% ISB File: DusLaakh_1966.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{chaahe laakh karo tum puujaa ... gariibo.n kii suno}%
\film{Dus Laakh}%
\year{1966}%
\starring{Sanjay Khan, Babita, Pran, Helen}%
\singer{Rafi, Asha}%
\music{Ravi}%
\lyrics{Ravi}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10687 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

	chaahe laakh karo tum puujaa tiirath karo hazaar
	diin\-dukhii ko Thukaraayaa to sab\-kuchh hai bekaar

	gariibo.n kii suno vo tumhaarii sunegaa \-2
	tum ek paisaa doge vo das laakh degaa
do \:	gariibo.n kii suno \threedots

ra \:	bhuukh lage to ye bachche aa.Nsuu pii kar rah jaate hai.n
	haay gariibo.n kii majabuurii kyaa\-kyaa ye sah jaate hai.n
	ye bachapan ke din hai.n gha.Dii khelane kii
aa \:	umar ye nahii.n aise dukh jhelane kii
ra \:	taras khaa_o inape ai aulaad vaalo.n
	uThaa lo inhe.n bhii gale se lagaa lo
aa \:	uThaa lo inhe.n bhii gale se lagaa lo
ra \:	murajhaa_e naa phuul kahii.n ye aa.Ndhii aur barasaat me.n
do \:	gariibo.n kii suno \threedots

aa \:	badaqismat biimaar ye buu.Dhaa qadam\-qadam par girataa hai
	phir bhii in bachcho.n kii Kaatir haath pasaare phirataa hai
ra \:	kahii.n inakaa ye saath naa chhuuT jaa_e
aa \:	anaatho.n kii ye aas bhii TuuT jaa_e
ra \:	kahaa.N jaa_e.Nge ye muqaddar ke maare
	ye bujhate di_e TimaTimaate sitaare
aa \:	ye bujhate di_e TimaTimaate sitaare
ra \:	in beghar bechaaro.n kii qismat hai tumhaare haath me.n
do \:	gariibo.n kii suno \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{kis vidhi karuu.N bakhaan ... ajab terii kaariigarii karataar}%
\film{Dus Laakh}%
\year{1966}%
\starring{Sanjay Khan, Babita, Pran, Helen}%
\singer{Rafi, Krishna Kalle/ Rafi}%
\music{Ravi}%
\lyrics{Prem Dhawan}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10686 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

ra \:	kis vidhi karuu.N bakhaan prabhuu tere koTi\-koTi upakaar
	kal tak thii khaalii jholii aaj bhare bha.nDaar
	ajab terii kaariigarii karataar \-2
kri \:	samajh na aa_e maayaa terii badale ra.ng hazaar
do \:	ajab terii kaariigarii \threedots

ra \:	dene vaale tuune ye ghar Kushiyo.n se bhar Daalaa
ko \:	o Kushiyo.n se bhar Daalaa
kri \:	tuu sabase ba.Daa hai daanii terii liilaa kisane jaanii
ra \:	jag soch\-soch gayaa haar
	ajab terii kaariigarii \threedots

kri \:	chhoTaa saa sa.nsaar hamaaraa svarg banaa_e rakhanaa
ko \:	haa.N svarg banaa_e rakhanaa
ra \:	is bagiyaa me.n sadaa Kushii ke phuul khilaa_e rakhanaa
	chaahe raajaa ho yaa bhikhaarii
kri \:	tuune vipadaa sabakii Taarii
ra \:	are vaah re paalanahaar
	ajab terii kaariigarii \threedots

% Part 2:

ra \:	ghar vaale ghar se nikale hokar aaj paraa_e
	teraa kaisaa ye sa.nsaar
	ajab terii kaariigarii \threedots

	kisakii nazar lagii is ghar ko bikhar ga_e sab tinake
	murajhaa_ii hai.n ye kaliyaa.N khilane ke din the jinake
	ko_ii yuu.N na ho laachaar
	ajab terii kaariigarii \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{lag jaa gale dilarubaa}%
\film{Das Lakh}%
\year{1966}%
\starring{Sanjay Khan, Babita, Pran, Helen}%
\singer{Rafi}%
\music{Ravi}%
\lyrics{Prem Dhawan}%

% Contributor: K Vijay Kumar
% Transliterator: K Vijay Kumar

\printtitle
#indian

aa~
lag jaa gale dilarubaa
kahaa.N ruuTh ke chalii
o gulaab kii kalii
tere kadamo.n me.n dil hai meraa
lag jaa gale dilarubaa   \threedots

ai sholaa badan ai zoharaa jabii.n
tum gusse me.n lagatii ho aur hasii.n
baiThaa huu.N jigar ko thaame hue
mujh pe na gire ye bijalii kahii.n
kyaa kahane nazaakat ke
saamaa.N hai qayaamat ke
mai.n to pahalii nazar me.n gayaa
lag jaa gale dilarubaa   \threedots

itaraa ke na chal, balakhaa ke na chal
aa.Nchal ko havaa me.n u.Daa ke na chal
ban jaayegaa koii afasaanaa
dil ko mere ta.Dapaa ke na chal
itanaa na sitam karanaa
kuchh nazar\-e\-qaram karanaa
dekhiye dil hai naazuk meraa
lag jaa gale dilarubaa   \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
