% ISB File: EkSholaa_1958.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{kahii.n chal naa de raat kaa kyaa Thikaanaa}%
\film{Ek Sholaa}%
\year{1958}%
\starring{Pradeep Kumar, Mala Sinha, Nazir Husain, Javahar Kaul, Dhumal, Tuntun}%
\singer{Rafi, Asha}%
\music{Madan Mohan}%
\lyrics{Majrooh}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10567 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

aa \:	kahii.n chal naa de raat kaa kyaa Thikaanaa
	idhar aa_o zulfo.n me.n tumako chhipaa le.n
ra \:	kahii.n dekh le phir na hamako zamaanaa
	kaho to sitaaro.n ke diipak bujhaa de.n

aa \:	ye raat aa_ii hai mil bhii lo chupake\-chupake
	guzar jaa_e kab ye na jaane
ra \:	nazar aaj milaa_e.N ham\-tum kuchh aisii
	Thahar jaa_e.N jaate zamaane
aa \:	nasiibo.n se milataa hai ye samaa.N
	kahii.n dekh le phir \threedots

ra \:	terii zulf chhuu lii to aavaaraa baadal
	mahakane bahakane lagaa hai
aa \:	jhukaa chaa.Nd kaa sar ghaTaa_o.n kaa aa.Nchal
	sarakane Dhalakane lagaa hai
ra \:	to phir chhe.D do dil kii daastaa.N
	kahii.n chal na de \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{maalik mai.n puuchhataa huu.N ... bataa mujhe o jahaa.N ke maalik}%
\film{Ek Sholaa}%
\year{1958}%
\starring{Pradeep Kumar, Mala Sinha, Nazir Husain, Javahar Kaul, Dhumal, Tuntun}%
\singer{Rafi}%
\music{Madan Mohan}%
\lyrics{Majrooh}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10566 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

maalik mai.n puuchhataa huu.N mujhe tuu javaab de
bahate hai.n kyuu.N gariib ke aa.Nsuu javaab de

bataa mujhe o jahaa.N ke maalik ye kyaa nazaare dikhaa rahaa hai
tere samu.ndar me.n kyaa kamii thii ke aadamii ko rulaa rahaa hai
bataa mujhe o \threedots

kabhii ha.Nsaa_e kabhii rulaa_e ye khel kaisaa hai tuu bataa de
jise banaayaa thaa apane haatho.n usii ko ab kyuu.N miTaa rahaa hai
bataa mujhe o \threedots

jo khud hii Gam se bujhaa\-bujhaa hai teraa phir isame.n kamaal kyaa hai
ki ek diipak kii raah me.n tuu hazaaro.n tuufaa.N uThaa rahaa hai
bataa mujhe o \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
