% ISB File: DilBhiTeraaHumBhiTere_1960.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{kyaa buraa kiyaa hai huzuur mai.nne}%
\film{Dil Bhi Teraa Hum Bhi Tere}%
\year{1960}%
\starring{Balraj Sahni, Usha Kiran, Kumkum, Dharmendra}%
\singer{Mukesh}%
\music{Kalyanji-Anandji}%
\lyrics{Kanhaiya Lal Pardesi}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10881 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

kyaa buraa kiyaa hai huzuur maine
haa.N tho.Dii sii pii hai zaruur maine
kyaa buraa kiyaa \threedots

samajhatii hai duniyaa sharaabii mujhe
yah kahatii hai KaanaaKaraabii mujhe
na jaane kyaa kiyaa qasuur maine
haa.N tho.Dii sii pii \threedots

ye tho.Dii sii piinaa balaa ho gayaa
zamaanaa bhii mujhape Kafaa ho gayaa
yah pahalaa kiyaa hai qusuur maine
kyaa buraa kiyaa hai \threedots

kyaa qusuur kiyaa hai huzuur maine

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{mujh ko is raat kii tanahaaii me.n aavaaz na do}%
\film{Dil Bhi Tera Hum Bhi Tere}%
\year{1960}%
\starring{Balraj Sahni, Usha Kiran, Kumkum, Dharmendra}%
\singer{Mukesh}%
\music{Kalyanji-Anandji}%
\lyrics{Shamim Jaipuri}%

% Transliterator: Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu)
% Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu)
%          Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)

\printtitle
#indian

mujh ko is raat kii tanahaaii me.n aavaaz na do
jisakii aavaaz rulaa de mujhe vo saaz na do
aavaaz na do\threedots

mai.nne ab tum se na milane kii kasam khaaii hai
kyaa khabar tumako merii jaan pe ban aaii hai
mai.n bahak jaauu.N kasam khaake tum aisaa na karo
aavaaz na do\threedots

dil meraa Duub gayaa aas merii TuuT ga_ii
mere haatho.n hii se patavaar merii chhuuT ga_ii
ab mai.n tuufaan me.n huu.N saahil se ishaaraa na karo
aavaaz na do\threedots

raushanii ho na sakii laakh jalaayaa hamane
tujhako bhuulaa hii nahii.n laakh bhulaayaa hamane
mai.n pareshaa.n huu.N mujhe aur pareshaa.n na karo
aavaaz na do\threedots

kis kadar roz kiyaa mujhase kinaaraa tumane
koii bhaTakegaa akelaa ye na sochaa tumane
chhup gae ho to kabhii yaad hii aayaa na karo
aavaaz na do\threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{ye vaadaa kare.n jahaa.N bhii rahe.n}%
\film{Dil Bhi Teraa Hum Bhi Tere}%
\year{1960}%
\starring{Balraj Sahni, Usha Kiran, Kumkum, Dharmendra}%
\singer{Mukesh, Lata}%
\music{Kalyanji-Anandji}%
\lyrics{Kanhaiya Lal Pardesi}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10882 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

mu \:	ye vaadaa kare.n jahaa.N bhii rahe.n \-2
la \:	tum hamaare raho ham tumhaare rahe.n
	ye vaadaa kare.n \threedots
do \:	ye vaadaa kare.n \threedots

la \:	kitanaa hasii.n hai sapanaa meraa
	mai.n bhii terii dil bhii hai teraa
mu \:	dil ko milaa hai dil kaa sahaaraa
	saath na TuuTe ab ye hamaaraa
	muskaraate qadam ham milaa ke chale.n
	ye vaadaa kare.n \threedots
la \:	tum hamaare raho \threedots
do \:	ye vaadaa kare.n \threedots

mu \:	gul hai.n hazaaro.n is gulistaa.N me.n
	tujhasaa na ko_ii saare jahaa.N me.n
la \:	tujhase mohabbat merii hu_ii hai
	tum jo mile ho duniyaa milii hai
	har zamaane kii nazare.n bachaa ke chale.n
	ye vaadaa kare.n \threedots
mu \:	tum hamaare raho \threedots
do \:	ye vaadaa kare.n \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
