% ISB File: DilChahtaHai_2001.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{dil chaahataa hai kabhii naa biite.n chamakiile din}%
\film{Dil Chahta Hai}%
\year{2001}%
\starring{Aamir Khan, Akshaye Khanna, Saif Ali Khan, Preity Zinta}%
\singer{Shankar Mahadevan, Chorus}%
\music{Shankar Ehsaan Loy}%
\lyrics{Javed Akhtar}%

% Contributor: V S Rawat

\printtitle
#indian

%Part 1

dil chaahataa hai dil chaahataa hai 
chaahataa hai kabhii naa biite.n chamakiile din
dil chaahataa hai ham naa rahe.n kabhii yaaro.n ke bin
din din bhar ho.n pyaarii baate.n
jhuume.n shaame.n gaaye.n raate.n
mastii me.n rahe Duubaa Duubaa hameshaa samaa.N
ham ko raaho.n me.n yuu.N hii milatii rahe.n khushiyaa.N
dil chaahataa hai kabhii naa biite.n chamakiile din
dil chaahataa hai o ham naa rahe.n kabhii yaaro.n ke bin

jagamagaate hai.n jhilamilaate hai.n apane raaste
ye khushii rahe roshanii rahe apane vaaste
o o o o
jahaa.N ruke.n ham jahaa.N bhii jaa_e.n
jo ham chaahe.n vo ham paa_e.n
mastii me.n rahe Duubaa \threedots

kaisaa ajab ye safar hai socho to har ik hii bekhabar hai
us ko jaanaa kidhar hai jo vaqt aa_e jaane kyaa dikhaa_e
o o o o
dil chaahataa hai dil chaahataa hai 
din din bhar ho.n \threedots

o o dil chaahataa hai dil chaahataa hai 

%Part 2

dil chaahataa hai kabhii naa biite.n chamakiile din
dil chaahataa hai ham naa rahe.n kabhii yaaro.n ke bin
din din bhar ho.n pyaarii baate.n
jhuume.n shaame.n gaaye.n raate.n
mastii me.n rahe Duubaa Duubaa hameshaa samaa.N
hamako raaho.n me.n yuu.N hii milatii rahe.n khushiyaa.n
dil chaahataa hai kabhii naa biite.n chamakiile din
dil chaahataa hai o ham naa rahe.n kabhii yaaro.n ke bin

jagamagaate hai.n jhilamilaate hai.n apane raaste
ye khushii rahe roshanii rahe apane vaaste
o o o o
ra.ng bira.nge mausam aa_e.N na_e na_e vo sapane laa_e.N
mahakii rahe.n khvaabo.n kii hasii.n vaadiyaa.N
khilate rahe.n yuu.N hii pyaar ke ye gulasitaa.N
dil chaahataa hai kabhii naa biite.n chamakiile din

phir se mile.n jo ham diivaane to ye samajhe.n ye jaane.n
ham bhii rahe.n yaar hamaare jahaa.N
aa_e nahii.n kabhii ham me.n ko_ii duuriyaa.N
dil chaahataa hai kabhii naa biite.n \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{jaane kyuu.N log pyaar karate hai.n}%
\film{Dil Chahta Hai}%
\year{2001}%
\starring{Aamir Khan, Akshaye Khanna, Saif Ali Khan, Preity Zinta}%
\singer{Udit Narayan, Alka Yagnik}%
\music{Shankar Ehsaan Loy}%
\lyrics{Javed Akhtar}%

% Contributor: V S Rawat

\printtitle
#indian

jaane kyuu.N log pyaar karate hai.n
jaane kyuu.N vo kisii pe marate hai.n
jaane kyuu.N 

pyaar me.n sochi_e to bas gam hai
pyaar me.n jo sitam bhii ho kam hai
pyaar me.n sar jhukaanaa pa.Dataa hai
dard me.n muskuraanaa pa.Dataa hai
zahar kyuu.N zi.ndagii me.n bharate hai.n
jaane kyuu.N vo kisii pe marate hai.n
jaane kyuu.N

pyaar bin jiine.n me.n rakhaa kyaa hai
pyaar jis ko nahii.n vo tanhaa hai
pyaar sau ra.ng le ke aataa hai
pyaar hii zi.ndagii sajaataa hai
log chhup chhup ke pyaar karate hai.n
jaane.n kyuu.N saaf kahate Darate hai.n
jaane kyuu.N

pyaar bekaar kii musiibat hai
pyaar har tarah khuubasuurat hai
ho pyaar se ham duur hii achchhe
are pyaar ke sab ruup hai.n sachche
ho pyaar ke ghaaT jo utarate hai.n
Duubate hai.n na vo ubharate hai.n
jaane kyuu.N

pyaar to khair sabhii karate hai.n
jaane kyuu.N aap hii mukarate hai.n
jaane kyuu.N

