% ISB File: Doraahaa_1971.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{merii bagiyaa kii kalii tuu sadaa hii khilanaa}%
\film{Doraahaa}%
\year{1971}%
\starring{Anil Dhawan, Radha Saluja, Iftikhar, Sanjana}%
\singer{Asha}%
\music{Sapan-Jagmohan}%
\lyrics{Indeevar}%

% Contributor: BOL ANAMOL #11526 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

merii bagiyaa kii kalii tuu sadaa hii khilanaa
jin raaho.n pe mai.n chalii tuu unape na chalanaa
teraa naa ho mere jaisaa haal
merii bagiyaa kii kalii \threedots

sab kuchh kiyaa nisaar tujhe tab maine paayaa
tujh pe na pa.Dane paa_e kabhii kaa.NTo.n kii chhaayaa
sukh kii ni.ndiyaa sonaa pa.De naa mujh saa ronaa
merii bagiyaa kii kalii \threedots

teraa ko_ii sapanaa sa.nsaar na to.De
biich raah me.n ko_ii teraa saath na chho.De
tere man kii paatii samajhe teraa saathii
merii bagiyaa kii kalii \threedots

itanaa kyo.n ye duniyaa dhan ke piichhe bhaage
kuchh bhii nahii.n dhan pyaar bhare ik man ke aage
laaj hai aisaa gahanaa phir se na jaa_e pahanaa
merii bagiyaa kii kalii \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{tumhii.n rahanumaa ho merii zindagii ke}%
\film{Doraahaa}%
\year{1971}%
\starring{Anil Dhawan, Radha Saluja, Iftikhar, Sanjana}%
\singer{Asha}%
\music{Sapan-Jagmohan}%
\lyrics{Indeevar}%

% Contributor: BOL ANAMOL #11527 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

tumhii.n rahanumaa ho merii zindagii ke
bigaa.Do mujhe yaa sa.Nvaaro mujhe
mujhe sharm kaisii mere saath tum ho
kisii raaste se guzaaro mujhe
tumhii.n rahanumaa ho \threedots

tumhaare li_e to mai.n mar ke bhii jii luu.N
sharaab to kyaa hai zahar bhii mai.n pii luu.N
lage Dagamagaane qadam aaj mere
sahaaraa to do ai sahaaro.n mujhe
tumhii.n rahanumaa ho \threedots

mai.n huu.N laaj ghar kii tumhaarii aaratii huu.N
magar mahafilo.n kii shamaa ban ga_ii huu.N
meraa ab yahaa.N se palaTanaa hai mushqil
bhale hii kahii.n se pukaaro mujhe
tumhii.n rahanumaa ho \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
