% ISB File: BootPolish_1953.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{chalii kaun se desh gujariyaa tuu saj\-dhaj ke}% 
\film{Boot Polish}%
\year{1953}%
\starring{David, Baby Naaz, Rattan Kumar}%
\singer{Talat, Asha}%
\music{Shankar-Jaikishan}%
\lyrics{Shailendra}%

% Contributor:  Biju Parameshwaran (paramesh@enuxsa.eas.asu.edu)
% Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu)
% Credits: Satish Kalra

\printtitle 
#indian

t: chalii kaunase desh gujariyaa tuu saj\-dhaj ke \- 2
A: jaauu.N piyaa ke desh o rasiyaa mai.n saj\-dhaj ke \- 2 
t: chalii kaunase desh gujariyA tuu saj\-dhaj ke 

t: chhalake.n maat\-pitaa kI a.Nkhiyaa.N 
rove tere bachapan kii sakhiyaa.n 
bhaiyaa kare pukaar ho 
bhaiyaa kare pukaar nA jaa ghar\-aa.ngan taj ke 
A: jaauu.N piyaa ke desh o rasiyaa mai.n saj\-dhaj ke 
t: chalii kaunase desh gujariyaa tuu saj\-dhaj ke 

A: duur desh mere pii kii nazariyA
vo unakii mai.n unakii sa.nvariyaa
baa.ndhii lagan kii Dor ho 
baa.ndhii lagan kii Dor mai.nne sab soch\-samajhake 
jaauu.N piyaa ke desh o rasiyaa mai.n saj\-dhaj ke 
t: chalii kaunase desh gujariyaa tuu saj\-dhaj ke 

ta: do din jag me.n dhuum machaaye.n
jaa ke koii vapas na aaye
khoj khoj thak jaaye.n ho
khoj khoj thak jaaye.n do nainaa chaa.Nd suraj ke
A: jaauu.N piyaa ke desh o rasiyaa mai.n saj\-dhaj ke
t: chalii kaunase desh gujariyaa tuu saj\-dhaj ke

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{lapak jhapak tuu aa re badaravaa}%
\film{Boot Polish}%
\year{1953}%
\starring{David, Baby Naaz}%
\singer{Manna De}%
\music{Shankar-Jaikishan}%
\lyrics{Shailendra}%

% Contributor: Uday Patel
% Transliterator: K Vijay Kumar

\printtitle
#indian

lapak japak tuu aa re badaravaa
sar kii khetii suukh rahii hai
baras baras tuu aa re badaravaa

jhaga.D jhaga.D kar paanii laa tuu
aka.D aka.D  bijalii chamakaa tuu
tere gha.De me.n paanii nahii.n to
panaghaT se bhar laa
re badaravaa   \threedots

ban me.n koyal kuuk uThii hai
sab ke man me.n huuk uThii hai
bhuudal se tuu baal ugaa de
jhaT paT tuu barasaa
re badaravaa   \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{nanhe munne bachche terii muTThii me.n kyaa hai}%
\film{Boot Polish}%
\year{1953}%
\starring{David, Baby Naaz, Rattan Kumar}%
\singer{Rafi, Asha, chorus}%
\music{Shankar-Jaikishan}%
\lyrics{Shailendra}%

% Contributor: Prithviraj Dasgupta
% Transliterator: Prithviraj Dasgupta
% Date: 15th March, 2000

\printtitle
#indian

ra: (nanhe munne bachche terii muTThii me.n kyaa hai) \- 2
aa: muTThii me.n hai taqadiir hamaarii
ko: muTThii me.n hai taqadiir hamaarii
aa: ham ne qismat ko bas me.n kiyaa hai
ko: ham ne qismat ko bas me.n kiyaa hai
ra: (bholii bhalii matavaalii aa.Nkho.n me.n kyaa hai) \-2
aa: aa.Nkhon me.n jhuume ummiido.n kii divaalii
ko: aa.Nkhon me.n jhuume.n ummiido.n kii divaalii
aa: aanevaalii duniyaa kaa sapanaa sajaa hai
ko: aanevaalii duniyaa kaa sapanaa sajaa hai \threedots

ra: (bhiikh me.n jo motii mile loge yaa na loge
zi.ndagii ke aa.Nsuu_o.n kaa bolo kyaa karoge) \-2
aa: bhiikh me.n jo motii mile to bhii ham naa le.nge
ko: bhiikh me.n jo motii mile to bhii ham naa le.nge
aa: zi.ndagii ke aa.Nsuu_o.n kii maalaa pahane.nge
ko: zi.ndagii ke aa.Nsuu_o.n kii maalaa pahane.nge
aa: mushkilo.n se la.Date bhi.Date jiine me.n mazaa hai
ko: mushkilo.n se la.Date bhi.Date jiine me.n mazaa hai