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{kaisii hai ye rut ke jis me.n}%
\film{Dil Chahta Hai}%
\year{2001}%
\starring{Amir Khan, Akshaye Khanna, Saif Ali Khan, Preity Zinta}%
\singer{Srinivas}%
\music{Shankar, Ehsaan, Loy}%
\lyrics{Javed Akhtar}%

% Contributor: Arunabha Roy, Neha Desai
% Transliterator: Arunabha Roy, Neha Desai
% Date:March 14, 2002

\printtitle
#indian

kaisii hai ye rut ke jis me.n phuul banake dil khile
ghul rahe hai.n ra.ng saare ghul rahii hai.n KHushabuu_e.n
chaa.Ndanii jharane ghaTaaye.n giit baarish titaliyaa.N
ham pe ho gaye hai.n sab meharabaan

dekho nadii ke kinaare pa.nchhii pukaare kisii pa.nchhii ko
dekho ye jo nadii hai milane chalii hai saagar hii ko
ye pyaar kaa hii saaaraa hai kaaravaan

kasii hai ye rut ke  \threedots

ho, kaise kisii ko bataaye.n kaise ye samajhaaye.n kyaa pyaar hai
is me.n ba.ndhan nahii.n hai aur naa ko_ii bhii diivaar hai
suno pyaar kii niraalii hai daastaa.N

kaisii hai ye rut \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{ko_ii kahe kahataa rahe kitanaa bhii hamako diivaanaa}%
\film{Dil Chahta Hai}%
\year{2001}%
\starring{Aamir Khan, Akshaye Khanna, Saif Ali Khan, Preity Zinta}%
\singer{Shankar Mahadevan, Shaan, KayKay}%
\music{Shankar Ehsaan Loy}%
\lyrics{Javed Akhtar}%

% Contributor: V S Rawat

\printtitle
#indian

ko_ii kahe kahataa rahe kitanaa bhii hamako diivaanaa
ham logo.n kii Thokar me.n hai ye zamaanaa
jab saaz hai aavaaz hai phir kisali_e hichakichaanaa
ho gaa_e.Nnge ham apane dilo.n kaa taraanaa
biga.De duniyaa biga.Dane bhii do
jhaga.De duniyaa jhaga.Dane bhii do
la.De jo duniyaa la.Dane bhii do
tum apanii dhun me.n gaa_o
duniyaa ruuThe ruuThane do
ba.ndhan TuuTe TuuTane do
ko_ii chhuuTe chhuuTane do
naa ghabaraa_o
ham hai.n na_e a.ndaaz kyuu.N ho puraanaa

aa.Nkho.n me.n hai.n bijaliyaa.N saa.Nso.n me.n tuufaan hai.n
Dar kyaa hai aur haar kyaa ham is se a.njaan hai.n
hamaare li_e hii to hai.n aasamaan aur zamii.n
sitaare bhii ham to.D le.nge hame.n hai yakii.n
ambar se hai aage hamaaraa Thikaanaa
ham hai.n na_e a.ndaaz kyuu.N ho puraanaa

sapano.n kaa jo des hai haa.N ham vahii.n hai.n pale
tho.De se dilaphe.nk hai.n tho.De se hai.n manachale
jahaa.N bhii ga_e apanaa jaaduu dikhaate rahe
mohabbat hasiino.n ko aksar sikhaate rahe
aa_e hame.n dil aur nii.nde.n churaanaa
ham hai.n na_e a.ndaaz kyuu.N ho puraanaa

ko_ii kahe kahataa rahe kitanaa bhii hamako diivaanaa
ko_ii kahataa rahe kitanaa bhii hamako diivaanaa
ho ham logo.n kii Thokar me.n hai ye zamaanaa
ho jab saaz hai aavaaz hai phir kisali_e hichakichaanaa
huu.N jab saaz hai aavaaz hai phir kisali_e hichakichaanaa
ho gaa_e.Nnge ham \threedots

o ham hai.n na_e a.ndaaz kyuu.N ho puraanaa
haa.N ham hai.n na_e a.ndaaz kyuu.N ho puraanaa

