% ISB File: Champion_2000.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{are goraa mukha.Daa gaal gulaabii ... le lo le lo dil meraa}%
\film{Champion}%
\year{2000}%
\starring{Sunny Deol, Manisha Koirala, Rahul Dev}%
\singer{Udit Narayan, Poornima}%
\music{Vishal Shekhar}%
\lyrics{Nitin Raikwar}%

% Contributor: V S Rawat

\printtitle
#indian

are goraa mukha.Daa gaal gulaabii aa.Nkhe.n jaaduu bharii hai.n
mainuu.n lagadaa svarg se aa_ii soNii ko_ii parii hai
kyaa mast ku.Dii hai kyaa mast ku.Dii hai

are der karo mat dilabar mere mai.n terii gulanaar huu.N
le lo le lo haa.n
le lo le lo dil meraa mai.n dene ko taiyaar huu.N
le lo mu.nDeyaa dil meraa mai.n dene ko taiyaar huu.N
le lo le lo dil meraa
goraa mukha.Daa gaal gulaabii \threedots

oy hoy haay
dekh nazaaraa bamba_ii kaa dil meraa dhak dhak bole
kuud pa.Daa paanii me.n dekho bin kapa.Daa hii khole
oy hoy
lo mai.n aa ga_ii paas tumhaare dil me.n shola bha.Dakaa
aahaa dekh ke tujhako pahalii nazar me.n hii dil thaa ye dha.Dakaa
tere pyaar kii hathaka.Diyo.n me.n ho ga_ii giraftaar huu.n
le lo le lo dil meraa \threedots

de de dil de de dil dil de de de apanaa
sab kuchh tuune dekh liyaa hai phir kyuu.n mai.n sharamaa_uu.n
dekh le pyaar kaa paagalapan bhii tujhako mai.n dikhalaa_uu.n
aa_iilaa
Thiik nishaane par chaahat kaa tiir lagaa hai jaa ke
aaj to meraa dil karataa hai mar jaavaa.n gu.D khaa ke
ishq daa rogii ban gayaa ku.Diye mai.n teraa diladaar huu.N
de do de do de do de do dil apanaa mai.n lene ko taiyaar huu.N
goraa mukha.Daa gaal gulaabii \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{diivaanaa hai ko_ii phirataa hai raaho.n me.n ... naa baabaa}%
\film{Champion}%
\year{2000}%
\starring{Sunny Deol, Manisha Koirala, Rahul Dev}%
\singer{Shankar Mahadevan, Kavita Subramaniam, Chorus}%
\music{Annu Malik}%
\lyrics{Javed Akhtar}%

% Contributor: V S Rawat

\printtitle
#indian

diivaanaa hai ko_ii phirataa hai raaho.n me.n
kahataa hai mujhase vo tuu hai nigaaho.n me.n
tuu merii dha.Dakan me.n tuu merii aaho.n me.n
ik din to aa_egii tuu merii baaho.n me.n
vo jo diivaanaa hai us pe karam kar de
itanii jo duurii hai tho.Dii sii kam kar de
sun le diivaane kii daastaa.n
naa baabaa naa baabaa naa baabaa naa baabaa
haa.n baabaa haa.n baabaa haa.n baabaa haa.n baabaa
naa baabaa naa baabaa \threedots

mujh pe vo marataa hai
merii adaa_o.n kii taariif karataa hai khaa ke kasam 
kahataa hai tuu hii to merii tamannaa hai
hai tuu hii mahabuubaa tuu hii sanam
dil tujhape haaraa hai bholaa hai pyaaraa hai
kaisaa bechaaraa hai
aisaa aashiq milegaa kahaa.n
naa baabaa naa baabaa \threedots

mujhase vo kahataa hai kahataa hii rahataa hai
mai.n pyaar me.n ye bhii kar jaa_uu.ngaa
tuune naa dekhaa to tuune naa chaahaa to
mai.n jaan de duu.ngaa mar jaa_uu.ngaa
usako bachaa le tuu usako manaa le tuu
usako bulaa le tuu
hogii kyaa usape tuu meharabaa.n
naa baabaa naa baabaa \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{hai aisaa ##champion## kahaa.n}%
\film{Champion}%
\year{2000}%
\starring{Sunny Deol, Manisha Koirala, Rahul Dev}%
\singer{Jaspindar Narula, Sunidhi Chauhan, Chorus}%
\music{Vishal Shekhar}%
\lyrics{Nitin Raikwar}%

