% ISB File: EkPhoolDoMali_1969.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
%stat{vsre01702, 1.00, 05/03/2003}%
\stitle{kar de madad gariib kii ... aulaad vaalo.n phuulo.n phalo}%
\film{Ek Phool Do Mali}%
\year{1969}%
\starring{Sadhna, Sanjay, Balraj Sahni}%
\singer{Rafi, Asha}%
\music{Ravi}%
\lyrics{Ravi}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10697 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

ra \:	kar de madad gariib kii teraa sukhii rahe sa.nsaar
	bachcho.n kii kilakaarii se guu.Nje saaraa gharabaar

	aulaad vaalo.n phuulo.n phalo \-2
	bhuukhe gariib kii ye hii du_aa hai
	aulaad vaalo.n \threedots

aa \:	paise do paise se tumhaaraa kuchh na ghaTegaa daulat vaalo.n
	le lo du_aa_e.N nirdhan kii ghan aur ba.Dhegaa daulat vaalo.n
ra \:	usii ko milaa hai jag me.n jisane diyaa hai
	aulaad vaalo.n \threedots

aa \:	jug\-jug ji_e teraa laal rahe Kushahaal sadaa teraa naam karegaa
	har pal jay\-jayakaar kare sa.nsaar ye aisaa naam karegaa
ra \:	bhalaa_ii kaa badalaa bhalaa_ii milaa hai
aa \:	bhuukhe gariib kii \threedots
	aulaad vaalo.n \threedots

ra \:	dhany hai vo insaan kare qurbaan jo dil kii saarii Kushiyaa.N
aa \:	apane ghar kaa diipak de kar roshan kar de kisii kii duniyaa
ra \:	vo insaa.N nahii.n hai ik devataa hai
do \:	aulaad vaalo.n \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{o nanhe se farishte}% 
\film{Ek Phool Do Mali}%
\year{1969}%
\starring{Sadhna, Sanjay, Balraj Sahni}%
\singer{Rafi}%
\music{Ravi}%
\lyrics{Prem Dhawan}%

% Contributor:  C.S.Sudarshana Bhat (ceindian@utacnvx.uta.edu)
% Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)

\printtitle 
#indian

o nanhe se farishte, tujh se ye kaisaa naataa 
kaise ye dil ke rishte, o nanhe se farishte 
##happy birthday to you ## \threedots

tujhe dekhane ko tarase, kyo.n har gha.Dii nigaahe.n 
bechain sii rahatii hai.n, tere liye ye baahe.n 
mujhe khud pataa nahii.n hai, mujhe tujhase pyaar kyuu.n hai, 
o nanhe \threedots

naazuk saa phuul hai tuu, kisii aur ke chaman kaa 
khushabuu se terii mahake, kyo.n baag mere man kaa 
merii zindagii me.n chhaaii, tujhase bahaar kyuu.n hai, 
o nanhe \threedots

tuu kuchh nahii.n hai meraa, phir bhii ye ta.Dap kaisii 
tujhe dekhate hii khuun me.n, uThatii hai ik lahar sii 
har vakt mujhako rahataa, teraa intazaar kyuu.n hai, 
o nanhe \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{sajanaa ... tere pyaar me.n mai.n ga_ii kho sajanaa}%
\film{Ek Phool Do Mali}%
\year{1969}%
\starring{Sadhna, Sanjay, Balraj Sahni}%
\singer{Asha}%
\music{Ravi}%
\lyrics{Prem Dhawan}%

% Contributor: BOL ANAMOL #11515 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

sajanaa sajanaa o sajanaa tere pyaar me.n mai.n ga_ii kho sajanaa
tere hii kaaran banii re jogan ab honaa hai jo bhii ho sajanaa

ko \:	ab ye laagii chhuuTe naa ab ye bandhan TuuTe naa

milate hii nain gayaa chain merii raato.n kaa
chal gayaa jaaduu terii pyaar bharii baato.n kaa \-2
sajanaa sajanaa \threedots
ko \:	ab ye laagii \threedots

bairii papiihaa jab piiyuu\-piiyuu gaa_e re
laage vo baan merii jaan chalii jaa_e re \-2
sajanaa sajanaa \threedots
ko \:	ab ye laagii \threedots

duniyaa ke mele na akele dekh jaa_e.Nge
tere hii sa.ng piyaa ra.ng saare bhaa_e.Nge \-2
sajanaa sajanaa \threedots
ko \:	ab ye laagii \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{sayyaa.N le ga_ii jiyaa terii pahalii nazar}%
\film{Ek Phool Do Mali}%
\year{1969}%
\starring{Sadhna, Sanjay, Balraj Sahni}%
\singer{Asha}%
\music{Ravi}%
\lyrics{Prem Dhawan}%

