% ISB File: EkSaal_1957.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{chhum\-chhum chalii piyaa kii galii}%
\film{Ek Saal}%
\year{1957}%
\starring{Ashok Kumar, Madhubala}%
\singer{Lata}%
\music{Ravi}%
\lyrics{Prem Dhawan}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Aug 7, 2004

\printtitle
#indian

( chhum\-chhum chalii piyaa kii galii
mai.n sapane naye sajaa ke ) \-2
kaisaa jaaduu kar gaye saajan
in nainan me.n aa ke
chhum\-chhum chalii piyaa kii galii
mai.n sapane naye sajaa ke

( dhiire se bol ke, binaa kisii mol ke
le gayaa dil ko_ii, a.nkhiyo.n me.n taul ke ) \-2
kho_ii\-kho_ii Doluu.N mai.n to sudh bisaraa ke \-2
chhum\-chhum chalii piyaa kii galii
mai.n sapane naye sajaa ke

( ritu hai bahaar kii, solah si.ngaar
kaano.n me.n more sahanaa_ii baaje pyaar kii ) \-2
duniyaa se rakhuu.N kaise priit chhupaa ke \-2
chhum\-chhum chalii piyaa kii galii
mai.n sapane naye sajaa ke
kaisaa jaaduu kar gaye saajan
in nainan me.n aa ke
chhum\-chhum chalii piyaa kii galii
mai.n sapane naye sajaa ke

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{Gaafil tujhe gha.Diyaal ye ... kisake li_e rukaa hai}%
\film{Ek Saal}%
\year{1957}%
\starring{Ashok Kumar, Madhubala}%
\singer{Rafi}%
\music{Ravi}%
\lyrics{Prem Dhawan}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10698 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

Gaafil tujhe gha.Diyaal ye detaa hai munaadii
garaduu.N ne gha.Dii umr kii ek aur ghaTaa dii

kisake li_e rukaa hai kisake li_e rukegaa
karanaa hai jo bhii kar le ye vaqt jaa rahaa hai \-2

paanii kaa bulabulaa hai insaa.N kii zindagaanii
dam bhar kaa ye fasaanaa pal bhar kii ye kahaanii
har saa.Ns saath apane paiGaam laa rahaa hai
karanaa hai jo bhii \threedots

duniyaa buraa kahe to ilzaam ye uThaa le
khud miT ke bhii kisii kii tuu zindagii bachaa le
dil kaa chiraaG tujhako rastaa dikhaa rahaa hai
karanaa hai jo bhii \threedots

kaa.NTe jo boye tuune to phuul kaise paa_e
tere gunaah hii aaKir hai.n aaj ra.ng laa_e
ab soch me.n kyuu.N pagale gha.Diyaa.N ga.nvaa rahaa hai
karanaa hai jo bhii \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{kisii ne aaj mohabbat me.n ... chale bhii aa_o}%
\film{Ek Saal}%
\year{1957}%
\starring{Ashok Kumar, Madhubala}%
\singer{Lata}%
\music{Ravi}%
\lyrics{Prem Dhawan}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Aug 7, 2004

\printtitle
#indian

kisii ne aaj mohabbat ko aajamaayaa hai
wafaa ko aaj nibhaane kaa vaqt aayaa hai
pukaar sun ke chale aa_o do gha.Dii ke liye
ba.Dii tamannaa se hamane tumhe.n bulaayaa hai
chale bhii aa_o \-3

( chale bhii aa_o, chale bhii aa_o
tumhe.n qasam hai, chale bhii aa_o, chale bhii aa_o ) \-2

( usii se kahate hai.n baat dil kii
ki jisako samajhe kuchh apanaa\-apanaa ) \-2
miTaa na denaa bharam ye meraa
na to.D denaa ye pyaaraa sapanaa

chale bhii aa_o, chale bhii aa_o
tumhe.n qasam hai, chale bhii aa_o, chale bhii aa_o