% Contributor: V S Rawat

\printtitle
#indian

##champion## ##champion##
aisaa ko_ii diivaanaa aisaa ko_ii mastaanaa
aisaa ko_ii paravaanaa haa.n
dil ko churaane vaalaa apanaa banaane vaalaa
jaaduu jagaane vaalaa haa.n
patthar ko jo pighalaa de din me.n taare dikhalaa de
kar de har mushqil ko aasaa.n hai aisaa ##champion## kahaa.n

vo hai faulaadii usakaa phuulo.n saa dil
ra.ngate hai.n saare usake ra.ngo.n se mil
usakii zubaa.n jo bole Tha.nDe pa.D jaa_e shole
usane kahaa jo vo kiyaa
hai aisaa ##champion## kahaa.n \threedots

chalataa hai vo to kabhii rukataa nahii.n
dushman ke aage kabhii jhukataa nahii.n
vo aage usake piichhe saaraa zamaanaa bhaage
joshiilaa hai vo naujavaa.n
hai aisaa ##champion## kahaa.n \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{jhaa.njhare.n paayale.n ... ik la.Dakii ... ik la.Dakaa ... dhin chikii chikii dhin}%
\film{Champion}%
\year{2000}%
\starring{Sunny Deol, Manisha Koirala, Rahul Dev}%
\singer{Udit Narayan, Alka Yagnik, Prashant, Chorus}%
\music{Annu Malik}%
\lyrics{Javed Akhtar}%

% Contributor: V S Rawat

\printtitle
#indian

jhaa.njhare.n paayale.n kisane hai.n chhanakaa_ii.n
jhuumatii naachatii sab havaa_e.n gaa_e.n
baaje Damaruu guu.nje ghu.ngharuu tum jo chham chham aa_ii.n
dhin chikii chikii dhin chikii chikii dhin dhin chikii chikii dhin

ik la.Dakii jisakii aa.Nkhe.n ye kahatii hai.n
mai.n usako achchhaa lagataa huu.N o
dhin chikii chikii \threedots

pyaar kii baato.n se jaane kyuu.n ghabaraatii hai
ko_ii bataa_e kaise pagalii ko samajhaa_uu.n o
dhin chikii chikii \threedots

ik la.Dakaa jisakii aa.Nkhe.n ye kahatii hai.n
mai.n usako achchhii lagatii huu.N o
dhin chikii chikii \threedots

samajh na paa_e kyuu.n ik la.Dakii sharamaatii hai
are ko_ii bataa_e kaise pagale ko samajhaa_uu.n o
dhin chikii chikii \threedots

vo la.Dakii kyaa jaane kyuu.n itanii ziddii hai
us la.Dake ne baat shaayad aisii kii hai
us la.Dakii kii naak pe gussaa kyuu.n baiThaa hai
vo la.Dakaa bhii baat pe apanii kyuu.n ai.nThaa hai
dhin chikii chikii \threedots

ta.ng aake mai.n kisii ku_e.n me.n kuud na jaa_uu.n
haay ko_ii bataa_e pagale ko kaise samajhaa_uu.n o
dhin chikii chikii \threedots

us la.Dake ne aakhir khud ko kyaa samajhaa hai
us la.Dakii ko samajhaa_o la.Dakaa achchhaa hai
us la.Dake jaise milate hai.n jaane kitane
us la.Dakii se kaho ke nakhare kare na itane
dhin chikii chikii \threedots

usakii suurat aa_iine me.n use dikhaa_o
ha ha ko_ii bataa_e kaise \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{ko_ii diivaane ko samajhaa_e ke ham jaise hasii.n}%
\film{Champion}%
\year{2000}%
\starring{Sunny Deol, Manisha Koirala, Rahul Dev}%
\singer{Roop Kumar Rathod, Alka Yagnik}%
\music{Annu Malik}%
\lyrics{Javed Akhtar}%

% Contributor: V S Rawat

\printtitle
#indian

o ho ho aa haa haa ai he he ai haa
aa aa
ko_ii diivaane ko samajhaa_e ke ham jaise hasii.n
pyaar karate hai.n to taqadiir banaa dete hai.n
ai hasii.n hamako hai maaluum ke tum jaise hasii.n
kal isii pyaar ko za.njiir banaa dete hai.n

aa tujhe pyaar ke a.ndaaz sikhaa_e.n aa jaa
tuune dekhii.n hai kahaa.n aisii adaa_e.n aa jaa
ham jise dekh le.n tasviir banaa dete hai.n

husn vaale hai yahii rasm tere gaa.Nv kii
de ke ummiid musaafir ko ghanii chhaa.Nv kii
usakaa dil dard kii jaagiir banaa dete hai.n
ho ko_ii diivaane ko samajhaa_e \threedots

