% ISB File: ChaandniChowk_1954.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{aa jaa_e.N jaanevaale, lauT aa_e bahaare.n}%
\film{Chaandni Chowk}%
\year{1954}%
\starring{Meena Kumari, Shekhar}%
\singer{Lata}%
\music{Roshan}%
\lyrics{Majrooh}%

% Contributor: Arunabha S. Roy
% Transliterator: Arunabha S. Roy
% Date: Mar 2, 2003
% Series: LATAnjali
% generated using giitaayan

\printtitle
#indian

aa jaa_e.N jaanevaale lauT aa_e bahaare.n
aa ai papiihe pii ko zaraa milake pukaare.n

teraa bhii vahii Gam hai, meraa bhii vahii Gam
dono.n ke dilo.n me.n hai ik dard kaa maatam
ik dard kaa maatam
biga.Dii hu_ii taqadiire.n aa milake sa.Nvaare.n
aa ai papiihe pii ko \threedots

aa_e.N naa vo to ik din ye shammaa bujhaake
jal jaa_e.Nge ghuu.NghaT me.n ham aag lagaake
ham aag lagaake
pii bin akele raate.n ham kaise bitaa_e.N
aa ai papiihe pii ko \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{aijam, aijam, aijam jii, jitane bhii hai.n Gam Galat kar Daal}%
\film{Chaandni Chowk}%
\year{1954}%
\starring{Meena Kumari, Shekhar}%
\singer{Asha}%
\music{Roshan}%
\lyrics{Shailendra}%

% Contributor: BOL ANAMOL [V S Rawat], 07/08/2004
% Song Courtesy: http://hindi-movies-songs.com/

\printtitle
#indian

( aijam, aijam, aijam jii,
jitane bhii hai.n Gam Galat kar Daal
ke duniyaa hai do din kii ) \-2

( saare jahaa.N kii bahaare.n
pyaar se teraa hii naam pukaare.n ) \-2
jhuum ke jii le may ulfat ke daa.Nv kii \-2

( aijam, aijam, aijam jii,
jitane bhii hai.n Gam Galat kar Daal
ke duniyaa hai do din kii ) \-2

( chaa.Nd hawaa ye sitaare
dekho hamaare hai.n aaj hamaare ) \-2
pyaar me.n jii le ye baate.n hai.n kaam kii \-2

( aijam, aijam, aijam jii,
jitane bhii hai.n Gam Galat kar Daal
ke duniyaa hai do din kii ) \-2

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{badal chalii hai jo unakii ... jaaduu buraa ba.ngaal kaa}%
\film{Chaandni Chowk}%
\year{1954}%
\starring{Meena Kumari, Shekhar}%
\singer{Lata}%
\music{Roshan}%
\lyrics{Shailendra}%

% Contributor: BOL ANAMOL [V S Rawat], 07/08/2004
% Song Courtesy: http://hindi-movies-songs.com/

\printtitle
#indian

badal chalii hai jo unakii nazar to kyaa kiije
haa.N
badal chalii hai jo unakii nazar to kyaa kiije
vafaa kaa thaam ke daaman ye iltajaa kiije
haa.N

( jaaduu buraa ba.ngaal kaa
puurab na ja_iho
puurab na ja_iho baalamaa ) \-2
ho
na ja_iho more baalamaa
puurab na ja_iho
na ja_iho baalamaa
puurab na ja_iho
haa.N haa.N
puurab na ja_iho baalamaa o

haa.N
jiite jii dil pe judaa_ii kaa tiir sahanaa pa.Daa
jalaa ke aashiyaa.N apanaa qafas me.n rahanaa pa.Daa
haay
likhaa hai kaun se patthar ne ye lailaa kaa nasiib
ke thaam ke chaak kalejaa zubaa.N se kahanaa pa.Daa

kyaa

jaaduu buraa ba.ngaal kaa
na ja_iho ho baalamaa
puurab na ja_iho
na ja_iho na ja_iho baalamaa
jaaduu buraa ba.ngaal kaa
puurab na ja_iho
puurab na ja_iho baalamaa

roz karate ho bahaane tumhe.n ham jaan gaye
ko_ii jaane yaa naa jaane tumhe.n ham jaan gaye \-2
pahale to dil ko churaayaa hai bharii mahafil me.n \-2
ab lage aa.Nkh churaane tumhe.n ham jaan gaye
ho
ab lage aa.Nkh churaane tumhe.n ham jaan gaye

na ja_iho baalamaa
puurab na ja_iho
na ja_iho baalamaa
puurab na ja_iho
puurab na ja_iho baalamaa
jaaduu buraa ba.ngaal kaa
puurab na ja_iho
puurab na ja_iho baalamaa

