
dil me.n tuufaan uThaate hue 
dil me.n tuufaan uThaate hue haalaat kii raat 
zi.ndagii bhar nahii.n bhuulegii \threedots

Dar ke bijalii se achaanak vo lipaTanaa usakaa
aur phir sharm se balakhaake simaTanaa usakaa 
kabhii dekhii na sunii aisii ho
kabhii dekhii na sunii aisii tilismaat ki raat
zi.ndagii bhar nahii.n bhuulegii \threedots

surkh aa.nchal ko dabaakar jo nicho.Daa usane
dil pe jalataa huaa ek tiir saa chho.Daa usane 
aag paanii me.n lagaate hue
aag paanii me.n lagaate hue jazabaat ki raat
zi.ndagii bhar nahii.n bhuulegii \threedots

mere naGmo.n me.n jo basatI hai vo tasvIr thI vo
naujavAnI ke hasI.n Kvaab kI tAbIr thI vo
aasmano.n se utar aaI thI jo raat kI raat
zi.ndagii bhar nahii.n bhuulegii \threedots

#Duet Version added via FITB#

[lataa:]
zi.ndagii bhar nahii.n bhuulegii vo barasaat kii raat
ek a.njaan musaafir se mulaaqaat kii raat
zi.ndagii bhar nahii.n bhuulegii 

haay jis raat mere dil ne dha.Dakanaa siikhaa
shoKh jazabaat ne siine me.n bhaDakanaa siikhaa
merii taqadiir me.n nikharii huii, ho
merii taqadiir me.n nikharii huii saramaat kii raat
zi.ndagii bhar nahii.n bhuulegii 

dil ne jab pyaar ke ra.ngiin fasaane chhe.De
aa.Nkho.n aa.Nkho.n ne vafaao.n ke taraane chhe.De
soz me.n Duub gaii aaj vahii
soz me.n Duub gaii aaj vahii naGhamaat kii raat
zi.ndagii bhar nahii.n bhuulegii 

[rafii]
ruuThanevaalii!
ruuThanevaalii merii baat pe maayuus naa ho
bahake bahake Khayaalaat se maayuus naa ho
khat_ma hogii naa kabhii tere, ho
khat_ma hogii naa kabhii tere mere saath kii raat
zi.ndagii bhar nahii.n ... 

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