% Contributor: BOL ANAMOL #11514 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

saiyaa.N le ga_ii jiyaa terii pahalii nazar \-2
kaisaa jaaduu kiyaa tuune mope o jaaduugar
saiyaa.N le ga_ii \threedots

( pahale lagat ik sapanaa saa
ab to lagat mohe apanaa saa ) \-2
le chal haath paka.D ke sajanaa chaahe jidhar
saiyaa.N le ga_ii \threedots

( aa ga_ii balam terii baato.n me.n
kyaa hai na jaane terii aa.Nkho.n me.n ) \-2
bhuul ga_ii mai.n pyaar me.n tere apanii Dagar
saiyaa.N le ga_ii \threedots

( jaanuu.n ki tuu harajaa_ii hai
sochuu.N kyuu.N aa.Nkh milaa_ii hai ) \-2
lekin tujhako dekh rahii naa apanii Kabar
saiyaa.N le ga_ii \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{tujhe suuraj kahuu.N yaa chandaa}%
\film{Ek Phool Do Mali}%
\year{1969}%
\starring{Balraj Sahni}%
\singer{Manna De}%
\music{Ravi}%
\lyrics{Prem Dhawan}%

% Contributor: Yogesh Sethi
% Transliterator: K Vijay Kumar
% Credits: Uday Patel

\printtitle
#indian

tujhe suuraj kahuu.n yaa cha.ndaa
tujhe diip kahuu.n yaa taaraa
meraa naam karegaa raushan
jag me.n meraa raaj dulaaraa

meraa ghar thaa khaalii khaalii
chhaa_ii thii ajab udaasii
jiivan thaa suunaa suunaa
har aas thii pyaasii pyaasii
tere aate hii khushiyo.n se
bhaar gayaa hai jiivan saaraa
meraa naam karegaa raushan \threedots

mai.n kab se taras rahaa thaa
mere aa.Ngan me.n ko_ii khele
nanhii sii ha.Nsii ke badale
merii saarii duniyaa le le
tere sa.ng jhuul rahaa hai
merii baaho.n me.n jag saaraa
meraa naam karegaa raushan \threedots

aaj u.Ngalii thaam ke terii
tujhe mai.n chalanaa sikhalaa_uu.N
kal haath paka.Danaa meraa
jab mai.n buu.Dhaa ho jaa_uu.N
tuu milaa to mai.n ne paayaa
jiine kaa nayaa sahaaraa
meraa naam karegaa raushan \threedots

mere baad bhii is duniyaa me.n
zi.ndaa meraa naam rahegaa
jo bhii tujh ko dekhegaa
tujhe meraa laal kahegaa
tere ruup me.n mil jaayegaa
mujh ko jiivan dobaaraa
meraa naam karegaa raushan \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{ye pardaa haTaa do zaraa mukha.Daa dikhaa do}%
\film{Ek Phool Do Mali}%
\year{1969}%
\starring{Sadhna, Sanjay, Balraj Sahni}%
\singer{Rafi, Asha}%
\music{Ravi}%
\lyrics{Prem Dhawan}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10696 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

ra \:	ye pardaa haTaa do zaraa mukha.Daa dikhaa do
	ham pyaar karane vaale hai.n ko_ii Gair nahii.n
	are ham tum pe marane vaale hai.n ko_ii Gair nahii.n
aa \:	o majanuu.n ke naanaa mere piichhe na aanaa
	jaa pyaar karane vaale terii Kair nahii.n
	are o hamape marane vaale terii Kair nahii.n
ra \:	ye pardaa haTaa \threedots

aa \:	shukr karo ki pa.De nahii.n hai merii maa.N ke Da.nDe
	ek haath me.n ho jaate aramaan tumhaare Tha.nDe
ra \:	maa.N ko bhii samajhaa do bas itanaa bataa do
	ham pyaar karane \threedots
aa \:	o majanuu.n ke naanaa \threedots

ra \:	jahaa.N mile.n do javaa.N nazar hotii takaraar vahii.n hai
	dil par rakh kar haath ye kah do hamase pyaar nahii.n hai
aa \:	dil kii baate.n dilavaale nazaro.n se hii pahachaanate
	lekin kuchh aise hai.n anaa.Dii jo ye bhii nahii.n jaanate
ra \:	ye pahale bataate baaraat le ke aate
	ham pyaar karane \threedots
aa \:	o majanuu.n ke naanaa \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
