% ISB File: Beti_1969.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{ye kyaa kiyaa re duniyaa vaale jahaa.N ke Gam}%
\film{Beti}%
\year{1969}%
\starring{Sanjay, Kishor Sahu, Nanda, Kamini Kaushal, Shyama, Raj Mehra}%
\singer{Mukesh}%
\music{Sonik Omi}%
\lyrics{Shakeel}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10376 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

ye kyaa kiyaa re duniyaa vaale
jahaa.N ke Gam tuune sabhii mujhako de Daale
ye kyaa kiyaa re \threedots

o re bedardii o harajaa_ii dekh lii maine terii Kudaa_ii
pahale hii meraa dil ghaayal thaa aur bhii us par choT lagaa_ii
tuune rulaa ke mujhe dar\-dar phiraa ke mujhe
kab ke ye aramaa.n nikaale
ye kyaa kiyaa re \threedots

subah kaa suuraj raat ke taare ban ga_e sab ke sab a.ngaare
aas ke ba.ndhan to.D ke tuune chhiin li_e sabhii sa.ng\-sahaare
mere lahuu kii qasam aur bhii kar le sitam
aag tuu dil kii bujhaa le
ye kyaa kiyaa re \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