ra: (ham se na chhupaao bachcho hame.n bhii bataao
aanevaale duniyaa kaisii hogii samajhaao) \-2
aa: aanevaale duniyaa me.n sab ke sar pe taaj hogaa
ko: aanevaale duniyaa me.n sab ke sar pe taaj hogaa
aa: na bhuukho.n kii bhii.D hogii na dukho.n kaa raaj hogaa
ko: na bhuukho.n kii bhii.D hogii na dukko.n kaa raaj hogaa
aa: badalegaa zamanaa ye sitaaro.n pe likhaa hai
ko: badalegaa zamanaa ye sitaaro.n pe likhaa hai \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{Thahar zaraa o jaanevaale}%
\film{Boot Polish}%
\year{1953}%
\starring{David, Baby Naaz, Rattan Kumar}%
\singer{Manna De, Asha, Madhubala Jhaveri, chorus}%
\music{Shankar-Jaikishan}%
\lyrics{Shailendra}%

%Contributor: Prithviraj Dasgupta

\printtitle
#indian

ma: (Thahar zaraa o jaanevaale) \- 2
     babu misTar gore kaale
     kab se baiThe aas lagaa_e
     ham matavaale paalishavaale
ko:  Thahar zaraa o jaanevaale
     babu misTar gore kaale
     kab se baiThe aas lagaa_e
     ham matavaale paalishavaale \threedots

aa: ye kaalii paalish ek aanaa
ma: ye braa_uun paalish ek aanaa
aa: juute kaa maalish ek aanaa
aa/ma: har maal milegaa ek aanaa
     na blaism na paakhau.Dii hai
     na paga.Dii hai na chorii
     chhoTii sii dukaan lagaa_e
     ham matavaale paalishavaale \threedots

ma: mehanat kaa phal miThaa miThaa
ko: haa.N bhai haa.N re
ma: bhaag kisiikaa ruuThaa jhuuThaa
ko: naa bhai naa re
ma: mehanat kii ek ruukhii roTii
ko: haa.N bhai haa.N re
ma: aur mufat kii dudh malaa_ii
ko: naa bhai naa re
    laalach jo phokaT kii khaa_e
    laalach jo haraam kii khaa_e
    ham matavaale paalishavaale \threedots

ma: pa.nDit jii ma.ntar pa.Date hai.n
    vo ga.ngaa jii nahalaate hai.n
ko: ham peT kaa ma.ntar pa.Date hai
    juute kaa muh chamakaate hai
ma: pa.nDit ko paa.Nch chavannii hai
ko: ham ko to ek ikannii hai
ma: phir bhed bhaav ye kaisaa hai
ko: jab sab kaa pyaaraa paisaa hai
    uu.Nch niich kuchh samajh na paa_e
    ham matavaale paalishavaale \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{tumhaare hai.n tumase dayaa maa.Ngate hai.n}%
\film{Boot Polish}%
\year{1953}%
\starring{David, Baby Naaz, Rattan Kumar}%
\singer{Rafi, Asha, chorus}%
\music{Shankar-Jaikishan}%
\lyrics{Shailendra}%

%Contributor: Prithviraj Dasgupta
%Date: February 18, 2000

\printtitle
#indian

ra: tumhaare hai.n tumase dayaa maa.Ngate hai.n
ko: tumhaare hai.n tumase dayaa maa.Ngate hai.n
ra: tere laaDalo.n kii du_aa maa.Ngate hai.n
ko: tere laaDalo.n kii du_aa maa.Ngate hai.n

ra: yatiimo.n kii duniyaa me.n haradam a.ndheraa
ko: yatiimo.n kii duniyaa me.n haradam a.ndheraa
ra: idhaar bhuul kar bhii na aayaa saveraa
ko: idhaar bhuul kar bhii na aayaa saveraa
ra: isii shaam ko ek pal bhar jale jo
ko: isii shaam ko ek pal bhar jale jo
ra: ham aashaa kaa aisaa diyaa maa.Ngate hai.n \threedots

aa: the ham jinakii aa.Nkho.n ke cha.nchal sitaare.n
ko: the ham jinakii aa.Nkho.n ke cha.nchal sitaare.n
aa: hame.n chho.D vo is jahaa.N se sidhaare
ko: hame.n chho.D vo is jahaa.N se sidhaare
aa: kisiikii na ho jaisii qisamat hai apanii
ko: kisiikii na ho jaisii qisamat hai apanii
aa: dukhii dil sabhii kaa bhalaa maa.Ngate hai.n \threedots

ra: bachaa ho jo rotii ka Tuka.Daa dilaa do
ko: bachaa ho jo rotii ka Tuka.Daa dilaa do
ra: (jo utaraa ho tan se vo kapa.Da dilaado) \- 2

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