( na aaye tum to kahegii duniyaa
ye naaz jhuuThaa ye pyaar jhuuThaa
ye pyaar jhuuThaa ) \-2
ye dil kii dha.Dakan hai ek dhokhaa
nigaah kaa i.ntazaar jhuuThaa

chale bhii aa_o, chale bhii aa_o, chale bhii aa_o, chale bhii aa_o

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{na puuchho pyaar ... sab kuchh luTaa ke hosh me.n aa_e}%
\film{Ek Saal}%
\year{1957}%
\starring{Ashok Kumar, Madhubala}%
\singer{Lata}%
\music{Ravi}%
\lyrics{Prem Dhawan}%

% Contributor: Balaji A.S. Murthy

\printtitle
#indian

#Lata version

na puuchho pyaar kii hamane vo haqiiqat dekhii
vafaa ke naam pe bikatii hu_ii ulfat dekhii
kisii ne luuT liyaa aur hame.n Kabar na hu_ii
khulii jo aa.Nkh to barbaad muhabbat dekhii

sab kuchh luTaa ke hosh me.n aa_e to kyaa kiyaa
din me.n agar charaaG jalaa_e to kyaa kiyaa

(mai.n vo kalii huu.N jo na bahaaro.n me.n khil sakii) \-2
vo dil huu.N jisako pyaar kii ma.nzil na mil sakii
ma.nzil na mil sakii
patthar pe hamane phuul cha.Dhaa_e to kyaa kiyaa

(jo mil na sakaa pyaar Gam kii shaam to mile)\-2
ik bevafaa se pyaar kaa a.njaam to mile
(ai maut jald aa) \-2 zaraa aaraam to mile
do din Kushii ke dekh na paa_e to kyaa kiyaa

# Talat version

karate rahe Kizaa.N se ham saudaa bahaar kaa
badalaa diyaa to kyaa ye diyaa unake pyaar kaa

sab kuchh luTaa ke hosh me.n aaye to kyaa kiyaa? \-2
din me.n agar charaaG jalaaye to kyaa kiyaa?
sab kuchh luTaa ke hosh me.n aaye to kyaa kiyaa? \-2

ham badanasiib pyaar kii rusavaa_ii ban gaye \-2
Kud hii lagaa ke aag tamaashaa_ii ban gaye,
tamaashaa_ii ban gaye
daaman se ab ye shole bujhaaye to kyaa kiyaa?
din me.n agar charaaG jalaaye to kyaa kiyaa?
sab kuchh luTaa ke hosh me.n aaye to kyaa kiyaa? \-2

le\-le ke haar phuulo.n ke aa_ii to thii bahaar \-2
nazare.n uThaake hamane hii dekhaa na ek baar
dekhaa na ek baar
aa.Nkho.n se ab ye parade haTaaye to kyaa kiyaa?
din me.n agar charaaG jalaaye to kyaa kiyaa?
sab kuchh luTaa ke hosh me.n aaye to kyaa kiyaa? \-2

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{ulajh gaye do nainaa, dekho}%
\film{Ek Saal}%
\year{1957}%
\starring{Ashok Kumar, Madhubala}%
\singer{Lata, Hemant}%
\music{Ravi}%
\lyrics{Ravi}%

% Contributor: Neha Desai
% Transliterator: K Vijay Kumar

\printtitle
#indian

ulajh gaye do nainaa, dekho
ulajh gaye   \threedots

la : priitam ulajhii laT sulajhaaye
he : gorii kaa chandaa saa mukh sharamaaye
do : priitam ulajhii laT sulajhaaye
     gorii kaa chandaa saa mukh sharamaaye
     priit kii Dorii me.n baa.Ndh kar dono man hii man musakaaye re
     dekho ulajh gaye do nainaa   \threedots

la : jab tak ghar na aaye saa.Nvariyaa
he : ta.Dape hai gorii jaise jal bin machhariyaa
la : baaT takat apane saajan kii
     raah me.n nain bichhaaye dekho
do : ulajh gaye do nainaa   \threedots

la : raat rupahalii taaro.n kii chhai.nyyaa
he : sai.nyyaa ke haatho.n me.n gorii gorii bai.nyyaa
do : raat rupahalii taaro.n kii chhai.nyyaa
he : sai.nyyaa ke haatho.n me.n gorii gorii bai.nyyaa
la : laaj bhare naino.n se man kii baat kahii na jaaye
     dekho ulajh gaye do nainaa
do : ulajh gaye do nainaa
     dekho ulajh gaye do nainaa

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
