% ISB File: EkMusafirEkHasina_1962.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{aap yuu.N hii agar hamase milate rahe}%
\film{Ek Musafir Ek Hasina}%
\year{1962}%
\starring{Sadhana, Joy Mukherjee}%
\singer{Rafi, Asha}%
\music{O P Nayyar}%
\lyrics{S H Bihari}%

% Contributor: Himanshu Gupta (himanshu.gupta@eng.sun.com)
% Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) 
% Date: Wed Aug  9, 1995
% Credits: Arun Verma 
% Editor: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) 

\printtitle
#indian

ra: aap yuu.N hii agar hamase milate rahe
   dekhi_e ek din pyaar ho jaaegaa
aa: aisii baate.n na kar ai hasii.n jaaduugar
   meraa dil terii nazaro.n me.n kho jaaegaa

ra: piichhe\-piichhe mere aap aatii.n hai.n kyo.n \-2
   merii raaho.n me.n aa.Nkhe.n bichhaatii hai.n kyo.n
   aap aatii hai.n kyo.n \threedots
aa: kyaa kahuu.N aapase ye bhii ek raaz hai
   ek din isakaa izahaar ho jaaegaa

ra: kaisii jaaduugarii kii are jaaduugar \-2
   tere chahare se haTatii nahii.n ye nazar
   hai ye nazar \threedots
aa: aisii nazaro.n se dekhaa agar aapane
   sharm se ra.Ng gulanaar ho jaaegaa

ra: mai.n mohabbat kii raaho.n se a.njaan huu.N \-2
   kyaa karuu.N kyaa kyaa karuu.N pareshaan huu.N
   mai.n pareshaan huu.N \threedots
aa: aapakii ye pareshaaniyaa.N dekhakar
   meraa dil bhii pareshaan ho jaaegaa

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{bahut shukriyaa, ba.Dii meharabaanii}%
\film{Ek Musafir Ek Hasina}%
\year{1962}%
\starring{Joy Mukherjee, Sadhana}%
\singer{Rafi, Asha}%
\music{O P Nayyar}%
\lyrics{S H Bihari}%

% Transliterator: Venkatasubramanian K. G (gopala@cs.wisc.edu)
% Credits: rec.music.indian.misc 
%          Renu Tewari (tewari@cs.utexas.edu)
%          Kedar Nahade (ksn2@Lehigh.EDU)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)

\printtitle
#indian

ra: bahut shukriyaa ba.Dii meharabaanii
merii zindagii me.n huzuur aap aae
kadam chuum luu.N yaa ye aa.Nkhe.n bichhaa duu.N
karuu.N kyaa ye merii samajh me.n na aae
bahut shukriyaa\threedots

karuu.N pesh tumako nazaraanaa dil kaa
nazaraanaa dil kaa 
ke ban jaae koii afasaanaa dil kaa
khudaa jaane aisii suhaanii gha.Dii phir \- 2
merii zindagii me.n palaT ke na aae
bahut shukriyaa\threedots

khushii to bahut hai, magar ye bhii Gam hai
ke ye saath apanaa kadam do kadam hai
magar ye musaafir duaa maa.Ngataa hai \- (2)
khudaa aapase kisii din milaae
bahut shukriyaa\threedots

aa:
mujhe Dar hai mujhame.n Guruur aa na jaae
laguu.N jhuumane mai.n suruur aa na jaae
kahii.n dil ye meraa ye taariif sunakar \- (2)
tumhaaraa bane aur mujhe bhuul jaae
bahut shukriyaa\threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{chaa chaa ... udhar vo chaal chalate hai.n}%
\film{Ek Musafir Ek Hasina}%
\year{1962}%
\starring{Joy Mukherjee, Sadhana}%
\singer{Asha}%
\music{O P Nayyar}%
\lyrics{Shevan Rizvi}%