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{bahak chale mere nainawaa}%
\film{Chaandni Chowk}%
\year{1954}%
\starring{Meena Kumari, Shekhar}%
\singer{Lata}%
\music{Roshan}%
\lyrics{Shailendra}%

% Contributor: BOL ANAMOL [V S Rawat], 07/08/2004
% Song Courtesy: http://hindi-movies-songs.com/

\printtitle
#indian

pasiina
na ham samajhe na aap aaye kahii.n se
pasiinaa pochhiye apanii zabii.n se

( bahak chale mere nainawaa
haay na jaane kaisii chalii hawaa
kyuu.N naa lagii kal raat ko palak
mujhe ye kyaa ho gayaa
haay mujhe ye kyaa ho gayaa ) \-2

aa.Nchal se meraa haath haTe na nain rahe mere jhuke\-jhuke \-2
kha.Dii rahuu.N darapan ke aage ulajhii laT na sulajh sake
haay ulajhii laT na sulajh sake
mujhii ko mere haal pe sharamaanaa ko_ii sikhalaa gayaa

kyuu.N naa lagii kal raat ko palak
mujhe ye kyaa ho gayaa
haay mujhe ye kyaa ho gayaa

Kaamoshiyo.n me.n dil kii
ko_ii giit gaa rahaa hai \-2
aa.Nkho.n me.n muskaraa ke
ha.Nsanaa sikhaa rahaa hai \-2
mai.n huu.N kahii.n meraa dil kahii.n
ko_ii kaisaa ye jaaduu chalaa gayaa

kyuu.N naa lagii kal raat ko palak
mujhe ye kyaa ho gayaa
haay mujhe ye kyaa ho gayaa

( man me.n runak\-jhunak ye kaisii
naach rahe kyuu.N paa.Nv mere ) \-2
ye tuufaa.N ye halachal kaisii
bin mausam kii ghaTaa ghire
haay bin mausam kii ghaTaa ghire
gha.Dii\-gha.Dii machale jiyaa
jaise phir se la.Dakapan aa gayaa

kyuu.N naa lagii kal raat ko palak
mujhe ye kyaa ho gayaa
haay mujhe ye kyaa ho gayaa

bahak chale mere nainawaa
haay na jaane kaisii chalii hawaa
kyuu.N naa lagii kal raat ko palak
mujhe ye kyaa ho gayaa
haay mujhe ye kyaa ho gayaa

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{dil kii shikaayat nazar ke shikawe}%
\singer{Lata}%
\film{Chandni Chowk}%
\year{1954}%
\music{Roshan}%
\lyrics{Shailendra}%
\starring{Meena Kumari, Shekhar}%

% Contributor + Transliterator = Animesh Kumar
% Corrections = Satish Kalra
% Series: LATAnjali; Date: 27 Jul 2004

\printtitle
#indian

dil kii shikaayat nazar ke shikawe ek zubaa.N aur laakh bayaa.N
chhupaa sakuu.N na dikhaa sakuu.N mere dil ke dard bhii hu_e jawaa.N

chaa.Nd ha.Nsaa taare chamake aur mast hawaa jab iThalaaii
chhupatii phirii na jaane kyuu.N mai.n jaane kyuu.N mai.n sharmaaii
tere siwaa hai kaun jo samajhe kyaa guzarii mujhapar yahaa.N
chhupaa sakuu.N \threedots

sapano.n me.n bhii ham mil na sake nii.nd bhii tere saath gayii
saawan aag lagaa ke chal diyaa ro ro ke barasaat gayii
mai.n apanii taqadiir pe ro_ii mujhape ha.Nsaa bedard jahaa.N
chhupaa sakuu.N \threedots

