% ISB File: BuddhaMilGayaa_1971.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{aayo kahaa.N se ghanashyaam}%
\film{Buddha Mil Gayaa}%
\year{1971}%
\starring{Navin Nischal, Archana, Deven Verma, Sonia Sahni}%
\singer{Manna Dey, Archana}%
\music{R D Burman}%
\lyrics{Majrooh}%

% Audio on: HMV
% Contributor: Surma Bhopali
% Transliterator: Surma Bhopali
% Date: 31 Oct 2003
% Series: GEETanjali
% Comments: Listen to the tune at
http://www.geoahead.com/music/aayokahaanse.html
% generated using giitaayan

\printtitle
#indian

aa aa aa aa re \threedots
( aayo kahaa.N se ghanashyaam ) 2
( rainaa bitaa_ii kis dhaam ) 2
haay raam
aayo kahaa.N se \threedots

haa.N ( raat kii jaagii re ) 2
a.Nkhiyaa.N hai.n torii
raat kii jaagii re a.Nkhiyaa.N hai.n torii
( ho rahii galii galii jiyaa kii chorii ) 2
ho nahii.n jaanaa badanaam haay raam
aayo kahaa.N se \threedots

saja dhaja tumarii kaa kahuu.N rasiyaa
dhanidha dha
dhanidha dha
madhapa gapama remaga
magasa nisa nisa nisagamaga
sagama panigama
panisa gamagasaa ninipa magasa pa
saja dhaja tumarii kaa kahuu.N rasiyaa
( aise lage tere haatho.n me.n ba.Nsiyaa ) 2
( jaise kaTaarii liyo thaam haay raam ) 2
aayo kahaa.N se \threedots

haa.N ( mai.n naa kahuu.N kachhu mose naa ruuTho ) 2
( tum Kud apane jiyaraa se puu.Nchho ) 2
biitii kahaa.N pe kal shaam
aayo kahaa.N se \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{bhalii\-bhalii sii ek suurat bhalaa saa ek naam}%
\film{Buddha Mil Gaya}%
\year{1971}%
\starring{Navin Nischol, Archana, Om Prakash, Deven Varma}%
\singer{Kishore, Asha}%
\music{R D Burman}%
\lyrics{Majrooh}%

% Credits: Rajan P. Parrikar 
%          Satish Subramanian (subraman@cs.umn.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)

\printtitle
#indian

ki:    bhalii\-bhalii sii ek suurat bhalaa saa ek naam
       dha.Dakan hai mere dil ki subah ho yaa shaam
aa:    kaun hai vo dilarubaa, are kaho naa hamase zaraa
% ki:    Haaaaaaaaaaaan, oye lo na na na na, oye oye oye tum ho woh dilaruba
ki:    \threedots tum ho vo dilarubaa
aa:    bhalii\-bhalii sii ek suurat bhalaa saa ek naam
       dha.Dakan hai mere dil ki subah ho yaa shaam

aa:    huii mere bhii jiyaa kii chorii
ki:    achchhaa?
aa:    are haa.N us chor kii shakal hai gorii
ki:    to kyaa huaa?
aa:    ho gayaa milanaa bahut zaruurii
ki:    ## (alarmed) ## chal pagalii!
aa:    phir suno to aage hamaarii dil kii majabuurii tu tu tu
       vo jo mere kariib aayaa
ki:    o ho
aa:    mere tan pe pa.Daa jo saayaa
ki:    (phat(?) gayii!) phir kyaa huaa?
aa:    yuu.N samajho na gale lagaayaa
ki:    ## (disgusted) ## chhii chhii chhii
aa:    tab se sotii huu.N jaagatii huu.N leke usakaa naam
ki:    kaun hai.n vo dilarubaa kaho na hamase zaraa
%aa:    Oye oye la la la la oye oye oye ouch! Tum ho woh dilaruba
aa:    \threedots tum ho vo dilarubaa
ki:    bhalii\-bhalii \threedots