% Contributor: BOL ANAMOL #11465 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

chaa chaa chaa
udhar vo chaal chalate hai.n idhar ham jaan lete hai.n
nazar pahachaanane vaale nazar pahachaan lete hai.n \-2
udhar vo chaal \threedots

agar tum ha.Ns ke dekhoge to ham phir muskaraa le.nge
bachaakar aa.Nkh nikaloge nazar ham bhii phiraa le.nge
tum apanaa raastaa loge ham apanaa raastaa le.nge
na ham ehasaan karate hai.n na ham ehasaan lete hai.n
nazar pahachaanane \threedots

tumhe.n hamase mohabbat hai zaruurat kyaa jataane kii
inhe.n parade me.n rahane do ye baat hai chhupaane kii
hame.n aadat nahii.n jhuuThii qasam khaane\-khilaane kii
na ham iimaan dete hai.n na ham iimaan lete hai.n 
nazar pahachaanane \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{hamako tumhaare ishq ne kyaa\-kyaa banaa diyaa}%
\film{Ek Musafir Ek Hasina}%
\year{1962}%
\starring{Joy Mukherjee, Sadhana}%
\singer{Rafi}%
\music{O P Nayyar}%
\lyrics{Shevan Rizvi}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10520 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

hamako tumhaare ishq ne kyaa\-kyaa banaa diyaa
jab kuchh na ban sake to tamaashaa banaa diyaa

kaashii se kuchh Garaz thii na qaabe se vaastaa
ham Dhuu.NDhane chale the mohabbat kaa raastaa
dekhaa tumhaare dar ko to sar ko jhukaa diyaa
jab kuchh na ban \threedots

dil kii lagii ne kar diyaa dono.n ko beqaraar
doharaa ke daastaan\-e\-mohabbat phir ek baar
majanuu.n hame.n aur aapako lailaa banaa diyaa
jab kuchh na ban \threedots

nikale terii talaash me.n aur khud hii kho ga_e
jab kuchh na ban pa.Dii to diivaane ho ga_e
diivaanagii me phir teraa kuu.nchaa dikhaa diyaa
jab kuchh na ban \threedots

jalavo.n kii bhiikh phe.nkane vaale kii khair ho
pardaa haTaake dekhane vaale kii khair ho
ban ke bhikhaarii ishq ne daaman bichhaa diyaa
jab kuchh na ban \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{hame.n chaahe badanaam ... aa merii nazare hasii.n hai.n}%
\film{Ek Musafir Ek Hasina}%
\year{1962}%
\starring{Joy Mukherjee, Sadhana}%
\singer{Asha}%
\music{O P Nayyar}%
\lyrics{Shevan Rizvi}%

% Contributor: BOL ANAMOL #11467 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

hame.n chaahe badanaam kar de zamaanaa
magar ham sunaa kar rahe.nge fasaanaa
muhabbat chhupaa_o to chhupatii nahii.n hai
ye aavaaz roke se rukatii nahii.n hai

aa merii nazare hasii.n hai.n ki tum ho hasii.n
ye samajhane kii mujhako zaruurat nahii.n
baat nazaro.n kii hai baat kuchh bhii nahii.n
jisako dil chaahe duniyaa me.n hai vo hasii.n
merii nazare hasii.n \threedots

dil ko aanaa thaa ik din kahii.n naa kahii.n \-2
dil kii ma.nzil jahaa.N thii rukaa hai vahii.n
baat nazaro.n kii \threedots

ye havaa ye samaa chaa.Ndanii raat kaa
kyaa bataa_uu.N tujhe ra.ng jazbaat kaa
jhaa.Nk kar merii aa.Nkho.n me.n Kud dekh le
mu.Nh se kah duu.N to phir kyaa mazaa baat kaa
baat nazaro.n kii \threedots

pyaar karanaa pa.Daa dard sahanaa pa.Daa \-2
tujhako dekhaa to Kaamosh rahanaa pa.Daa
laakh daaman bachaayaa na mai.n bach sakii
dil se majabuur ho kar ye kahanaa pa.Daa
baat nazaro.n kii \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{mai.n pyaar kaa raahii huu.N}%
\film{Ek Musafir Ek Hasina}%
\year{1962}%
\starring{Joy Mukherjee, Sadhana}%
\singer{Rafi, Asha}%
\music{O P Nayyar}%
\lyrics{Raja Mehdi Ali Khan}%

% Transliterator: Venkatasubramanian K. G (gopala@cs.wisc.edu)
% Credits: rec.music.indian.misc 
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)

\printtitle
#indian

ra: mai.n pyaar kaa raahii huu.N
terii zulf ke saae me.n
kuchh der Thahar jaauu.N
aa: tum ek musaafir ho
kab chho.Dake chal doge
ye sochake ghabaraauu.N
ra: mai.n pyaar kaa raahii huu.N

ra: tere bin jii lage na akele
aa: ho sake to mujhe saath le le
ra: naazanii.n tuu nahii.n jaa sakegii
chho.Dakar zindagii ke jhamele
naazanii.n
aa: jab bhii chhaae ghaTaa
yaad karanaa zaraa
saath ra.ngo.n kii umr kahaanii
ra: mai.n pyaar kaa raahii huu.N

ra: pyaar kii bijaliyaa.N  muskuraae.n
aa: dekhiye aap par gir na jaae.n
ra: dil kahe dekhataa hii rahuu.N mai.n
saamane baiThakar ye adaae.n
dil kahe
aa: na mai.n huu.N naazanii.n
na mai.n huu.N mahajabii.n
aap hii kii nazar hai diivaanii
ra: mai.n pyaar kaa raahii huu.N

