% ISB File: EkHiBhool_1981.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{bekhudii kaa ba.Daa sahaaraa hai}%
\film{Ek Hi Bhool}%
\year{1981}%
\starring{Jeetendra, Rekha, Nazneen}%
\singer{S P Balasubramaniam}%
\music{Laxmikant-Pyarelal}%
\lyrics{Anand Bakshi}%

% Contributor: K Vijay Kumar 
% Transliterator: K Vijay Kumar

\printtitle
#indian

bekhudii kaa ba.Daa sahaaraa hai varanaa duniyaa me.n kyaa hamaaraa hai
log marate hai.n maut aane se hamako is zi.ndagii ne maaraa hai
bekhudii kaa ba.Daa sahaaraa hai   \threedots

is muqaddar ka ye sitam dekho
Duubate jaa rahe hai.n ham dekho
aur vo saamane kinaaraa hai
bekhudii kaa ba.Daa sahaaraa hai   \threedots

aadamii kuchh bhii kar nahii.n sakataa
vaqt aisaa guzar nahii.n sakataa
vaqt aisaa magar guzaaraa hai
bekhudii kaa ba.Daa sahaaraa hai   \threedots

kitanii halkii hai kitanii bojhil hai
ko_ii aurat nahii.n ye botal hai
band is me.n jahaan saaraa hai
bekhudii kaa ba.Daa sahaaraa hai   \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{o raajuu o ##Daddy##}%
\film{Ek Hi Bhool}%
\year{1981}%
\starring{Jeetendra, Rekha}%
\singer{S P Balasubramaniam}%
\music{Laxmikant-Pyarelal}%
\lyrics{Anand Bakshi}%

% Contributor: K Vijay Kumar

\printtitle
#indian

o raaju
o ##Daddy##
##Mummy## se tum merii sulah karaa do
ik pappii se saaraa jhaga.Daa miTaa do
mai.n tum se kal mulaaqaat karuu.Ngaa
achchhaa mai.n ##Mummy## se baat karuu.Ngaa \threedots

kahanaa bhuul jaaye merii ik bhuul ko
bhuul? kaisii bhuul ##Daddy##?
tum nahii.n samajhoge beTaa
kahanaa bhuul jaaye merii ik bhuul ko
dhuul me.n na phe.nke kisii aisii bhuul ko
merii taariife.n karanaa
- haa.N
merii taariife.n karanaa behisaab tum
le ke aanaa koii achchhaa saath javaab tum
mai.n tum se kal mulaaqaat karuu.Ngaa
achchhaa mai.n ##Mummy## se baat karuu.Ngaa \threedots

##Mummy## mujh ko maaregii
aakhir tum se haaregii
##Daddy## maafii maa.Ngoge?
mujhako chhat par Taa.Ngoge!
jurmaanaa bharanaa hogaa
ik vaadaa karanaa hogaa
##Mummy## ko manaao_ge
phir na mujhe sataao_ge
mujh ko sab manzuur hai
phir dillii kyaa duur hai
mujhe akelaa chho.Daa to tum ne vaadaa to.Daa to
kaTTii mai.n tumhaare saath karuu.Ngaa
achchhaa mai.n ##Mummy## se baat karuu.Ngaa \threedots

##Daddy## phir dekho sapane salone
pahale mujhe le do Dher se khilone
o o o chalegaa aise kaam na paise nikaalo
haath Daalo jeb me.n paise nikaalo
nikaalo paise nikaalo
paiso.n kii to mai.n barasaat karuu.Ngaa
achchhaa mai.n ##Mummy## se baat karuu.Ngaa \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
