% ISB File: Farz_1947.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{is desh ke jawaano.n ko ab aazamaayaa jaayegaa }%
\film{Farz}%
\year{1947}%
\starring{Sudhir, Munawwar Sultana, Ragini, Sudhir, Chand Burq}%
\singer{Zeenat Begum}%
\music{K S Saagar}%
\lyrics{Zahir Kashmiri}%

% Contributor: <Neha Desai>, 2002-08-16

\printtitle
#indian

( is desh ke jawaano.n ko ab aazamaayaa jaayegaa
aazamaayaa jaayegaa ) \-2

sholaa hai zamiin banii bijalii giraaye aasamaa.N
aag ke sholo pe chalaa desh kaa ye kaarawaa.N
kaun siinaa taan nikale \-2
desh mere kaa jawaan
hi.nd par wo mar miTe uu.Nchaa kare komii nishaa.N \-2
kaun aage ba.Dhake pehale pehalii golii khaayegaa
aazamaayaa jaayegaa

desh kii vidhavaa pukaare bhaag jinake so gaye
saaye sar se uTha gaye bachche yatiim ho gaye
gurabat kaa ek tuufaan uThaa \-2
bahano.n se bhaai kho gaye
maataao.n kii aa.Nkho.n ke taare rote rote so gaye
kaun aaj in deviiyo.n ke rote dil ha.Nsaayegaa
aazamaayaa jaayegaa

is desh ke jawaano.n ko ab aazamaayaa jaayegaa
aazamaayaa jaayegaa

uma.nge.n miT rahii hai.n aaj be-naam-o-nishaa.n ho kar
bataa ae kaatib-e-qisamat likhaa kayaa badagumaa.n ho kar

tavaqqo thii vo aae.n ge to dil ko chain aae gaa
magar betaabiyaa.n uTThii.n kaleje me.n jawaa.n ho kar

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