tho.De likhe to bahut samajh lo na_e nahii.n ye afasaane
dil majabuur bharaa aataa hai chhalak uThe hai.n paimaane
Kat me.n jahaa.N aa.Nsuu Tapakaa hai likhaa hai mai.nne pyaar wahaa.N
chhupaa sakuu.N \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{hame.n ai dil kahii.n le chal ba.Daa teraa karam hogaa}%
\film{Chaandni Chowk}%
\year{1954}%
\starring{Meena Kumari, Shekhar}%
\singer{Mukesh}%
\music{Roshan}%
\lyrics{Majrooh}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10490 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

hame.n ai dil kahii.n le chal ba.Daa teraa karam hogaa
hamaare dam se hai har Gam naa ho.nge ham naa Gam hogaa
hame.n ai dil \threedots

Kabar kyaa thii bahaar aakar hamaare aashiyaane par
na_ii bijalii giraa_egii nayaa ham pe sitam hogaa
hame.n ai dil \threedots

tamannaa_o.n se badalii hai naa badalegii kabhii qismat
likhaa hai jo muqaddar me.n vahii teraa karam hogaa
hame.n ai dil \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{har baat puuchhiye ... hamako kisii se kyuu.N hai muhobbat}%
\film{Chaandni Chowk}%
\year{1954}%
\starring{Meena Kumari, Shekhar}%
\singer{Lata, Asha, Shamshad, Chorus}%
\music{Roshan}%
\lyrics{Majrooh}%

% Contributor: BOL ANAMOL [V S Rawat], 07/08/2004
% Song Courtesy: http://hindi-movies-songs.com/

\printtitle
#indian

darabaan se bhijawaaye the kuchh phuul kisii ne
phuulo.n pe pa.Dii os idhar aaye pasiine

aur kuchh puuchhiye magar ye haqiikat na puuchhiye
inako kisii se kyuu.N hai mohabbat naa puuchhiye

har baat puuchhiye ye haqiikat naa puuchhiye
haa.N
har baat puuchhiye ye haqiikat naa puuchhiye
e jii hamako kisii se kyuu.N hai muhobbat naa puuchhiye
muhobbat naa puuchhiye
haa.N
hamako kisii se kyuu.N hai muhobbat naa puuchhiye
muhobbat naa puuchhiye
har baat puuchhiye ye haqiikat naa puuchhiye
ye haqiikat naa puuchhiye
are vaa
hamako kisii se kyuu.N hai muhobbat naa puuchhiye
muhobbat naa puuchhiye
naa puuchhiye naa puuchhiye naa puuchhiye
haa.N
hamako kisii se kyuu.N hai muhobbat naa puuchhiye
muhobbat naa puuchhiye

haa.N
hamane kisii ke ishq me.n apanaa kiyaa ye haal \-2
apanaa kiyaa ye haal
haa.N
ulajhii hu_ii nazar hai \-2
to bahakii hu_ii hai chaal
aa.Nkho.n se dekhiye
e jii aa.Nkho.n se dekhiye
merii haalat naa puuchhiye \-2
aa.N aa.Nkho.n se dekhiye
merii haalat naa puuchhiye \-2

naa puuchhiye naa puuchhiye naa puuchhiye
haa.N
hamako kisii se kyuu.N hai muhobbat naa puuchhiye
muhobbat naa puuchhiye

haa.N
karate nahii.n nigaah kisii par wo bhuul kar
haay
karate nahii.n nigaah kisii par wo bhuul kar
haa.N kisii par wo bhuul kar
karate nahii.n nigaah kisii par wo bhuul kar
haa.N kisii par wo bhuul kar
e ji haa.N ham aa_iinaa bhii dekhe.n to
ham aa_iinaa bhii dekhe.n to
aate hai.n wo nazar
ahe waa
aate hai.n wo nazar
ajii waa
aate hai.n wo nazar
haa.N
itane hasii.n se ruu ye inaayat naa puuchhiye
ruu ye inaayat naa puuchhiye