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{mujhe dekh kar aapakaa muskaraanaa}%
\film{Ek Musafir Ek Hasina}%
\year{1962}%
\starring{Joy Mukherjee, Sadhana}%
\singer{Rafi}%
\music{O P Nayyar}%
\lyrics{Raja Mehdi Ali Khan}%

% Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org)
% Credits: rec.music.indian.misc (USENET newsgroup) 
%          Vandana Venkatesan  (vandana@ece.scarolina.edu)
%          C.S. Sudarshana Bhat (ceindian@utacnvx.uta.edu)
%          Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu)

\printtitle
#indian

\threedots aapakaa muskaraanaa
mujhe dekh kar aapakaa muskaraanaa
muhabbat nahii.n hai to phir aur kyaa hai
ho \threedots  mujhe dekh kar aapakaa muskaraanaa

o ho ho \threedots
mujhe tum begaanaa kah lo yaa ke diivaanaa
magar ye diivaanaa jaane dil kaa fasaanaa
banaavaT me.n dil kii haqiiqat chupaanaa
muhabbat nahii.n hai to phir aur kyaa hai
ho \threedots  mujhe dekh kar aapakaa muskaraanaa

o ho ho \threedots
khayaalo.n me.n khoyii khoyii rahatii ho aise
musaafir kii chalatii phiratii tasaviir jaise
adaa aashiqii kii nazar shaayaraanaa
muhabbat nahii.n hai to phir aur kyaa hai
ho \threedots  mujhe dekh kar aapakaa muskaraanaa

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{phir tere shahar me.n luTane ko chalaa aayaa huu.N}%
\film{Ek Musafir Ek Hasina}%
\year{1962}%
\starring{Joy Mukherjee, Sadhana}%
\singer{Rafi}%
\music{O P Nayyar}%
\lyrics{Shevan Rizvi}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10521 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

phir tere shahar me.n luTane ko chalaa aayaa huu.N \-2
phir vahii jaan vahii dil laayaa huu.N
phir tere shahar me.n \threedots

dekh kis shaan se aayaa hai teraa saudaa_ii
shor baajo.n kaa kahii.n hai to kahii.n shahanaa_ii
saarii duniyaa ko mai.n tamaashaa_ii banaa laayaa huu.N
phir tere shahar me.n \threedots

tuu na ghabaraa ke teraa ghuu.NghaT mai.n na uThane duu.Ngaa
zindagii chaahe luTe pyaar mai.n na luTane duu.Ngaa
dil ke shiishe ko patthar kaa banaa laayaa huu.N
phir tere shahar me.n \threedots

terii is maa.Ng me.n sinduur sajaane ke li_e 
surK me.nhadii tere haatho.n me.n rachaane ki li_e
Kuun\-e\-dil laayaa huu.N aur Kuun\-e\-jigar laayaa huu.N
phir tere shahar me.n \threedots

baat rah jaatii insaan rahe yaa na rahe
yaar kii aan rahe jaan rahe yaa na rahe
yaar ke naam par miTane to chalaa aayaa huu.N
phir tere shahar me.n \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{qasam Kudaa kii yaqiin ... tumhe.n mohabbat hai}%
\film{Ek Musafir Ek Hasina}%
\year{1962}%
\starring{Joy Mukherjee, Sadhana}%
\singer{Rafi, Asha}%
\music{O P Nayyar}%
\lyrics{S H Bihari}%