apanii naakaamii kaa tuu de hame.n iljaam nahii.n
sachche aashiq jo hai.n mushkil unhe.n kuchh kaam nahii.n
ishq me.n husn ko bhii hiir banaa dete hai.n
ho raa.njhaa bhii mar gayaa majanuu ne bhii patthar khaa_e
husn vaalo.n kii nigaaho.n se ko_ii kyaa paa_e
har nazar dil ke li_e tiir banaa dete hai.n
ho ko_ii diivaane ko samajhaa_e \threedots

dil vo bekaar hai jis dil me.n mohabbat hii nahii.n
shukriyaa aapakaa lekin hame.n fursat hii nahii.n
chal ko_ii milane kii tadabiir banaa dete hai.n
aap to aashiq\-e\-dilagiir banaa dete hai.n
haa.n ko_ii diivaane ko samajhaa_e \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{mere dil kii chi.Dii furr karake u.Dii ... jaTT luTeyaa gayaa}%
\film{Champion}%
\year{2000}%
\starring{Sunny Deol, Manisha Koirala, Rahul Dev}%
\singer{Shankar Saini, Hema Sardesai}%
\music{Anand Raj Anand}%
\lyrics{Anand Raj Anand}%

% Contributor: V S Rawat

\printtitle
#indian

o jaTT luTeyaa gayaa oy
mere dil kii chi.Dii furr karake u.Dii
maine dekhii haay ik soNii ku.Dii
kii karaa.n kii karaa.n oy oy paTeyaa gayaa
jaTT luTeyaa gayaa ho jaTT luTeyaa gayaa oy oy
jaTT luTeyaa haa gayaa haay
ye ##you you## naa aanaa mere ruu ba ruu
mere dil kii chi.Dii \threedots

haay kyaa karuu.n kyaa naa karuu.n kyaa kahuu.n kyaa naa kahuu.n
mai.n jiyuu.n yaa mai.n maruu.n kab talak aahe.n bharuu.n
mai.n bhii to jaanuu.n zaraa ye tumhe.n kyaa ho gayaa
ho gayaa ho gayaa kuchh naa kuchh to ho gayaa
kyaa hu_aa kyaa ik pal me.n sab kuchh badal gayaa
luTeyaa gayaa ho jaTT \threedots

ye he ho ho
dil meraa le kar sanam jaa_o naa aise kahii.n
Dhuu.nDh lo dil ko kahii.n paas mere vo nahii.n
ye samajh lo aaj se hame.n pyaar tumase ho gayaa
jaa diivaane bhuul jaa tuu diivaanaa ho gayaa
sar se paa.Nv tak tumhe.n dekhaa mai.n kho gayaa
luTeyaa gayaa ho jaTT \threedots

tere dil kii chi.Dii furr karake u.Dii
tuune dekhii jab ik soNii ku.Dii
kii karaa.n \threedots

o baadashaah paTTe ga_e oy
oy jaTT luTeyaa gayaa oy

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{tuu kyaa chiiz hai ... tere nain ba.De matavaale}%
\film{Champion}%
\year{2000}%
\starring{Sunny Deol, Manisha Koirala, Rahul Dev}%
\singer{Abhijit, Kavita Subramaniam}%
\music{Annu Malik}%
\lyrics{Javed Akhtar}%

% Contributor: V S Rawat

\printtitle
#indian

tuu kyaa chiiz hai tuu kyaa chiiz hai
hoy hoy hoy hoy o ke shaavaa
tere nain ba.De matavaale jaise daaruu ke do pyaale
dil naa sa.mbhale mere sa.mbhaale tuu kyaa chiiz hai
hoy hoy hoy

jaa re jaa re o diivaane varanaa pahu.nchaa duu.ngii thaane
dekhe maine ba.De sayaane tuu kyaa chiiz hai
o tere nain ba.De \threedots

mai.n aashiq huu.N mai.n diivaanaa
magar tuune nahii.n jaanaa
tuu paagal hai tuu jhakkii hai
tujhe maine hai pahachaanaa
chaahe.n mujhe kahe tuu jhakkii
chaahe.n jel me.n piisuu.n chakkii
lekin baat karuu.ngaa pakkii
tuu kyaa chiiz hai

ho phir tuu lagaa vo maalaa japane
aise hosh na kho tuu apane
tuu aur dekhe mere sapane
tuu kyaa chiiz hai
tere nain ba.De \threedots

mere dil me.n tamannaa hai
tujhe apanaa banaa luu.n mai.n
mere ghar me.n jo tuu aa_e
to ik pal me.n nikaaluu.n mai.n
chaahe.n ghar se nikaalaa jaa_uu.n
tere guN mai.n phir bhii gaa_uu.n
tujh se kaash kabhii mil paa_uu.n
tuu kyaa chiiz hai

ho terii akal ga_ii hai maarii
mat kar marane kii taiyaarii
tuu aur karegaa mujhase yaarii
tuu kyaa chiiz hai
o tere nain ba.De \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