ki:    haay mushqil hai.n meraa bhii jiinaa
aa:    ha\threedots ma \threedots
ki:    sochuu.N to aataa hai.n pasinaa
aa:    baap\-re!
ki:    ## (pure fantasy) ## kal maine dekhii ajab hasInaa
aa:    ha\threedots ma \threedots
ki:    pyaar me usake dha.Dake meraa dil jalataa hai siinaa
       dhak dhak dhak
       paas vo aaI ba.Dii adaa se
aa:    haa!
ki:    bolii kyuu.N ho khafaa\-khafaa se
aa:    haay mar jaauu.N
ki:    ham bhii the ek nazar ke pyaase
aa:    kyuu.N nahii.n?
ki:    ## (hallucinating now) ##
       dil pe usane jo haath rakhaa aa gayaa aaraam
aa:    kaun hai.n vo dilarubaa kaho na hamase zaraa
% ki:    Oye lo na na na na oh ho ouch! Tum ho woh dilaruba
ki:    \threedots tum ho vo dilarubaa
aa:    bhalii\-bhalii \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{jiyaa naa laage moraa}%
\film{Buddha Mil Gayaa}%
\year{1971}%
\starring{Navin Nischal, Archana, Om Prakash}%
\singer{Lata}%
\music{R D Burman}%
\lyrics{Majrooh}%

% Audio on: HMV
% Contributor: Surma Bhopali
% Transliterator: Surma Bhopali
% Date: 25 May 2004
% Series: GEETanjali, THGHT
% generated using giitaayan
% Listen to the song rendered by Surma Bhopali at:
% http://www.geoahead.com/music/jiyanalage.html

\printtitle
#indian

u u u \threedots aa aa aa \threedots o o
( jiyaa naa laage moraa ) 2
naa jaa re naa jaa re naa jaa
jiyaa naa \threedots

kaahe paT kholaa tuune mere dwaar kaa
haa aa aa aa aayaa baraso.n me.n koii jho.nkaa pyaar kaa
haa aa aa aa ( do pal to Thahar jaa ) 2
mohe itanaa bhii naa sataa
jiyaa naa \threedots

sunake merii baate.n palak terii kyuu.n jhukii
haa aa aa achchhaa re bedardii jaa nahii.n mai.n rokatii
haa aa aa aa ( ye hai teraa rastaa ) 2
kahii.n jaa sakataa hai to jaa
jiyaa naa \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{raat kalii ek khvaab me.n aa_ii, aur gale kaa haar huii}%
\film{Buddha Mil Gaya}%
\year{1971}%
\starring{Om Prakash, Navin Nishchol, Archana, Deven Verma}%
\singer{Kishore}%
\music{R D Burman}%
\lyrics{Majrooh}%

% Transliterator: Ravi Kant Rai 
% Credits: Dhrithiman Banerjee (banerked@cs.ucdavis.edu)
%          Satish Subramanian (subraman@cs.umn.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)

\printtitle
#indian

raat kalii ek khvaab me.n aa_ii, aur gale kaa haar huii
subah ko jab ham nii.nd se jaage, aa.Nkh tumhii se chaar huii
raat kalii ek khvaab me.n aa_ii, aur gale kaa haar huii

chaahe kaho ise, merii mohabbat, chaahe ha.Nsii.n me.n u.Daa do
ye kyaa huaa mujhe, mujhako khabar nahii.n, ho sake, tum hii bataa do
tumane kadam jo, rakhaa zamii.n par, siine me.n kyo.n jha.nkaar huii
raat kalii \threedots

aa.Nkho.nme.n kaajal, aur laTo.nme.n, kaalii ghaTaa kaa baseraa
saa.Nvalii suurat, mohanii muurat, saavan rut kaa saveraa
jabase ye mukha.Daa, dil me khilaa hai, duniyaa merii gulazaar huii
raat kalii \threedots

yuu.N to hasiino.n ke, mahajabiino.n ke, hote hai.n roz nazaare
par unhe.n dekh ke, dekhaa hai jab tumhe.n, tum lage aur bhii pyaare
baaho.n me.n le luu.N, aisii taman_naa, ek nahii.n, ka_ii baar huii
raat kalii \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
