% ISB File: Chhabili_1960.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{laharo.n pe lahar, ulfat hai javaa.n}% 
\film{Chhabili}%
\year{1960}%
\starring{}%
\singer{Hemant}%
\music{Snehal Bhatkar}%
\lyrics{S Ratan}%

% Contributor: Preeti Ranjan Panda (ppanda@du.ICS.UCI.EDU)
% Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@chandra.astro.indiana.edu)

\printtitle 
#indian 

laharo.n pe lahar, ulfat hai javaa.n 
rAto.n kii sahar, chalii aao yahaa.N 
sitaare TimaTimaate hai.n, tU aajaa aajaa 
machalatii jaa rahI hai ye havaae.n aajaa aajaa 
laharo.n pe lahar, ulfat hai javaa.n \threedots 

sulagatii chaa.Ndanii me.n tham rahii hai tujh pe najar 
kadam ye kis taraf ba.Dhate chale jaate hai.n bekhabar 
zamaane ko hai bhuule ham ajab sI khvaab ye safar 
laharo.n pe lahar, ulfat hai javaan \threedots 

nA jaane kaunasii raahe.n hamArA kaun saa hai jahaan 
sahaare kisake ham Dhuu.NDhe, hamaarii ma.njil hai kahaa.N 
sadaa dil kii magar kahatii hai merI duniyaa hai yahaa.N 
laharo.n pe lahar, ulfat hai javaa.n \threedots 

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{milaa le haath le ban gaii baat}%
\film{Chhabili}%
\year{1960}%
\starring{Nutan, Tanuja, Kaisi Mirza}%
\singer{Nutan, Sudha Malhotra}%
\music{Snehal Bhatkar}%
\lyrics{S Ratan}%

% Contributor: Vijay Kumar, 2001-02-27
% Transliterator: V S Rawat, 2004-01-20

\printtitle
#indian

milaa le haath le ban gaii baat
jii ab to rastaa saaf hai
milaa phir haath ye kah de.n saath
ki ab to sab kuchh maaf hai

ho la-la-la-la la-la-la-la laa la laa

hasiino.n ko khabar hii nahii.n
ki un kaa chhupanaa mushkil hai
jo daaman pher chalate rahe
to ham se kisii kaa kyo.n dil hai
yahaa.N sab chor hai.n dil ke
ye sab ke sab hii shaamil hai.n
tuu chup rahanaa, na kuchh kahanaa
to bas phir rastaa saaf hai
milaa phir haath ye \threedots

a-haa-ha-haa-ha
ho la-la-la-la la-la-la-la laa la laa

tujhe kyaa tujh ko apanaa dil
kahii.n na kahii.n ga.Nvaanaa hai
magar ye bhuul mat ki hame.n
bhii apanaa dil bahalaanaa hai
iraadaa chho.Diye jii aap kaa
vahii.n aanaa jaanaa hai
rahe.nge chup, na kahe.nge kuchh
ab kah de sab kuchh maaf hai
milaa phir haath ye kah diyaa saath
ki ab to sab kuchh maaf hai \threedots

milaa le haath \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
