% ISB File: Bilwamangal_1954.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{din ne jaate jaate ... ye raat din kaa pheraa}%
\film{Bilwamangal}%
\year{1954}%
\starring{C H Atma, Suraiya, Asha Mathur, Ulhas}%
\singer{C H Atma}%
\music{Bulo C Rani}%
\lyrics{D N Madhok}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, May 23, 2005

\printtitle
#indian

din ne jaate jaate mujhako raat ke haath diyaa
bor bhayii aur jhaa.D chadariyaa raat ne kuuch kiyaa
phir pahare par suuraj aayaa phir wohii din ke phere
paharedaar badalate jaaye.n ba.ndh na chhuuTe.n mere

ye raat din kaa pheraa
ye raat din kaa pheraa lagaa rahegaa
jab tak na kuuch na hogaa yaa.N se Deraa
ye raat din kaa pheraa

subah guzar ga_ii hai aur shaam jaa rahii hai \-2
muurakh sambhal ke dar pe wo raat aa rahii hai
is raat kaa jiiwan me.n kabhii hogaa naa saveraa \-2
ye raat din kaa pheraa

maaya ke laate sar pe dhar ke kahaa.N chalaa hai \-2
aur moh jholiyo.n me.n bhar ke kahaa.N chalaa hai
ma.nzil hai duur terii kadam Dagamagaaye teraa
ye raat din kaa pheraa lagaa rahegaa
jab tak na kuuch na hogaa yaa.N se Deraa
ye raat din kaa pheraa

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{ham ishq ke maaro.n ko do dil to diye hote}%
\film{Bilwamangal}%
\year{1954}%
\starring{}%
\singer{Suraiyya}%
\music{Bulo C Rani}%
\lyrics{D N Madhok}%

% Contributor: K Vijay Kumar

\printtitle
#indian

ham ishq ke maaro.n ko do dil to diye hote
ham ne na kabhii un ke ahasaan liye hote

ik dil jo kabhii rotaa, duuje se bahal jaate
aahe.n na bharii hotii, shikave na kiye hote

aate ki na aate vo, paravaah kise hotii
furqat me.n kisii ke na, mar mar ke jiye hote

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{panaghaT pe more shyaam bajaaye.n muraliyaa}%
\film{Bilwamangal}%
\year{1954}%
\starring{C H Atma, Suraiya, Asha Mathur, Ulhas}%
\singer{C H Atma}%
\music{Bulo C Rani}%
\lyrics{D N Madhok}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, May 23, 2005

\printtitle
#indian

panaghaT pe more shyaam bajaaye.n muraliyaa \-2

jal jamunaa
jal jamunaa pag chuuman aaye \-2
pawan chalat iThalaaye \-2
iThalaaye iThalaaye
kaliyo.n ne bha.Nware se puuchhaa \-2
kaun hai ye man chhaliyaa \-2

bajaaye.n muraliyaa
panaghaT pe more shyaam bajaaye.n muraliyaa

muralii baajii ban kii kayaa sab sunane ko bhaagii
sun kar kaliyaa.N
sun kar kaliyaa.N bhor se pahale apane biyaa se jaagii.n
yahii raat hai
yahii raat hai jab raadhaa kii shaam se a.Nkhiyaa.N laagii.n
bholii bhaalii
bholii bhaalii brij naarii kaa man har liino chhaliyaa

bajaaye.n muraliyaa
panaghaT pe more shyaam bajaaye.n muraliyaa
bajaaye.n muraliyaa

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
