% ISB File: BoyFriend_1961.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{dhiire chal ai bhiigii havaa}%
\film{Boy Friend}%
\year{1961}%
\starring{Shammi Kapoor, Madhubala, Dharmendra}%
\singer{Rafi}%
\music{Shankar-Jaikishan}%
\lyrics{Hasrat}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10901 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

( dhiire chal ) \-2 ai bhiigii havaa
ke mere bulabul kii hai nii.nd javaa.N
ke kahii.n laage naa kisii kii use badanazar
ke miiThe sapano.n me.n kho ga_ii hai beKabar
dhiire chal ai bhiigii \threedots

cheharaa kahii.n hai zulfe.n kahii.n hai.n
hosh kahaa.N hai bhalaa ( is bahaar me.n ) \-2
kaliyo.n se kah de aaj na chaTake.n
cha.mpaakalii hai so_ii ( i.ntazaar me.n) \-2
are ho kitanii dilakashii chhaa_ii hai beKudii haay merii bebasii
dhiire chal ai bhiigii \threedots

pyaar kaa bha.Nvaraa kahataa hai tujhe
aisii fizaa me.n ( raaganii na gaa ) \-2
nii.nd ke saaGar TuuT na jaa_e.N
merii qasam tujhe ( shor na machaa ) \-2
are ho baadal ba.De pahare hai.n kha.De dil bhii kyaa kare
dhiire chal ai bhiigii \threedots

mauje.n rukii hai.n shaakhe.n jhukii hai.n
kaise sunaa_e ko_ii ( dil ke raaz ko ) \-2
are ho ashq chuum luu.Ngaa bin pi_e dil use nazar duu.Ngaa
dhiire chal ai bhiigii \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{mujhe apanaa yaar banaa lo phir dekho mazaa pyaar kaa}%
\film{Boy Friend}%
\year{1961}%
\starring{Shammi Kapoor, Madhubala, Dharmendra}%
\singer{Rafi}%
\music{Shankar-Jaikishan}%
\lyrics{Hasrat}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10900 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

mujhe apanaa yaar banaa lo phir dekho mazaa pyaar kaa
are aazamaa.N ke dekho dil kaisaa hai diladaar kaa
mujhe apanaa yaar \threedots

jin raasto.n se nikaluu.N ek dhuum sii machaa duu.N
jin mahafilo.n me.n jaa_uu.N vo mahafile.n sajaa duu.N
mai.n raahii huu.N alabelaa aur pyaasaa huu.N diidaar kaa
mujhe apanaa yaar \threedots

mai.n kyaa karuu.N ke zaalim suurat hii aisii paa_ii
dil meraa aa_iinaa hai dil me.n nahii.n buraa_ii
mere dil ko dil me.n le lo hai hiiraa aitabaar kaa
mujhe apanaa yaar \threedots

duniyaa kii vaadii me.n bin yaar kaisaa jiinaa
dariyaa bhii suunaa\-suunaa jab tak naa ho safiinaa
are sun lo duniyaa vaalo.n ye naGamaa dil ke taar kaa
mujhe apanaa yaar \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{salaam aapakii miiThii nazar ko salaam}%
\film{Boy Friend}%
\year{1961}%
\starring{Shammi Kapoor, Madhubala, Dharmendra}%
\singer{Rafi}%
\music{Shankar-Jaikishan}%
\lyrics{Hasrat}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10902 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

salaam aapakii miiThii nazar ko salaam
kiyaa hamape jaaduu asar ko salaam
o salaam salaam salaam
salaam aapakii miiThii \threedots

Kudaa bhii Kyaalo.n me.n laayaa hai tumako
Kud haatho.n se apane banaayaa hai tumako
falaq ne bhii dil me.n biThaayaa hai tumako
hamaarii zamii.n pe bhii laayaa hai tumako
salaam o sunaharii sahar ko salaam
o salaam \threedots

ye bhiigaa saa mausam fizaa jhuumatii hai
havaa mere dil ko masalane lagii hai
nazar kyaa milii zindagii mil ga_ii hai
merii raah me.n chaa.Ndanii khil ga_ii hai
kiyaa hamape jaaduu \threedots

ye jii chaahataa hai na jaa_uu.N yahaa.N se
ye ghar aapakaa kam nahii.n aasamaa.N se
hu_aa mai.n tumhaaraa aur aayaa kahaa.N se
mujhe to mohabbat milii hai yahaa.N se
salaam aapake sa.ng\-e\-dar ko salaam
kiyaa hamape jaaduu \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
