% ISB File: Bewafaa_1952.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{aajaa naa mere dilarubaa}%
\film{Bewafaa}%
\year{1952}%
\starring{Nargis, Raj Kapoor}%
\singer{Geeta Dutt}%
\music{A R Quereshi}%
\lyrics{Shams Azimabadi}%

% Contributor: BOL ANAMOL #11914 [V S Rawat]
% Song courtesy: http://www.indianscreen.com (Late Shri Amarjit Singh)

\printtitle
#indian

( aa jaa naa mere dilarubaa
aa jaa tuu aa ke phir naa jaa
tujhe pataa de merii jaa.N
aisaa zamaanaa phir kahaa.N ) \-2

( darawaazaa khulaa to khulaa
jhuulaa jawaanii kaa jhulaa
mujhe kyaa maa tujhe javaa.N
aisaa zamaanaa phir kahaa.N ) \-2

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{badanasiibii kaa gilaa ai dil\-e\-naashaad na kar}%
\film{Bewafaa}%
\year{1952}%
\starring{Nargis, Raj Kapoor, Ashok Kumar}%
\singer{Lata}%
\music{Alla Rakha}%
\lyrics{Sarshar Silani}%

% Contributor: K Vijay Kumar
% Transliterator: K Vijay Kumar

\printtitle
#indian

badanasiibii kaa gilaa ai dil-e-naashaad na kar
haay fariyaad na kar

har gha.Dii aish kaa saamaan kahaa.N rahataa hai
zi.ndagii bhar koii mahamaan kahaa.N rahataa hai
Gam ba.Dii chiiz hai is chiiz ko barabaad na kar

rone vaale tere rone pe ha.Nsii aatii hai
jo gha.Dii biit gayii vo bhii kabhii aatii hai
jab vo zinnaa nahii.n tab se to unhe.n yaad na kar

ye teraa ashq bahaanaa kabhii aur aahe.n bharanaa
pyaar kii rit nahii.n pyaar ko rusavaa karanaa
ghuT ke mar jaa magar ai dil kabhii fariyaad na kar

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{dil matawaalaa laakh sambhaalaa}%
\film{Bewafaa}%
\year{1952}%
\starring{Ashok Kumar, Raj Kapoor, Nargis}%
\singer{Lata/ Talat}%
\music{A R Qureshi}%
\lyrics{Sarshar Sailani}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Aug 7, 2004

\printtitle
#indian

% Part I

dil matawaalaa laakh sambhaalaa
phir bhii kisii par aa hii gayaa \-2
shoK nazar se dekhane waalaa
pyaar kaa rog lagaa hii gayaa \-2

( na_ii uma.nge.n nayaa zamaanaa
na_ii tara.nge.n nayaa taraanaa ) \-2
mast nazar ke tiir chalaakar
ko_ii hame.n ta.Dapaa hii gayaa \-2

dil matawaalaa laakh sambhaalaa
phir bhii kisii par aa hii gayaa \-2

( o madahosh nigaaho.n waale
terii qasam dil tere hawaale ) \-2
dekhaa is a.ndaaz se tuune
pyaar kisii ko aa hii gayaa \-2

dil matawaalaa laakh sambhaalaa
phir bhii kisii par aa hii gayaa \-2

( kar gaye baate.n do matawaale
dekhate rah gaye dekhane waale ) \-2
( ko_ii kisii ko raaz\-e\-mohabbat
aa.Nho.n me.n samajhaa hii gayaa
aa.Nho.n me.n samajhaa hii gayaa ) \-2

dil matawaalaa laakh sambhaalaa
phir bhii kisii par aa hii gayaa \-2

% Part II

aa
dil matawaalaa laakh sambhaalaa \-2
phir bhii kisii par aa hii gayaa
shoK nazar se dekhane waalaa \-2
pyaar kaa rog lagaa hii gayaa
dil matawaalaa laakh sambhaalaa

( na_ii uma.nge.n nayaa zamaanaa
na_ii tara.nge.n nayaa taraanaa ) \-2
mast nazar se tiir chalaa ke \-2
ko_ii hame.n ta.Dapaa hii gayaa

dil matawaalaa laakh sambhaalaa

( o madahosh nigaaho.n waale
terii qasam dil tere hawaale ) \-2
dekhaa is a.ndaaz se tumane \-2
pyaar kisii ko aa hii gayaa

dil matawaalaa laakh sambhaalaa

( kar gaye baate.n do matawaale
dekhate rah gaye dekhane waale ) \-2
ko_ii kisii ko raaz\-e\-mohabbat \-2
aa.Nho.n me.n samajhaa hii gayaa

dil matawaalaa laakh sambhaalaa
phir bhii kisii par aa hii gayaa
dil matawaalaa laakh sambhaalaa

