% ISB File: Bidaai_1974.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{tun tunaa ... kabhii khole na tijorii kaa taalaa}%
\film{Bidaai}%
\year{1974}%
\starring{Jeetendra, Leena Chandrawarkar, Durga Khote, Madan Puri, Asrani}%
\singer{Kishore}%
\music{Laxmikant Pyarelal}%
\lyrics{Anand Bakshi}%

% Contributor: BOL ANAMOL #11548 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

tun tunaa \-3
kabhii khole na tijorii kaa taalaa
haa.N meraa sasuraa ba.Daa paise vaalaa
kab nikalegaa isakaa diivaalaa
meraa sasuraa \threedots

haT jaa_o mat shor karo sasure ko mat ##bore## karo
sasuraa achchhaa bandaa hai maanaa kaalaa dhandhaa hai
uu.Nchii mil kaa maalik hai chhoTe dil kaa maalik hai
itanaa dhan kaise aayaa mai.n boluu.N aise aayaa
lekar naam nasiibo.n kaa chuusaa Kuun Gariibo.n kaa
saadhuu ban kar ye Daakaa Daalaa
haa.N meraa sasuraa \threedots

mili_e ab is gorii se merii prem\-chakorii se
kaisii pyaarii lagatii hai abalaa naarii lagatii hai
gaa.Nv ko dhokhaa de aa_ii mujhako shahar me.n le aa_ii
kad kii tho.Dii chhoTii hai par shatara.nj kii goTii hai
aisii chaal ye chalatii hai kahate jaan nikalatii hai
kaisii aurat se pa.D gayaa paalaa
haa.N meraa sasuraa \threedots

ab tum puuchho kaun hai ye kitanii der se maun hai ye
ye sevak hai svaamii kaa rishtedaar hai ##Tomy## kaa
karachhii hai naa karachhaa hai ye chhoTaa saa chamachaa hai
kutte saa piichhe dau.De paka.De to phir naa chho.De
achchhaa isakaa kaam nahii.n par ye namak\-haraam nahii.n
choro.n ke maal kaa ye rakhavaalaa
haa.N meraa sasuraa \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