naa puuchhiye naa puuchhiye naa puuchhiye
haa.N
hamako kisii se kyuu.N hai muhobbat naa puuchhiye
muhobbat naa puuchhiye
jii muhobbat naa puuchhiye \-2

hamane kahaa ki chaliye zaraa dekh\-bhaal ke
ajii haa.N dekh bhaal ke
arii haa.N dekh bhaal ke
palaTe wo
palaTe wo kis adaa se
palaTe wo kis adaa se DupaTTaa sambhaal ke jii
dupaTTaa sambhaal ke haa.N
dupaTTaa sambhaal ke
haa.N dil pe guzar ga_ii jo qayaamat naa puuchhiye
qayaamat na puuchhiye
jii qayaamat na puuchhiye
haa.N
dil pe guzar ga_ii jo qayaamat naa puuchhiye
qayaamat na puuchhiye
jii qayaamat na puuchhiye \-2
aa.N
qayaamat na puuchhiye
aa.N
qayaamat na puuchhiye
aa.N
qayaamat na puuchhiye
jii qayaamat na puuchhiye \-2

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{majabuur kii fariyaad hai}%
\film{Chaandni Chowk}%
\year{1954}%
\starring{Meena Kumari, Shekhar}%
\singer{Mubarak Begum}%
\music{Roshan}%
\lyrics{Kamil Rashid}%

% Contributor: BOL ANAMOL [V S Rawat], 07/08/2004
% Song Courtesy: http://hindi-movies-songs.com/

\printtitle
#indian

ai Kudaa
majabuur kii fariyaad hai
terii duniyaa me.n ko_ii barabaad hai
naaKudaa bichha.Daa Kudaa ke saamane
jaaye.n ham ab kisakaa daaman thaamane
bhiikh de ban kar sawaalii aaye hai.n
tere dar par haath Kaalii aaye hai.n
kisaliye tere karam me.n der hai
pher de taqadiir kaa gar pher hai \-2

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{teraa dil kahaa.N hai, sab kuchh yahaa.N hai}%
\film{Chandni Chowk}%
\year{1954}%
\starring{Meena Kumari, Shekar}%
\singer{Asha}%
\music{Roshan}%
\lyrics{}%

% Contributor:Srinivas Ganti
% Transliterator:Srinivas Ganti
% Date:9 March 2001
% Comments : Lyricist not specified in HFGK.

\printtitle
#indian

(teraa dil kahaa.N hai, sab kuchh yahaa.N hai
dil bhii javaa.N, ye rut bhii javaa.N, ye soyaa jahaa.N)\-2
teraa dil kahaa.N hai

(aise me.n aake, aise me.n aake
dil me.n samaa jaa, dil me.n samaa jaa)\-2
teraa dil kahaa.N hai, sab kuchh yahaa.N hai
dil bhii javaa.N, ye rut bhii javaa.N, ye soyaa jahaa.N
teraa dil kahaa.N hai

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{zamii.n bhii vahii hai vahii aasamaa.N}%
\film{Chandni Chowk}%
\year{1954}%
\starring{Meena Kumari, Shekhar}%
\singer{Rafi}%
\music{Roshan}%
\lyrics{Saifuddin Saif, Majrooh}%

% Contributor:  Samiuddin Mohammed
% Transliterator: Arunabha S. Roy

\printtitle
#indian

zamii.n bhii vahii hai, vahii aasamaa.N
magar ab wo dillii kii galiyaa.N kahaa.N

yahaa.N par Thikaanaa kisii kaa nahii.n
ye zaalim zamaanaa kisii kaa nahii.n
yahaa.N luT ga_e kitane hii kaarawaan
kahaa.N hai.n vo dillii kii galiyaa.N kahaa.N

vo ulfat nigaaho.n me.n baaqii nahii.n
vo mahafil nahii.n hai vo saathii nahii.n
hu_ii ba.nd inasaaniyat kii zubaa.N
ilaahii vo dillii kii galiyaa.N kahaa.N

gayaa mausam\-e\-gul bahaaro.n ke saath
vo duniyaa ga_ii taajadaaro.n ke saath
zamaanaa gayaa rah ga_ii daastaa.N
vo dillii, vo dillii kii galiyaa.N kahaa.N \-3

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