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{tanhaa_ii dil ke rasate me.n kaisii Thokar mai.nne khaa_ii}%
\film{Dil Chahta hai}%
\year{2001}%
\starring{Aamir Khan, Akshaye Khanna, Saif Ali Khan, Preity Zinta}%
\singer{Sonu Nigam}%
\music{Shankar Ehsaan Loy}%
\lyrics{Javed Akhtar}%

% Contributor: V S Rawat

\printtitle
#indian

tanhaa_ii tanhaa_ii
dil ke raaste me.n kaisii Thokar maine khaa_ii
TuuTe khvaab saare ek maayuusii hai chhaa_ii
har khushii so ga_ii zi.ndagii kho ga_ii
tum ko jo pyaar kiyaa maine to sazaa me.n paa_ii
tanhaa_ii tanhaa_ii
miilo.n hai phailii hu_ii tanhaa_ii

khvaab me.n dekhaa thaa ik aa.Nchal maine apane haatho.n me.n
ab TuuTe sapano.n ke shiishe chubhate hai.n in aa.Nkho.n me.n
kal ko_ii thaa yahii.n ab ko_ii bhii nahii.n
ban ke naagin jaise hai saa.Nso.n me.n laharaa_ii
tanhaa_ii tanhaa_ii palako.n pe kitane aa.Nsuu hai laa_ii

kyuu.N aisii ummiid kii maine jo aise naakaam hu_ii
duur banaa_ii thii ma.nzil to raste me.n hii shaam hu_ii
ab kahaa.N jaa_uu.N mai.n kis ko samajhaa_uu.N mai.n
kyaa maine chaahaa thaa aur kyuu.N kismat me.n aa_ii
tanhaa_ii tanhaa_ii
jaise a.ndhero.n kii ho gaharaa_ii

dil ke raaste me.n \threedots
tanhaa_ii tanhaa_ii tanhaa_ii tanhaa_ii

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{vo la.Dakii hai kahaa.N ... jise Dhuu.NDhataa huu.N mai.n har kahii.n}%
\film{Dil Chahta Hai}%
\year{2001}%
\starring{Aamir Khan, Akshaye KhaNa, Saif Ali Khan, Preity Zinta}%
\singer{Shaan, Kavita Subramaniam}%
\music{Shankar Ehsaan Loy}%
\lyrics{Javed Akhtar}%

% Contributor: V S Rawat

\printtitle
#indian

jise Dhuu.NDhataa huu.N mai.n har kahii.n
jo kabhii milii mujhe hai nahii.n
mujhe jis ke pyaar par ho yakii.n
vo la.Dakii hai kahaa.N

jise sirf mujh se hii pyaar ho
jo ye kahane ko taiyaar ho
suno tum hii mere diladaar ho
vo la.Dakii hai kahaa.N

jo tumhaare khvaabo.n me.n hai basii
vo hasiin muurti pyaar kii
milegii tumhe.n kabhii naa kabhii
zaraa dekho yahaa.N vahaa.N
chalo Dhuu.NDhate hai.n ham tum yahii.n
vo parii vo huur vo naazanii.n
jise dekho to kaho tum vahii.n
are ye to hai yahaa.N

jaane kyuu.N khayaal aayaa mujhe
ki vo la.Dakii kahii.n tum to nahii.n
tum me.n hai.n vo saarii khuubiyaa.N
jin ko Dhuu.NDhataa mai.n har kahii.n

tumhe.n dhokhaa lagataa hai ho gayaa
mujhe hai samajh liyaa jaane kyaa
naa mai.n huu.N parii naa mai.n apsaraa
karo tum naa ye Gumaa.N

jise Dhuu.NDhataa huu.N \threedots

he he he he he he he he

maan lo agar mai.n ye kahuu.N
ke mere khvaabo.n me.n tum hii to ho
jaan lo meraa aramaan hai
ke mere saath hii ab tum raho

mujhe tumane kyaa ye samajhaa diyaa
mere dil ko jaise dha.Dakaa diyaa
mere tan badan ko pighalaa diyaa
vo sunaa_ii daastaa.N

jise Dhuu.NDhataa huu.N mai.n har kahii.n
jo kabhii milii mujhe hai nahii.n
mujhe jisake pyaar par ho yakii.n
vo la.Dakii hai kahaa.N
vo la.Dakii hai yahaa.N
he he he he he he he he

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
