% ISB File: Charas_1976.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{##good night## ... kal kii hasii.n mulaaqaat ke li_e}%
\film{Charas}%
\year{1976}%
\starring{Dharmendra, Hema Malini}%
\singer{Kishore, Lata}%
\music{Laxmikant-Pyarelal}%
\lyrics{Anand Bakshi}%

% Contributor: BOL ANAMOL #11570 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

##good night##
la \:	kal kii hasii.n mulaaqaat ke li_e
	aaj raat ke li_e
	ham\-tum judaa ho jaate hai.n
	achchhaa chalo so jaate hai.n
ki \:	kal kii hasii.n mulaaqaat \threedots

	aap
	nii.nd nahii.n kyaa aa_ii
la \:	nii.nd merii aap ne churaa_ii
	mai.n to nahii.n so_ii aadhii raat ho_ii
	aapako hu_aa kyaa Kaas vajah ko_ii
ki \:	akele me.n ham ghabaraa ga_e
	chale ga_e the phir aa ga_e
	to maaf karanaa is baat ke li_e
	aaj raat ke li_e \threedots

la \:	aap
	ab hai kyaa majabuurii
ki \:	haa.N
	kaam thaa ek zaruurii
la \:	lambii\-lambii raate.n chhoTii mulaaqaate.n
ki \:	bhuul gayaa thaa mai.n do\-chaar baate.n
la \:	baato.n se na dil apanaa bhare
	aa.Nkho.n me.n ka_ii sapane bhare
	to sapano.n kii is baaraat ke li_e
	aaj raat ke li_e \threedots

ki \:	mai.n aayaa aap jaate hai.n
la \:	ham aapase sharamaate hai.n
ki \:	mai.n to huu.N diivaanaa mai.n ye nahii.n jaanaa
	hamase sharm kyaa kyaa hai bahaanaa
la \:	dekho ham the ajanabii
	ho ga_ii magar ab dostii
	badale hu_e haalaat ke li_e
	aaj raat ke li_e \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{dil i.nsaan kaa ek taraajuu ... ke aajaa terii yaad aa_ii}%
\film{Charas}%
\year{1976}%
\starring{Dharmendra, Hema Malini}%
\singer{Rafi, Lata, Anand Bakshi}%
\music{Laxmikant-Pyarelal}%
\lyrics{Anand Bakshi}%

% Contributor: BOL ANAMOL #11571 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

aa \:	dil i.nsaan kaa ek taraajuu jo i.nsaaf ko taule
	apanii jagah par pyaar hai qaayam dharatii\-ambar Dole
	sabase ba.Daa sach ek jagat me.n bhed anek jo khole
	prem binaa jiivan suunaa ye paagal premii bole

la \:	ke aajaa terii yaad aa_ii
	o baalam harajaa_ii
	ke aajaa terii \threedots

	zaalim kitanii der lagaa dii tumane aate\-aate
	ab aa_e ho ab na aate to ham jaan se jaate
	dil diivaanaa diivaane ko ham kaise samajhaate
	kahate raam\-duhaa_ii
	ke aajaa terii \threedots

ra \:	furasat bhii hai mausam bhii hai man hai ra.ngaraliyo.n me.n
	chhup ga_ii hai tuu Kushbuu ban ke shaayad in kaliyo.n me.n
	maine tujhako kitanaa Dhuu.NDhaa aavaaraa galiyo.n me.n
	ye aavaaz lagaa_ii
	ke aajaa terii \threedots

la \:	mast havaa ne baat ko_ii kah dii kaano.n me.n 
	jaise ko_ii madiraa bhar de khaalii paimaano.n me.n
	ta.Dapaayaa aaj machalate dil ke aramaano.n ne
	rut ne lii a.nga.Daa_ii
	ke aajaa terii \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{ho ho raajaa naa jaa dil to.D ke mujhe akelaa chho.D ke}%
\film{Charas}%
\year{1976}%
\starring{Dharmendra, Hema Malini}%
\singer{Lata}%
\music{Laxmikant-Pyarelal}%
\lyrics{Anand Bakshi}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, May 18, 2005

\printtitle
#indian

ho ho
raajaa naa jaa
naa jaa naa jaa
raajaa naa jaa dil to.D ke mujhe akelaa chho.D ke
naukarii se chhuTTii le le
chhuTTii naa mile to aajaa
naukarii chho.D ke \-4

raajaa naa jaa dil to.D ke mujhe akelaa chho.D ke
naukarii se chhuTTii le le
chhuTTii naa mile to aajaa
naukarii chho.D ke \-4

ho raamaa ho raamaa
ho raamaa ho
tumako merii bechainii kaa kaaran nahii.n bananaa thaa
naukar nahii.n bananaa thaa yaa phir saajan nahii.n bananaa thaa \-2
barakhaa me.n jo pyaasaa rakhe wo saawan nahii.n bananaa thaa
yaa to meraa dil rakh le
dil na rakh sake to rakh de ye dil to.D ke
na jaa akelaa chho.D ke

aisii rut me.n yaad duujaa naam ko_ii hotaa hai
paise ke liye priitam badanaam ko_ii hotaa hai \-2
pyaar se zuruurii bhalaa kaam ho_ii hotaa hai
maan le tuu harajaa_ii
ye naa maane to dekh idhar mu.Nh mo.D ke
na jaa akelaa chho.D ke
raajaa naa jaa

terii judaa_ii me.n merii jaan nikal jaayegii
dil kii lagii ban ke chhurii dil pe chal jaayegii \-2
saiyaa.N binaa ghuu.NghaT me.n ye gorii jal jaayegii
yaa tuu gale se lagaa le
yaa chunar laa de ro_uu.N mai.n chunar o.D ke
na jaa akelaa chho.D ke
raajaa naa jaa
naa jaa naa jaa
raajaa naa jaa dil to.D ke mujhe akelaa chho.D ke
naukarii se chhuTTii le le
chhuTTii naa mile to aajaa
naukarii chho.D ke \-4

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
