% ISB File: DaakBaabu_1954.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{ghir ghir aaye badaravaa kaare}%
\film{Dak Babu}%
\year{1954}%
\starring{Nadira, Talat Mahmood}%
\singer{Talat, Suman Kalyanpur}%
\music{Pt. Dhaniram}%
\lyrics{Prem Dhawan}%

% Contributor: K Vijay Kumar
% Transliterator: K Vijay Kumar
% Credits: Neha Desai

\printtitle
#indian

ghir ghir aaye badaravaa kaare

chaaro.n or hai khushii kaa melaa
rahaa naa jaaye aaj akelaa
baar baar meraa man suunaa
kisako aaj pukaare
ghir ghir aaye badaravaa kaare   \threedots

chalii nashe me.n chuur havaa_e.n
mastii se bhar_puur havaa_e.n
machal machal kar bijalii chamake
jyo.n nainaa matavaare
ghir ghir aaye badaravaa kaare   \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{ye kyaa hai Dha.ng zamaane kaa}%
\film{Dak Babu}%
\year{1954}%
\starring{}%
\singer{Talat}%
\music{Dhaniram}%
\lyrics{Prem Dhawan}%

% Contributor: Hrishi Dixit
% Transliterator: Hrishi Dixit
% Date: 11 Nov 2000
% Comments: EMI CDF 132282

\printtitle
#indian

ye kyaa hai Dha.ng zamaane kaa
kaisii ye khudaa_ii hai
har ek bhalaa_ii kaa badalaa
duniyaa me.n buraa_ii hai

ye kyaa hai Dha.ng zamaane kaa

har baat bane afasaanaa jahaa.N
har naam pe tohamat aatii ho
uThate hii koii maasuum nazar
bas rusavaa_ii ho jaatii ho
ai dil aisii mahafil se to 
behatar tanahaa_ii hai
har ek bhalaa_ii kaa badalaa
duniyaa me.n buraa_ii hai

ye kyaa hai Dha.ng zamaane kaa

dil paar huaa bezaar huaa
ab jiinaa yahaa.N dushavaar huaa
dil paar huaa bezaar huaa
jhuuThe taano.n ko sunakar mai.n
majabuur huaa laachaar huaa
kahii.n le chal ai dil ye nagarii
mujhe raas na aa_ii hai
har ek bhalaa_ii kaa badalaa
duniyaa me.n buraa_ii hai

ye kyaa hai Dha.ng zamaane kaa

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