% Contributor: BOL ANAMOL #11466 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

qasam Kudaa kii yaqiin

aa \:	tumhe.n mohabbat hai hamase maanaa bataa_o isakaa sabuut kyaa hai \-2
ra :	ye haath siine pe rakh ke dekho na puuchho isakaa sabuut kyaa hai
aa \:	tumhe.n mohabbat hai \threedots

	ye dil kii dha.Dakan ye sard aahe.n yahii shiqaayat hai har kisii ko \-2
	na_ii balaa ko jab bhii dekhaa to pyaar karane lage usii se
	na_ii bhalaa isame.n baat kyaa hai ki ye fasaanaa bahut sunaa hai
ra :	ye haath siine pe \threedots
aa \:	tumhe.n mohabbat hai \threedots

ra \:	jo aag siine me.n hai hamaare tumhaare hotii to jaan lete \-2
	baGair ko_ii sabuut maa.Nge hamaarii chaahat ko maan lete
	tumhaarii aa.Nkho.n me.n kaash hotaa hamaarii aa.Nkho.n me.n jo nashaa hai
	ye haath siine pe \threedots
aa \:	tumhe.n mohabbat hai \threedots

	yahii nashaa jo rahe hameshaa to ham bhii chaahat kaa jaam pii le.n \-2
	ye daur\-e\-saaGar yuu.N hii chalegaa to le ke saaqii kaa naam pii le.n
	magar ye ham par qaram kii nazare.n badal na jaa_e.Ngii kyaa pataa hai
ra :	ye haath siine pe \threedots
aa \:	tumhe.n mohabbat hai \threedots

ra \:	hame.n to saaqii se vaastaa hai suraahii badale yaa jaam badale \-2
	tere diivaane kabhii na badale.nge chaahe saaraa nijaam badale
	tere hii qadamo.n me.n jaan de.nge ye dil tujhe jab de diyaa hai
aa \:	tumhe.n mohabbat hai \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{terii talaash  mujhako ... zubaan\-e\-yaar\-man turkii}%
\film{Ek Musaafir Ek Hasiinaa}%
\year{1962}% 
\starring{Joy Mukerjee, Sadhana}%
\singer{Rafi, Asha}%
\music{O P Nayyar}%
\lyrics{Shevan Rizvi}%

% Contributor: <Urzung Khan>
% Comments: The first four lines beginning with "terii talaash.." are the prelude,
%           and then the song jumps stright to the first stanza, "iraan humne dekha..".
%           The mukhadaa then follows starting with "o yaar zulfon waale..." and ending
%           with "zubaane yaar....".

\printtitle
#indian

terii talaash  mujh ko laaii kahaa.n kahaa.n se
sun le meraa fasaanaa ab to merii zubaa.N se
mai.n ne vahii.n vahii.n par sajade kiye hai.n tujhako
zulfo.n ko tuu u.Daatii guzarii jahaa.n jahaa.n se

iraan ham ne dekhaa, dekhaa hai chiin ham ne
lekin kahii.n naa dekhaa tujh saa hasiin ham ne
koii bhii jab na payaa tere muqabale kaa
awaaz tujh ko dii hai o naazaniin ham ne

o yaar zulfo.n vaale diladaar zulfo.n vaale
zulfo.n ne mujhako maaraa Kamdaar zulfo.n vaale

zubaan\-e\-yaar\-man turkii, naa man turkii namii daanam
namii daanam, namii daanam, namii daanam o_ae
zubaan\-e\-yaar-man turkii

o bevafaa hasiinaa hatho.n me.n haath le\-le
kaam aaegaa ye tere diivaanaa saath le\-le
diivaanaa koii mujh saa tujh ko nahii.n mile gaa
chaae to ik nazar me.n kul kaaynaat le\-le
o yaar zulfo.n vaale diladaar zulfo.n vaale
zulfo.n ne mujhako maaraa Kamdaar zulfo.n vaale
zubaan\-e\-yaar\-man turkii\-

mastii me.n har qadam par gir kar teraa sa.nbhalanaa
bal khaanaa ba.nkapan se zulfo.n kaa ye machalanaa
mai.n to har ik adaa ko aa.Nkho.n se chuum luu.N gaa
duniyaa buhat burii hai duniyaa se bachake chalanaa
o yaar zulfo.n vaale diladaar zulfo.n vaale
zulfo.n ne mujhako maaraa Kamdaar zulfo.n vaale
zubaan\-e\-yaar\-man turkii\-

terii zubaa.n judaa hai merii zubaa.n judaa hai
par dil ko kayaa karuu.n me.n dil tujh pe aa gayaa hai
ik ishq hai ki jisakaa mazahab nahii.n hai koii
har rang aashaqii me.n ik rang ho gayaa hai
o yaar zulfo.n vaale diladaar zulfo.n vaale
zulfo.n ne mujhako maaraa Kamdaar zulfo.n vaale
diladaar zulfo.n vaale
zubaan\-e\-yaar\-man turkii\-

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