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{dil milaa dard ko mahamaan banaane ke liye}%
\film{Bewafaa}%
\year{1951}%
\starring{Ashok Kumar, Raj Kapoor, Nargis}%
\singer{Talat}%
\music{Alla Rakha}%
\lyrics{Sarshar Silani}%

% Contributor: K Vijay Kumar
% Transliterator: K Vijay Kumar

\printtitle
#indian

dil milaa dad.r ko mahamaan banaane ke liye
aa.Nkh baKshii hai kahii.n aa.Nkh la.Daane ke liye

kaam haatho.n kaa hai milane kii duaa_e.n karanaa
sar milaa ishq ke kadamo.n pe jhukaane ke liye

husn kii aa.Nkh me.n aa.Nsuu nahii.n dekhe jaate
ishq taiyyaar hai har naaz uThaane ke liye

haay aate hii ye jaane kaa taqaazaa kaisaa
der lagatii hai lagii dil kii bujhaane ke liye

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{ek baar jhalak dikhalaa ke ... isii kaa naam duniyaa hai}%
\film{Bewafaa}%
\year{1952}%
\starring{Ashok Kumar, Raj Kapoor, Nargis}%
\singer{Lata}%
\music{Alla Rakha Qureshi}%
\lyrics{Sarshar Sailani}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10019 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

ek baar jhalak dikhalaa ke hame.n qismat kaa sitaaraa Duub gayaa
kashtii to bechaarii kashtii thii paanii me.n kinaaraa Duub gayaa

isii kaa naam duniyaa hai to duniyaa dekh lii maine

kisii kii aarazuu kaa Kuun karake kyaa milaa mujhako
ki apane dil kii duniyaa bhii uja.Date dekh lii maine
isii kaa naam duniyaa hai \threedots

merii aa.Nkho.n ke aage luT rahaa thaa dil kaa qaafilaa
qayaamat hai ki jiite jii qayaamat dekh lii maine
isii kaa naam duniyaa hai \threedots

merii a.ndhii javaanii ne mujhe barabaad kar Daalaa
kisii kii bevafaa_ii par luTaa dii zindagii maine
isii kaa naam duniyaa hai \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{tum ko furasat ho merii jaan to idhar dekh to lo}%
\film{Bewafaa}%
\year{1952}%
\starring{Raj Kapoor, Nargis, Ashok Kumar}%
\singer{Talat}%
\music{Alla Rakha}%
\lyrics{Sarshar Silani}%

% Contributor: Vijay Kumar 
% Transliterator: Rajiv Shridhar <rajiv@coe.neu.edu>
% Date: 04/15/1997

\printtitle
#indian

tum ko fursat ho merii jaan to idhar dekh to lo
chaar aa.Nkhe.n na karo, ek nazar dekh to lo

baat karane ke lie, kaun tumhe.n kahataa hai
na karo hamase koii baat maGar dekh to lo

apane biimaar\-e\-mohabbat kii tasallii ke lie
haal\-e\-dil puuchh to lo, zaKm\-e\-jigar dekh to lo

dil\-e\-barbaad ko aabaad karo yaa na karo
kam se kam tum meraa uja.Daa huaa ghar dekh to lo

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{tuu aaye na aaye terii Kushii}%
\film{Bewafaa}%
\year{1952}%
\starring{Ashok Kumar, Raj Kapoor, Nargis}%
\singer{Talat}%
\music{Alla Rakha}%
\lyrics{Sarshar Silani}%

% Contributor: K Vijay Kumar
% Transliterator: K Vijay Kumar

\printtitle
#indian

tuu aaye na aaye terii khushii
ham aas lagaaye baiThe hai.n
diidaar kii pyaasii aa.Nkho.n me.n
tuufaan chhupaaye baiThe hai.n
tuu aaye na aaye   \threedots

itanaa to bataa de o zaalim
ab nazaro.n se kyo.n duur hai tuu
milanaa hii tujhe ma.nzuur nahii.n
yaa merii tarah majabuur hai tuu
tuu kah de agar ham uTh jaaye.n
ham tere biThaaye baiThe hai.n
tuu aaye na aaye   \threedots

ae dad.r\-e\-muhabbat terii qasam
dil hamane lagaa kar dekh liyaa
asqo.n kii zubaanii kissaa\-e\-Gam
duniyaa ko sunaa ke dekh liyaa
tuufaan se kah do ghir ke uThe
ham    baiThe hai.n
tuu aaye na aaye   \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
